Custom Search

Sub kitabain jhotti niklien dastan-e-wafa ki


Sub kitabain jhotti niklien dastan-e-wafa ki
Sub ghazlain be-maani niklien unwaan-e-wafa ki

Kaisa iztirab machal raha hai kisi kahna-e-dil mein
Ye kis ka piyam layi hain hawain ehad-e-wafa ki

Kahan se milta hai sira barson ki uljhanon ka
Shayed key kuch karishma kar jayen zulfain ba-wafa ki

Chalo zameen ki wusaaton may talash kartey hain
Koi tu basti hogi jahan mil jayen soortain ahl-e-wafa ki

Hum tu roz dil key dasht may ghulab chunna kartey hain
Hum ne dekh rakhain hain sub kiramatain dard-e-wafa ki...



My Sweet Poetry
my-sweet-poetry.blogspot.com

mai pee kai chup raha wo pilaa kai chup raha


mai pee kai chup raha wo pilaa kai chup raha
kya gulaab tha jo murjaa kai chup raha
halaat ne kar dia use itna sangdil
mai sun kar ro para wo suna kai chup raha
badlai howe halaat muje gamgeen kar gaie
wo phir b door se hi muskara kai chup raha
shayad wo torna nahi chahta tha dil mera
is lie itna qareeb aa kai chup raha
wo door ho gya mai kuch b na kar saka
ankho se faqat ansoo baha kai chup rha

Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo


Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo
Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo

Tum ne b suni ho gi bari aam kahawat hy
Anjam ka jo ho khatra aghaz badal dalo

Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye
Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo

Dushman k iradon ko hy zahir agar karna
Tum khel wohi khelo andaz badal dalo

Ay dost karo himat kuch door sawera hy
Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo….

Palkon Pe Aansuon Ko Sajaya Na Jaa Saka


Palkon Pe Aansuon Ko Sajaya Na Jaa Saka,
Usko Bhi Dil Ka Haal Bataya Na Jaa Saka,

Zakhmon Se Choor Choor Tha Ye Dil Mera,
Ek Zakham Bhi Usko Dikhaya Na Jaa Saka,

Jab Teri Yaad Aayi To Koshish Ke Bawajood,
Aankhon Mein Aansuon Ko Chhupaya Na Jaa Saka,

Kuch Log Zindagi Mein Aise Bhi Aaye Hain,
Jinko Kisi Bhi Lamhe Bhulaya Na Jaa Saka,

Bas Is Khayal Se Kahin Usko Dukh Na Ho,
Humse To Haal-E-Gam Bhi Sunaya Na Jaa Saka,

Wo Muskuraya Tha Mere Ru-Ba-Ru Magar
Chehre Ka Rang Usse Chhupaya Na Jaa Saka,

Tanhaiyon Ki Aag Mein Hum Jal Gaye,
Magar Faasla Jo Darmiya Tha Mitaya Na Jaa Saka...

Ab rah gayi kaha vo purani mohbatain,,


Ab rah gayi kaha vo purani mohbatain,,
Kar rahe hain vo bhi zubani mohbatain,,

Is rah par chalo tau tumhe yaad rahe,,
Hoti nai hain asaan nibhani mohbatain,,

Har mor har qadam par tumhein yaad aaungi,,
Asaan nai hain meri bhulani mohbatain,,

Dil ka na haal pochiye chehra hi dekhiye,,
Hum ko bhi aa gaye hain sajani mohbatain,,

kabhi ai haqiqat-e-muntazir nazar a libas-e-majaz mein


klam e Iqbal
kabhi ai haqiqat-e-muntazir nazar a libas-e-majaz mein
k hazaron sajde tarap rahe hain meri jabin-e-niyaz mein

tarab ashna-e-kharosh ho tu nawa hai mahram-e-gosh ho
wo surur kya k chaya hua ho sukut-e-parda-o-saz mein

tu bacha bacha k na rakh ise tera aina hai wo aina
k shikasta ho to aziz tar hai nigah-e-aina-saz mein



na kahin jahan mein aman mili jo aman mili to kahan mili
mere jurm-e-khanakharab ko tere affuo-e-banda-nawaz mein

na wo ishq mein rahin garmiyan na wo husn mein rahin shokhiyan
na wo gaznawi mein tarap rahi na wo kham hai zulf-e-ayaz mein

jo main sar-ba-sajda hua kbhi to zamin se ane lagi sada
tera dil to hai sanam-ashana tujhe kya milega namaz mein.

Ho Chuka Ab Kisi Ka Wo


Ho Chuka Ab Kisi Ka Wo,
Kabi Meri Zindgi Tha Wo,

Bhoolta Hai Kon MOHABBAT Pehli,
Meri To Sari Khushi Tha Wo,

Phool Ki Tarah Muskrata Tha,
Mere Honton Ki Haansi Tha Wo,

Baad Barson K Usse Dekha Tha,
Aaj B Utna Hi Haseen Tha Wo,

Zindgi Naam Jis Ke Kr Di,
Log Kehte Hain Ajnabi Tha Wo…

Manzil Bhi Teri Thi Aur Rasta Bhi Tera Tha


Manzil Bhi Teri Thi Aur Rasta Bhi Tera Tha,
Ek Tera Pyar Pa Lu Bs Yhi Sapna Mera Tha,

1 Hm Akele Rh Gye, Aur Pura Sansar Tera Tha,
Sath Sath Rehne K Soch Bhi Teri Thi,

Fir Akele Chhod Jane Ka Khayal Bhi Tera Tha,
Hatho Me Hath Lekr Mujhe Hasaane Ki Kasam Bhi Teri Thi,

Fir Meri Ankho Me Ansuo Ka Silsila Bhi Tera Tha,
Hum Q Yaha Tanha Rh Gye, Mera Dil Sawal Krta H,

Kismat Teri Thi Pr Kya Khuda Bhi Tera Tha?
Khuda Bola Uspe Aitbar Krne Ki Galti Teri Thi,

Use Dost Bnane Ka Khayal Bhi Tera Tha,
Use Chahne Ki Galti Bhi Teri Thi,

Use Apnane Ka Khayal Bhi Tera Tha,
Use Q Gam Ho Tere Dur Jane Ka?

Kya Usne Kbhi Kaha Tha Wo Sirf Tera Tha…

Wo bulayen to kya tamasha ho


Wo bulayen to kya tamasha ho,
Hum na jayen to kya tamasha ho ,

Ye kinaron se khailnay walay
Doob jayen to kya tamasha ho,

Banda-parwar! Jo hum pe guzri hay,
Ham batayen to kya tamasha ho ,

Aaj hum bhi teri wafaon par,
Muskurayen to kya tamasha ho ,

Teri surat jo Ittefaq say hum,
Bhool jayen to kya tamasha ho,

Waqt ki chand sa'atein 'Saghir'
Laut ayen to kya tamasha ho...!!!!

ye jo diivaane se do chaar nazar aate hain


ye jo diivaane se do chaar nazar aate hain
in mein kuchh saahib-e-asraar nazar aate hain

terii mahafil kaa bharam rakahate hain so jaate hain
varnaa ye log to bedaar nazar aate hain

duur tak ko_ii sitaaraa hai na ko_ii juganuu
marg-e-ummiid ke aasaar nazar aate hain

mere daaman mein sharaaron ke sivaa kuchh bhii nahiin
aap phuulon ke Khariidaar nazar aate hain

kal jise chhuu nahiin sakatii thii farishton kii nazar
aaj vo raunaq-e-baazaar nazar aate hain

hashr mein kaun gavaahii merii degaa 'Sagar'
sab tumhaare hii taraf_Daar nazar aate hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...