Custom Search

Wo Shaks Mujey Pyara Hai Usey Kehna,


Wo Shaks Mujey Pyara Hai Usey Kehna,

Wohi Jeenay Ka Sahara Hai Usey Kehna.

Log Pyare Hain Bhot Se Mujko

Wo Sb Se Pyara Hai Usey Kehna.

Muhabbatin, Shekayatin, Adawatin Us Ki

Mujey Sb Gwara Hain Usey Kehna.

Chahney Waley Aur B Hain Lakin

Ye “DIL”sirf or sirf Tumhara Hai Usey Kehna’…..

BALAGHAL ULA BE KAMALE HI


Thay parinday soo bsoo
Lay k har ik gul ki boo
Kar rahay thay guftgoo

"BALAGHAL ULA BE KAMALE HI"

Thi munawar sab fiza
Jahan tak uthti thi nigah
Aa rahi thi yon sada

"KASHAFADDO-JA BE JAMALE HI"

Bulbulain b shoq mein
Dalay huye gul Taoq mein
Kehtein thi apnay zauq main

"HASONAT JAMEE O KHISALE HI"

Chiryoun k sun k cheh-chahay
Insan bhala kyun chup rahay
Lazim hai k wo yun kahay,

"SALLU ALAEHE WA AALE HI" juma tul mubarik


Hum kon hain kia hain Baa Khuda yaad Nahin!!!


Hum kon hain kia hain Baa Khuda yaad Nahin!!!

Apnay Aslaaf ki koi Bhi adda yaad Nahin!!!

Hain agar yaad to kafir k taranay he bass!!!

Hai Nahin yaad to Masjid ki sada yaad Nahin!!!

Bint-e-Hawwa ko Nachatay hain sar-e-mehfil ham!!!

kitnay sung dil hain k rasm-e-Haya yaad Nah

Kab tak raho gay aakhir yoon door door hum se,.


Kab tak raho gay aakhir yoon door door hum se,.

Milna prray ga aakhir ik din zroor hum se,

Daman bachanay walay ye berukhi he kesi,

Keh do agar huwa he koi qusoor hum se.?

Hum chhor dain gay tum se yoon bat cheet karna,

Tum poochtay phiro ge apna qusoor hum se,.

Hum cheen lain ga tum se ye
shaan-e-benyazi,

Tum maangtay phiro ge apna Ghroor hum se..

Wafa Kaa Woh Humein Kuch Aise Sila Detey Hain,


Wafa Kaa Woh Humein Kuch Aise Sila Detey Hain,

Jaise Ek Jurm Ki Mujrim Ko Saza Dete Hain,

Bach K Raha Karo In Say Yeh Husn Wale Hain,

Hanste Hansaate Hue Zehar Pila Dete Hain,

Jin K Baghair Hum Mar Mar K Jiya Karte Hain,

Woh Jab Milte Hain To Jeene Ki Dua Dete Hain,

Yahi Bohat Hai K Un Ko Khayal Hai Itna,

Zakhm Dete Hain To Marham Bhi Laga Dete Hain,

Mila K Aankh Kar Lete Hain Qaail Woh Apna MOHSIN

Baat Karty Hain To Lafzon Se Hara Dety Hain..

Mom ki Tarah Pighlte howe dekha usko,


Mom ki Tarah Pighlte howe dekha usko,

RUT jo Badli to Badalte howe dekha usko.

JANE kis Ghum ko Chupane ki Tamanna hay usy,

Aaj har Baat par Hanste howe dekha usko.

Wo jo Kanton ko bhi Narmi se Chuwa karta tha,

HuM ne Pholon ko Masalte howe dekha usko.

NAJANE wo Duaon mein Mangta hay kisse,

HAATH uthate hi Sisakte howe dekha usko.

PHIR Haath DUA K liay Uthaay hum ne,

JAB Muqaddar se Ulajhte howe dekha usko.

Wafa k rooth janay pr ghazal takhleeq hoti hy


Wafa k rooth janay pr ghazal takhleeq hoti hy

Kbhi Sajan manany pr ghazal takhleeq hoti hy

Main lfzon k smndar me mila deta hun sochon ko

Phr unki yad anay pr Ghazal takhleeq hoti he

Mere andar jo Panchi qaid he sanson k zindaan me

Usi k pharphrany pr ghazal takhleeq hoti he

Chaman me rqs krti he saba jb phool k agay,

To un k muskurane pr ghazal takhliq hoti he

Muje ata nahi he shair likna 1 b lakin

Tumhari yad anay pr gazal takhliq hoti hy…

Mohabbaten jab shumaar kerna to saazishen bhi shumaar kerna


Mohabbaten jab shumaar kerna to saazishen bhi shumaar kerna
Jo merey hissey me aayi hain woh aaziyaten bhi shumaar kerna

Jalaye rakhongi subah tak main Tumhare raston me apni ankhen
Magar kahin jo zabt toot jaaye to baarishen bhi shumaar kerna

Jo harf loh-e-wafaa pey likhey hoye hain un ko bhi daikh lena
Aur jo raaegaan ho gayin woh saari ibaaraten bhi shumaar kerna

Yeh sardiyon ka udaas mausam k dharkanen burf ho gayi hain
Jab inn ki yakhtagi parakhna to tamazaten bhi shumaar kerna

Tum apni majboriyon ke Qissey zaroor likhna wazahaton se
Jo meri ankhon me jal bujhi hen wo khwahishen bhi shumaar kerna !

Batao Dil Ki Baazi Mein , Bhala Kya Baat Gehri Thi .. !!


Batao Dil Ki Baazi Mein , Bhala Kya Baat Gehri Thi .. !!
Kaha Youn To Sabhi Kuch Thek Tha Par Maat Gehri Thi

Suno Barish ,Kabhi Khud Se Bhi Bhar Kar Koi Dekha Hai
Jawab Aaya.. Un Aankhon Kii Magar Barsaat Gehri Thi

Suno Tum Nay Hauley Sey Kaha Tha Kya, Batao Gey ??
Jawab Aaya... Kaha To Tha Magar Woh Raat Gehri Thi

Deya Dil Ka Sumandar Us Ney, Tum Ne Kya Kiya Us Ka?
Humein Bus Doob Jana Tha Keh Woh Soghaat Gehri Thi

Waffa Ka Dasht Kaisa Tha Batao Tum Pey Kya Beeti ?
Bhatak Jana Hi Tha Hum Ko Wahan Per Rait Gehri Thi

Tum Us Ke Zikar Par Kyun Doob Jatey Ho Khyaalon Me
Rafaqat Aur Aadawat Apnii Us Key Saath... Gehri Thi

Nazar Aaya Tumhein Us Ajnabii Mein Kya, Batao Gey ?
Suno.. Qaatil Nigaahon Ki Woh Zalim Ghaat Gehri Thi !!

Jab Bhi Sochain Tujhey, Dard Apnay Barha Letay Hain !!


Jab Bhi Sochain Tujhey, Dard Apnay Barha Letay Hain !!
Phir Her Naye Saal Ka Suraj Dekh Kar Muskura Letay Hain !

Guzrey December Ki Sard Raton K Waday Yaad Kar K
Katraa Katraa Aashk Apni Ankhon Se Baha Letay Hain !!

Yeh Adat To Husn-O-Wafa K Qayel Janty Hain Sajna
Keh "Payar Miley Jahan Bhi Woh Sir Apna Jhuka Letay Hain !

Na Samjha Tu ney Mujhe Aur Na Hi Meri Muhabbat Ko
Naya Saal Mubarak,"Khush Rehny Ki Tujhey Dua Detay Hain !

Qadam qadam tha naya Marhala main Kya karti?


Qadam qadam tha naya Marhala main Kya karti?
Taweel hota gaya tha Faasla main Kya karti ??

Har aik shakhs ko tha zaum -e- rahbari kitna
Bhatak raha tha mera Qaafla main Kya karti ??

Gham-e-hayat,gham-e-ishq aur gham-e-janaan
Ulajh gaya tha yun her ik Silsilaa main Kya karti?

Tumharey sath kisi bhi faisley ki fursat kab thi
Tumharey baad bhala koi Faisla main Kya karti ?

Bohat sambhaal k rakha tha dil mein Raaz tera
Woh ban k Aashk jo girnay Laga main Kya karti?

Mujhi se mangney aaya Woh lay key Majboori
Ab Uss sey Uss ki jafa ka Gilaa main Kya karti ?

Woh aansuoon ki zubaan khub janta tha Meri..
Mujhe bayaan ka na tha Hosla main Kya karti??

Main udaas rasta hoon sham ka,


Main udaas rasta hoon sham ka,
Mujhe aahaton ki talaash hai

Yeh sitare hain sab bujhe bujhe,
Mujhe jugnuon ki talaash hai

Her khushy hai mujh say khafa khafa,
Mujhay zindagi ki talaash hai

Meri piyas main wo talab nahe,
Mujhay tishnagy ki talaash hai

Ik hajoom sa hai rawaan dawaan,
Mujhay doston ki talaash hai

Meri zindagi hai bus ik rasta,
Mujhay manzilon ki talaash hai

Najanay kia hai jo kho gaya,
Mujhay shaid apni he talaash hai

Wo Chahney walo ko Mukhaatib nhi krta


Wo Chahney walo ko Mukhaatib nhi krta
Aur Tark-e-Ta’aluk ki main Wazahat nhi krta

Wo Apni Jafaao’n pe Naadim nhi hota
Main Apni Wafaao’n ki Tijaarat nhi krta

Khushboo kisi Tash-heer ki Muhtaaj nhi hoti
Sacha hon mgr apni Wakaalat nhi krta

Ehsaas ki Sooli pe Latak jata hon Aksar
Main Jabr-e-Musalsal ki Shikayat nhi krta

Main Azmat-e-Insan ka Qa’ail to hon Mohsin
Lekan kabi Bando’n ki Ebadat nhi krta

yun akeley me use ahd e wafa yad aye


yun akeley me use ahd e wafa yad aye
jese bunday ko museebat me khuda yad aye 

jese bhataktey hoye panchi ko nasheman apna
jese apno ke bicharne pe dua yad aye

jese dhalti hoi shamon ko sawera koi
jese pinjaray me parindey ko faza yad aye

jese boorhe ko khiyalat me bachpan apna
jese bachey ko shararat pe saza yad aye

jese ujri hoi basti ko zamana apna 
jese toofan ko tahrne pe diya yad aye

haal uskaa tere chehre pe likhaa lagtaa hai


haal uskaa tere chehre pe likhaa lagtaa hai
vo jo chup-chaap khaRaa hai teraa kyaa lagtaa hai

yuuN terii yaad meN din raat magan rahtaa huuN
dil dhaRaknaa tere qadmoN kii sadaa lagtaa hai

yuuN to har chiiz salaamat hai merii duniyaa meN
ek talluq hai ke jo TuuTaa hu’aa lagtaa hai

ai mere jazba-e-duruuN mujh meN kashish hai itnii
jo Khataa hotaa hai vo tiir bhii aa lagtaa hai

jaane maiN kaunsii pastii meN giraa huuN “Shehzad”
is qadar duur hai suuraj ke diyaa lagtaa hai

Manzil Bhi Teri Thi Aur Rasta Bhi Tera Tha,


Manzil Bhi Teri Thi Aur Rasta Bhi Tera Tha,
Ek Tera Pyar Pa Lu Bs Yhi Sapna Mera Tha,

1 Hm Akele Rh Gye, Aur Pura Sansar Tera Tha,
Sath Sath Rehne K Soch Bhi Teri Thi,

Fir Akele Chhod Jane Ka Khayal Bhi Tera Tha,
Hatho Me Hath Lekr Mujhe Hasaane Ki Kasam Bhi Teri Thi,

Fir Meri Ankho Me Ansuo Ka Silsila Bhi Tera Tha,
Hum Q Yaha Tanha Rh Gye, Mera Dil Sawal Krta H,

Kismat Teri Thi Pr Kya Khuda Bhi Tera Tha?
Khuda Bola Uspe Aitbar Krne Ki Galti Teri Thi,

Use Dost Bnane Ka Khayal Bhi Tera Tha,
Use Chahne Ki Galti Bhi Teri Thi,

Use Apnane Ka Khayal Bhi Tera Tha,
Use Q Gam Ho Tere Dur Jane Ka?

Kya Usne Kbhi Kaha Tha Wo Sirf Tera Tha…

yun akeley me use ahd e wafa yad aye


yun akeley me use ahd e wafa yad aye
jese bunday ko museebat me khuda yad aye

jese bhataktey hoye panchi ko nasheman apna
jese apno ke bicharne pe dua yad aye

jese dhalti hoi shamon ko sawera koi
jese pinjaray me parindey ko faza yad aye

jese boorhe ko khiyalat me bachpan apna
jese bachey ko shararat pe saza yad aye

jese ujri hoi basti ko zamana apna
jese toofan ko tahrne pe diya yad aye

haal uskaa tere chehre pe likhaa lagtaa hai


haal uskaa tere chehre pe likhaa lagtaa hai
vo jo chup-chaap khaRaa hai teraa kyaa lagtaa hai

yuuN terii yaad meN din raat magan rahtaa huuN
dil dhaRaknaa tere qadmoN kii sadaa lagtaa hai

yuuN to har chiiz salaamat hai merii duniyaa meN
ek talluq hai ke jo TuuTaa hu’aa lagtaa hai

ai mere jazba-e-duruuN mujh meN kashish hai itnii
jo Khataa hotaa hai vo tiir bhii aa lagtaa hai

jaane maiN kaunsii pastii meN giraa huuN “Shehzad”
is qadar duur hai suuraj ke diyaa lagtaa hai

Manzil Bhi Teri Thi Aur Rasta Bhi Tera Tha,


Manzil Bhi Teri Thi Aur Rasta Bhi Tera Tha,
Ek Tera Pyar Pa Lu Bs Yhi Sapna Mera Tha,

1 Hm Akele Rh Gye, Aur Pura Sansar Tera Tha,
Sath Sath Rehne K Soch Bhi Teri Thi,

Fir Akele Chhod Jane Ka Khayal Bhi Tera Tha,
Hatho Me Hath Lekr Mujhe Hasaane Ki Kasam Bhi Teri Thi,

Fir Meri Ankho Me Ansuo Ka Silsila Bhi Tera Tha,
Hum Q Yaha Tanha Rh Gye, Mera Dil Sawal Krta H,

Kismat Teri Thi Pr Kya Khuda Bhi Tera Tha?
Khuda Bola Uspe Aitbar Krne Ki Galti Teri Thi,

Use Dost Bnane Ka Khayal Bhi Tera Tha,
Use Chahne Ki Galti Bhi Teri Thi,

Use Apnane Ka Khayal Bhi Tera Tha,
Use Q Gam Ho Tere Dur Jane Ka?

Kya Usne Kbhi Kaha Tha Wo Sirf Tera Tha…

Wo sunta to main kehta,mujhe kuch aur kehna tha,


Wo sunta to main kehta,mujhe kuch aur kehna tha,
wo pal bhar ko jo ruk jata,mujhe kuch aur kehna tha.

kamai zindagi bhar ki,usi k naam to kar di,
mujhe kuch aur karna tha,mujhe kuch aur kehna tha.

kahan us ne suni meri,suni b un-suni kar di,
usay maloom tha itna,mujhe kuch aur kehna tha.

meray dil main jo dar aya,koi mujh main b dar aya,
waheen ik rabta toota,mujhe kuch aur kehna tha.

rawan tha piyar NUS NUS main,bohat qurbat thi apis main,
usay kuch aur sun-ana tha,mujhe kuch aur kehna tha.

ghalat fehmi ne baton ko barha dala younhi warna,
kaha kuch tha,wo kuch samjha,mujhe kuch aur kehna tha.


Be-wafa Koi Sitamger Bhi To Ho Sakta Hai,


Be-wafa Koi Sitamger Bhi To Ho Sakta Hai,
Mera Qatil Mera Rehber Bhi To Ho Sakta Hai..!

Ek Mudat Se Tuje Wird Mein Rakha Jis Ne,
Wo Muhbbat Mein Qalandar Bhi to Ho Sakta Hai..!

Tere Koochy Mein Jo Aya Hai Ghulamon Ki Tarha,
Apni Basti Ka Sikandar Bhi To Ho Sakta Hai..!

Silsilawar Agar Ashak Bhi Giray Jaein,
Yeh Jo Sehra Hai Samandar Bhi To Ho Sakta Hai..!

Kab Talak Tere Khyalon K Sahary Jiye Jaein Mohsin,
Dil Teri Yaad Se Munkar Bhi To Ho Sakta Hai !

mujhy aisa dard ata kiya jo na hijar tha na vissal tha


mujhy aisa dard ata kiya jo na hijar tha na vissal tha
merey mosmon k mizaj-daan tujhy kitna mara khyal tha?

khoon-e-dil se likha tu tha tery saal-e-hijar ka saaniha,
jo bohat udhoora sa reh gaya wo na jany kon sa saal tha,

kisi or chehrey ko dekh kr teri shakal zehan main aa gai
tara naam ly k mila usey maray hafzay ka ye hal tha,

kbi qurbaton k diyar main kbi chahaton k ghubaar main
wahan umr main nay guzaar di jahan sans lena mahaal tha

Din niklay to soch alag , shaam dhalay wajdaan alag


Din niklay to soch alag , shaam dhalay wajdaan alag
umeed alag, aas alag, sakoon alag, toofaan alag

tashbeeh doon to kis say k tera husan ka har rung
neela alag, zammurad alag, yaqoob alag, marjaan alag

teray ulfat k taqazay bhi ajab andaaz k thay
iqrar alag, takrar alag, tahzeem alag, farmaan alag

gar sath nahin ab day saktay to, baant do yakjan lamhay
masroor alag, nidhaal alag, pur-kaif alag, pareshan alag

waqt e rukhsat alwidaa ka lafz jab kehnay lagay
aansoo alag, muskaan alag, be-taabi alag, hijaan alag

jab chor gya tub dekha apni aankhon ka rung
hairan alag, pashemaan alag, sunsaan alag, bayabaan alag

Aisa Nahi K Tujh Say Mohabbat Nahi Hamain


Aisa Nahi K Tujh Say Mohabbat Nahi Hamain
Gham Roz Roz Sehnay Ki Adat Nahi Hamain

Her Bar Teray Samnay Sir Ko Jhuka Lia
Our Phir Bhi Deikh Tujh Say Shikayat Nahi Hamain

Tu Aitaibar Kar Kay Tujhay Chahtay Hain Hum
Tairay Siwa Kisi Ki Bhi Chahat Nahi Hamain

Hum Jantay Hain Tu Bhi Hai Tanha Hamaray Bin
Ouron Say Pochnay Ki Zarorat Nahi Hamain

Kaisay Rahain Gay Bin Teray Ab Baat Man Lay
Tairay Baghair Rehnay Ki Adat Nahi Hamain.......

Hon gay juda hum es tarah, imkan tu na tha…..


Hon gay juda hum es tarah, imkan tu na tha…..
Ye dil kabhi bhi es tarah, weraan tu na tha.

~~Jesay howa hai ab k wo, halaat say mray…..
Pehlay kabhi wo es tarah, anjaan tu na tha.

~~Wo shehr se gia hai tu, ronaq bhi lay gia…..
ye shehr es tarah kabhi, sunsaan tu na tha.

~~Ek Pyar ki jageer ka, maalik tha mein kabhi……
Pehlay se yonhi be-sar-o-samaan tu na tha.

~~Mohsin hum ne Ishq mein,paya naffa bahut…..
Es kaarobaar mein koi, nuqsan tu na tha.

Sham Ka Manzar, Uljha Rasta, Ek Kahani, Tu Or Mein,


Sham Ka Manzar, Uljha Rasta, Ek Kahani, Tu Or Mein,
Dhalta Suraj, ßarhta Saya, Kashti Rani, Tu Or Mein,

Band Ik Kmra, Chup Ka Manzar, Bhuli Bisri, Deepak Yaad,
Tanhai, Dukh, Khof Ki Lazzat, Dilßerjani, Tu Or Main,

Titli, Khushbu, Rang Ki Baaten, Shabnam Se Shrmilay Khuwab,
Aas Ka Panchhi, Gum Sum Khawhish, Rat Ki Rani Tu Or Main,

Palken, Chilman, Shrma Sharmi, Kam Kam Goya Nazren, Qurb,
Raaton Jaisi Seedhi Sadhi Ik Nadani, Tu Or Main

Wo Bulayen To Kya Tamasha Ho


Wo Bulayen To Kya Tamasha Ho
Ham Na Jayen To Kya Tamasha Ho

Ye Kinaron Se Khelne Wale
Dub Jayen To Kya Tamasha Ho

Bandaparwar Jo Ham Pe Guzri Hai
Ham Batayen To Kya Tamasha Ho

Aj Ham Bhi Teri Wafaon Par
Muskurayen To Kya Tamasha Ho

Teri Surat Jo Ittefaq Se Ham
Bhul Jayen To Kya Tamasha Ho

Waqt Ki Chand Satein ‘Sagar’
Laut Ayen To Kya Tamasha Ho.

Pyaar Karke Usko Dil Se Mitana Mushkil Tha,


Pyaar Karke Usko Dil Se Mitana Mushkil Tha,

Woh Toofan Palkon Par Rok Pana Mushkil Tha,

Asaan Lagaa Usse Yaad Kar Ke Mar Jana,

Kyonki Usse Bhool Ke Jee Pana Mushkil Tha.

Bewafa to use kehte hai jo wafa nahi karte,


Bewafa to use kehte hai jo wafa nahi karte,
Agar tumse pyar na hota to tumhe bewafa kaise kehte,
Phirbhi tumne mere pyar ka aisa sila diya hai,
Ke tumhe bewafa kehna bhi bewafai ki tauheen hoti ha

Wafaa k Qaid Khano Mein Sazayen kab Badalti Hain


Wafaa k Qaid Khano Mein Sazayen kab Badalti Hain

Badalta Dil ka Mosam Hai Hawayen kab badalti Hain

Libada Aurrh kr Gham ka Nikal jate Hain Sehra ko

Jawab Aye k Na Aye Aadayen kab Badalti Hain

Koi pa kr Nibhata Hai Koi kho kr Nibhata Hai

Naye Andaaz Hote Hain Wafayen Kab Badalti Hain !!

Ae Muhabat Tere Anjaam Per Rona Aya


Ae Muhabat Tere Anjaam Per Rona Aya
Jane Q Aaj Tere Naam Per Rona Aya

Youn To Hur Shaam Umeedoon Me Guzar Jati Hai
aaj Kuch Baat Thi Jo Shaam Per Rona Aya

Kabhi Tuqdeer Ka Maatum Kabhi Dunya Ka Gila
Manzil-E-Ishq Me Hur Kaam Per Rona Aya

Jub Hua Zikar Zamane Me Muhabat Ka..." Mere Dost "
Mujhe Apne Dil-E-Nadaan Per Rona Aya

badban khulne se pahle ka ishara dekhna


badban khulne se pahle ka ishara dekhna
main samandar dekhti hun tum kinara dekhna

yun bicharna bhi bahut asan na tha us se magar
jate jate us ka wo mur k dubara dekhna

kis shabahat ko liye aya hai darwaze pe chand
ai shab-e-hijran zara apna sitara dekhna

aine ki ankh hi kuch kam na thi mere liye
jane ab kya kya dikhayega tumhara dekhna

har gharri dard ki shiddat se sisakti ankhain


har gharri dard ki shiddat se sisakti ankhain
Aur oopar se tery wasl ke khawabon ke azaab
Roz aangan mein kharray pairr sy girty patty
Aur sar-e-shaam parindon pe guzrti aafat
Nabz aur dil ki bghawat se

tarapti hay hayat

Is bharay shehr mein brrhta hua logon ka Qehat
Roz hoti hay merey sath deewaron ki jharrap
Roz ik sans ko phaansi ki saza milti hy
Ab to aa ja meri jan ke pyary dushman
Ab to aa ja K tery hijr k Qaidi ko yahan
Roz is shehr mein marnay ki dua milti hy..!

Makrooz k bigrray huye halaat ki manind


Makrooz k bigrray huye halaat ki manind
Majbur k honto'n pe sawalaat ki manind

Dil ka teri chahat main ajab haal hua hay
Sailaab se barbaad makanaat ki manind.

Sookhay hont, sulagti aankhain, sarson jesa rung


Sookhay hont, sulagti aankhain, sarson jesa rung
Barson baad wo dekh k muj ko rah jaye ga dung

Kiun na ab apni chooriyon ko kirchi kirchi kar daalun
Dekhi aaj ek sundar naari, pyaray piya k sung.

Har Adaawat Pe Mohabat Ko Saja Kr Milna.


Har Adaawat Pe Mohabat Ko Saja Kr Milna.
Rasm-e-Dunia Hai Haqeeqat Ko Chupa Kr Milna.

Js Ka Kirdaar Sitaron Ki Trha Roshan Ho
Kitna Dushwaar HY Uss Shakhs Ko Ja Kr Milna.

Tm Mohabat Ko B Faraib Smjhty Ho
Meri to Aadat HY Nigahon Ko Jhuka Kr milna..!

Aj dur se hi koi salam kar gaya,


Aj dur se hi koi salam kar gaya,

Apni yaadon ka gulam kar gaya,

Apni zindegi girvi rakh kar kharida tha jise,

Wo hi hume nilam kar gaya..!!

Maine phucha kese ho?



Maine phucha kese ho?
Badlay ho ya wese ho?

Roop wohi andaaz wohi
Ya phir is main koi kami?

Hijar ka khuch ehsaas tou hoga?
Koi tumhare paas tou hoga?

Main bichra ye majboori thi
Kan manzoor mujhe doori thi?

Saath hamara kab chuta hai
Ruh ka rishta kab toota hai

Aankh se jo aansoo behte hain
Tum ko khabar hai kya kehte hain

Maine kaha awaaz tumhari
Aaj bhi hai hamraaz hamari

Phool wafa ke khil jayain gey
Hum ek din mil jayain gey

Assa Nahi k skahs acha nahi hey woh


Assa Nahi k skahs acha nahi hey woh
Jesa mery kheyal mein tha wasea nahi hey woh
Takhleeq asman pey mery leya howa
Mana k iss zameen per mera nahi hey woh

khizan k mosam se gulab maang raha hy


khizan k mosam se gulab maang raha hy
phr apne lye koi azab maang raha hy

Jan mangta to main zara taghaful na krta
mgr wo mujh se mere khwab maang raha hy

Ata kr k meri zeest ko hijr ki azee'atain
or mujh se visal-e-rut k hisab maang raha hy

Khataain krna hi raha mashghala uska
main kya don sila usy wo sawab maang raha hy

Apni samjh me uski guftagu b nahi aati
or wo an'kahy sawalon k jawab maang raha hy

Mujh ko apne wajod pe b dastaras nahi hasil
or dil-e-nadan hy mehtaab maang raha hy

Koi zindagi se ghabra gya is qdar
kashti ka musafir hy or gardab maang raha hy

Wo humsafar tha magar us se humnawai na thi,


Wo humsafar tha magar us se humnawai na thi,

K dhoop chaaon ka aalam raha judai na the,,

Adawaten theen Tagaful tha Ranjishen thi magar,,

Bicharne wale me sb kch tha Bewafai na thi,,

Bicharte waqt un Ankhon main thi hmari Ghazal,,

Ghazal b wo jo kisi ko kabi sunai na thi,,

Kisay pukar raha thaw o doobta hua din,,

Sada to aai thi lekin koi Duhai na thi,,

Kabi ye haal k dono main Yak-Dili thi FARAZ

Kabi ye marhala jese k Aashnai na thi…….

Sath roti thi mery,sath hasa karti thi,


Sath roti thi mery,sath hasa karti thi,
Wo larki jo mery dil mein basa karti thi !!

Meri chahat ki talabgar is darja thi k wo,
Musalay pe namazun mein dua karti thi,

Ik lamhy ka bicharna bhi gira tha usko,
Rotay huy mujhko khud sy juda karti thi,

Mery dil mein raha karti thi dharkan ki tarah,
Aur saaye ki tarah sath chala karti thi,

Rog dil ko laga bethi anjany mein,
Meri aaghosh mein marny ki dua karti thi,

Baat kismat ki hai FARAZ !!
Juda hogaye hum , warna wo tou mujhe taqdeer kaha karti thi !!
Warna wo tou mujhe taqdeer kaha karti thi……

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...