Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta
Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta
Kahin zami to kahin aasmaa nahi milta
Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta
Jise bhi dekhiye wo apne aap mein gum hai
jise bhi dekhiye wo apne aap mein gum hai
Zubaa mili hai magar hum zubaa nahi milta
Zubaa mili hai magar hum zubaa nahi milta
Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta
Bujhaa saka hai bhala kaun waqt ke shole
Bujhaa saka hai bhala kaun waqt ke shole
Ye aisi aag hai jisme dhunaa nahi milta
Ye aisi aag hai jisme dhunaa nahi milta
Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta
Tere jahaaN mein aisa nahi ke pyaar na ho
Jahaa ummeed ho iski vahaaN nahi milta
Jahaa ummeed ho iski vahaaN nahi milta
Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta
Kahin zami to kahin aasmaa nahi milta
kabhi kisi ko mukamal jaha nahi milta, Kahi jami to kahi aasma nahi milta, Fal jati hai chirago ki rosin har zaree.. me, Bas jad ko hi ujala nahi milta, Gar hoti mohobat or Kamyabi duniya me har taraf to kya ranjhe ko Heer Or Leela ko Majnu ka Pyaar nahi milta ?
ReplyDeletekiran kiran alsātā sūraj palak palak khultī nīndeñ
ReplyDeletedhīme dhīme bikhar rahā hai zarra zarra jaane kaun