Custom Search

Kehnay Ko Us Say Mera Koi Waasta Nahi


Kehnay Ko Us Say Mera Koi Waasta Nahi
Amjad magar Woh Shakhs Mujhay Bhoolta Nahi

Darta Hoon Aankh Kholoon To Manzar Badal Naa Jayey
Main Jaag To Raha Hoon Magar Jaagta Nahi

Aashaftagi Say Uski Usay Bay Wafa Naa Jaan
Aadat Ki Baat Aur Hay Dil Ka Bura Nahi

Tanha Udaas Chaand Ko Samjho Naa Bay Khabar
Har Baat Sun Raha Hay Magar Bolta Nahi

Khamosh Ratjagoun Ka Dhuwaan Tha Chahar Soo
Nikla Kub Aaftaab Mujhay To Pata Nahi

Amjad Woh Aankhain Jheel See Gehri To Hain Magar
Un Main Koi Bhi Aks Meray Naam Ka Nahi..............!!!

Hum jo toote to is tarah toote


Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot tha aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na gahaan toote
jaise aankhon main khwab ki doori
waqt e takmeel se ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
jaise ik shaakh pe bharosa kia
is pe jitne thay aashiyaan toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair main dheyaan toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
hum jo toote to raayegaan toote

Usay maine hi likha tha Ke lehjey barf ho jayein


Usay maine hi likha tha
Ke lehjey barf ho jayein
To phir pigla nahi kartey
Parinday darr k urr jayein
Tho phir lota nahi kartey

Usay maine hi likha tha
Yaqeen uth jaye tho shayed
Kabhi wapis nahi aata
Hawa'on ka koi toofaan
Kabhi barish nahi lata.........!!!

Usay maine hi likha tha
Ke sheesha too't jaye tho
Kabhi phir jurr nahi pata
Jo rastey se bhatak jaye
Wo wapas murr nahi pata

Usay kehna woh be'ma'eni adhoora khat
Usay maine hi likha tha
Usay kehna k deewanay...........!!!
mukammal khat nahi likhtey...!

JAGTI ANKHON MEIN CHUND KHWAAB REHNE DO


JAGTI ANKHON MEIN CHUND KHWAAB REHNE DO
GAYE MAUSMON KA AB HISAAB REHNE DO

KAL AGER BICHAR GAYE TO YAAD DILAYE GA YE
HUMARE SAATH AANSO'ON KA SAILAAB REHNE DO

JO HUMNE KAHI THIN TUMHEN KHAT MEIN KABHI
UN BATON KA JWAB REHNE DO

SAJAO TUM KISI AOR KI DUNIA KHUSHI SE
HUMARI ANKHON KO YONHI BEKHWAB REHNE DO

HUM KANTON K AADI HAIN DOSTO
KISI AOR KO DAY DENA..YE GULAAB REHNE DO

Mujhe Yaad Koi Dua Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,


Mujhe Yaad Koi Dua Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,
Tu Meri Jabeen Pe Likha Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Abhi Rasta Bhi Hai Dhool Main Abhi Faida Bhi Hai Bhool Main,
Abhi Mujh Ko Tujh Se Gila Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Main Janam Janam Se Naraz Hoon Main Janam Janam Se Udaas Hoon,
Main Kahbi Bhi Khul Ke Hansa Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Tu Hai Khuwab Khuwab Pukarta Meri Ankh Main Nahin Ashk Bhi,
Main Muddaton Se Jiya Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Tujhe Khushbuoon Ki Hai Arzoo Tujhe Roshni Ki Hai Justujo,
Main Hawa Nahin Diyya Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Tujhe Ansuoon Ka Pata Nahin Tujhe Ratjagon Ka Guman Nahin,
Tujhe Es Se Agay Pata Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Kahin Chhoot Sakta Hai Darmiaan Na Zameen Mile Gi Na Asmaan,
Tujhe Rastay Ka Pata Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Mujhe Dhoondta Hi Phire Ga Tu Na Jiye Ga Roz Maray Ga Tu,
Main Kabhi Bhi Ghar Pe Mila Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Kaho Lautna Hai Kise Yahan Merey Dard Sun Mere Meharban,
Mere Paas Waqt Zara Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Wo pani ki lahron pe kia likh rahi thi


Wo pani ki lahron pe kia likh rahi thi,
Khuda janay harf-e-dua likh rahi thi
Likha jis nay nawal wafa ka adhora,
Wohi pyar ki inteha likh rahi thi
Bhala kartay kartay guzari jawani,
Magar phir bhi khud ko bura likh rahi thi
Muhbat mein nafrat mili thi usay bhi,
Jo har shakhas ko bawafa likh rahi thi,
Zara us ki aankhon say aanso na niklay,
Wo jis waqt lafz saza likh rahi thi
Namaz-e-muhbat mein wo apnay,
Hoay thay jo sajday qaza likh rah thi

Tum Jao Hum Se Dor Tu Ek Kam Kar Jana


Tum Jao Hum Se Dor Tu Ek Kam Kar Jana
Kuch Pal Apne Hamare Naam Kar Jana

Agar Aa Jaye Mout Hamein Tere Aane Se Pehle
Tu Aa Kar Mere Janaze Ka Ehtiram Kar Jana

Na Rona Is Qadar Ke Taklef Ho Hamein
Mout Ko Bhi Mazak Samjh Kar Anjan Ban Jana

Mein Ek Din So Jaon Ga Sada Ke Liya
Phir Mujhe Bewafa Keh Ke Badnaam Kar Jana

Jo Guzro Meri Qabar Se Tu Nazren Na Pherna
Mehman Hi Ban Ke Dua Salam Kar Jana

Aaj Qabar ki mitti main kuch nami si hai...


Aaj Qabar ki mitti main kuch nami si hai...
Ahle Qabar ko yaad koi aaya bohat hai...

Farishto tumhare sawaloon jawaboon ka aadi hoon main...
Sari zindagi duniya ne aazmaya bohat hai...

Ab to sone do hame sukoon se Qabar main apni...
Ta umer intezaar ne hume jagaya bohat hai...

Ab tak beh rahe hain aasoo bheega hua hai kafan...
Dushmano tum dena muje kandha, dosto ne sataya bohat hai...

Darta hoon koi samaj na bhaithe isse doli dulhan ki...
Mere janaze ko logon ne sajaya bohat hai...

Roo deta hoon jab bhi guzarta hoon Ghayel ke mazar se...
Kambakht ne jeete jee muje hasaya bohat hai.............!!!!!

Around the corner I have a friend


Around the corner I have a friend
In this great city that has no end.

Yet the days go by and weeks rush on
And before i know it, a year is gone.

And i never see my old friend’s face
For life is a swift and terrible race.

He knows i like him just as well
As in the days when i rang his bell.

And he rang mine but we’re younger then
And now we’re busy tired men.

Tired of playing fulish game
Tired of trying to make a name.

Tommorow i say i’ll call on him
Just to show that i m thinking of him.

But tommorow comes and tommorow goes
And distance between us grows and grows.

Around the corner yet miles away
Here is a telegram he is died today

And that is what we get and deserve in the end
Around the corner a vanished friend.

Kisi Lerki Say Mat Kehna Kay Us Say Pyar Kertay Ho


Kisi Lerki Say Mat Kehna
Kay Us Say Pyar Kertay Ho
Ager Ek Bay Dhayani Main
Yeah Iqrar Ker Bethay
Kisi Say Pyar Ker Bethay
To Phir Wadoon Ki DoRoon Main
Ualajh Ker Toot Jao Gay
Tumharay Pyar Ka Us Ko
Ager Ehsaas Ho Jayay
To Ho Sakta Hai Tum Us Ka
Rang-O-Roop Ban Jao
Mohabbat Kay Safar Main Shayad
Aaisa Morr Aajayay
Kay Tum Narazgi Ka
BerMila Izhaar Ker Bethay
Koi Inkaar Ker Bethay
To Yeah Samjhoo Koi Sheesha,
Koi Dil Toot Jaye Ga
Kay In Kay Dil Bohat Nazuk,
Bohat Kumzoor Hotay Hain
Kisi Lerki Kay Dil Ka Tootna Bhi
Mout Hoti Hai
Kisi larkii se na kehna
K Us say Pyar karte ho

Deep jis ka sirf mehellaat hi main jalay


Deep jis ka sirf mehellaat hi main jalay,
Chand logon ki khushyon ko lay ker chalay,
Wo jo saye main har maslihat kay palay;
Aisay dastoor ko,
Subh e bay noor ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta

Main bhee kha’if naheen takhta e daar say,
Main bhee Mansoor hoon, keh do aghyaar say,
Kyun daraatay ho zindaan ki divar say,
Zulm ki baat ko,
Jehel ki raat ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Phool shaakhon pay khilnay lagay tum kaho,
Jaam rindon ko milnay lagay tum kaho,
Chak seenon kay silnay lagay tum kaho,
Iss khulay jhoot ko,
Zehan ki loot ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Tum nay loota hai sadyon hamara sakoon,
Ab na hum per chalay ga tumhara fasoon,
Chara gar main tumhain kiss tara say kahoon?
Tum naheen charaagar,
Koi maanay magar,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

mohabat phir mohabat hay kabhi dil say nahi jati…


mohabat phir mohabat hay
kabhi dil say nahi jati…

lakhon rang hein is kay..
ajab hi dhang hein is k..,

kabhi sehra..,
kabhi deriya..,
kabhi jugno..,
kabhi anso..,

hazaron roop rukhti hay..
badan jhulsa k jo rakh day..
kabhi woh dhoop rakhti hay…,

kabhi ban ker yeh eik jugno.
shabe gham ki andheron mein..
dilon ko aas deti hay…….,

kabhi manzil kinarey per..,
sadyon k musafir ko..,
faqat eik piyas deti hay..
Aziyat hi Aziyat hay…,

mohabat phir mohabat hay
kabhi dil say nahi jati…!!!

Barra dushwaar hota hay.. Zraa sa faisla kerna…


Barra dushwaar hota hay..
Zraa sa faisla kerna…
K zindagi ki Kahaani ko…
Bayaan-e-bazabani ko…

Kahaa’n say yaad rakhna hay…
Kahaa’n say bhool jana hay…
Kisay kitna bataana hay…
Kis say kitna chhupaana hay…

Kahaa’n ha’ns ha’ns k rona hay…
Kahaa’n ro ro ka has’naa hay…
Kahaa’n awaaz daini hay…
Kahaa’n khaamosh rehna hay…

Kahaa’n rastaa badlna hay…
Kahaa’n say lout aana hay…
Barra dushwaar hota hay..

Zinagi Per KiTab Kya Likhoon


Zinagi Per KiTab Kya Likhoon
ab gye shab kay Khawab Kya likhoon

Zindagi tu Guzar Gye Mayri
zindagi kay Azab kya Likhoon

Zakham seenay kay Chup nai Patay
un ka Ahd-e-Shabab Kya likhoon

Woh Mayri Khawahishoon ka Qatil hay
us ko izat Ma-Aab Kya likhoon

Dasht main bay hisab bikhray howay
pathroon ko Gulab Kya likhoon

Jab Mezan aik Qaim hay
phir Gunah Sawab Kya likhoon

hay MuKamal kitab-e-dil Mayri
Tu Bata Intisaab Kya likhoon

What Happened to us I cannot comprehend


What Happened to us I cannot comprehend

Mourning at your loss we were stunned

Lovely smiling figure thought of u as piece of art

How can u go away despite being active and smart?

Today everyone mourns at your tragic departure

This event shook us up in form of big disaster

I cannot buy the words that can explain you

Words of this kind are too expensive when it comes to you

Even this day your solitary figure flashes across my mind

So charming u were, the very one of your own kind

Mists in my eyes blur every image of you

U were indeed lovable MAY GOD BLESS YOU.

Ek r0z tum ne thama tha hath mera


Ek r0z tum ne thama tha
hath mera

Mere hath se tumhare hath ki
khushbu nahi jati

Tum b0hat pyar se pukarte
thay naam mera

Mere kan0 se tumhari w0h
awaz nahi jati

Main bulata bhi nahi tha 0r
tum aajate thay

Ab bulane par bhi meri awaz
tum tak nahi jati

Bas chuke h0 tum meri nus
nus mein lahu ki tarah

Meri ulfat tumhari ro0h mein
uTar kYUn nahi jaTi ??

Main janta hun yeh shehR
Yeh raaste
tumhare naHi

Phir bhi meri aaNkh0n se
intezar ki aDat naHi jaTi …..

Wo Jo Dawey Dar Hai Shehar Mai K Sabhi Ka Nabz Shanas Hun


Wo Jo Dawey Dar Hai Shehar Mai K Sabhi Ka Nabz Shanas Hun
Kabhi Aa Key Mujhse To Pochta K Mai Kis K Gham Mai Udass Hun

Yeh Meri Kitab-E-Hiyat Hai Ise Dil Ki Aankh Se Parh Zara
Mai Warq Warq Tere Samne Tere Ru Baru Tere Pass Hun

Yeh Teri Umeed Ko Kia Hua Kabhi Tune Ghour Nahi Kia
Ksi Sham Tune Kaha To Tha Teri Sans Hun Teri Aas Hun

Yeh Teri Judai Ka Gham Nahi K Yeh Silsiley To Hain Roz K
Teri Zaat Is Ka Sabab Nahi Kai Din Se Yunhi Udass Hun

Ksi Or Ki Ankh Se Dekh Kar Mujhe Aise Wase Laqab Na Dey
Tera Aietbar Hun Jan-E-Man Na Guman Hun Na Qayas Hun




My Sweet Poetry
my-sweet-poetry.blogspot.com

Pucha k ro0h nikLti hai jism se kis tarah?


Pucha k ro0h nikLti hai
jism se kis tarah?
Hath us ne hath0n se chUra
kar dikha diya..

Pucha k mehshar se pehLe
qayamat hai kia?
NaqaB us ne rukh se utha
kar dikha diya..

Pucha k yeh har taraf khizan
c kya lagti hai?
MehfiL se khud k0 utha
kar dikha diya..

Pucha k 1 dia j0 hawa se
na bujh sakay
Dia us ne wafa ka jala kar
dikha diya..

Pucha k aakhir yeh hasad
hai kya cheez?
Us ne kisi 0r k0 apna bana
kaR dikha diya …….

Aik aansu meri palkon pe numanyan hi sahi


Aik aansu meri palkon pe numanyan hi sahi
Laog kehtay hain charaghaan to charaghaan hi sahi

Hum ne har daor mein raaton se baghawat ki thi
Aaj pabandi-e-aaien shabistaan hi sahi

Meri taqdeer mein phoolon ka tassawur bhe mahal
Koi gulshan bakaf-o-khuld badamaan hi sahi

Mujh pe jo beet gai beet gai beet gai
Meri hasrat teray chehray se numayan hi sahi

Mar.ghaton per nai bunyaad-e-makan rakhain gai
Kar-e-tehzeeb Raqeeb-e-ser-o-samaan hi sahi

Kitni Aankhain huien be nar tujhay kiya maloom
Kar-e-nazarah teri bazm mein asaan hi sahi

Jabr Ke Zulm Laye huway san.natay mein
Koi shorsh koi halchal koi toofaan hi sahi

Yeah bhe kya kam hai ke hum chonktay hain jagtay hain
Zindegi silsila-e-khuwaab perishaan hi sahi

Bhairriyon ko nah yeah tareekh khula choray gi
Bhairriye asmat-e-aadam ke nigehbaan hi sahi

Zulm har rang mein pehchaan liya jaye ga
Tera daman hi sahi mera girebaan hi sahi




My Sweet Poetry
www.my-sweet-poetry.blogspot.com

Dukh ki taskeen risaley to nahi kar saktey


Dukh ki taskeen risaley to nahi kar saktey
Ye fasane, ye maqaley to nahi kar saktey

Roshni chahiye lekin isi ik skauk mai ham
Ghar ko sholo’n k hawaley to nahi kar saktey

Noor ki rah mai deewar utthane waley
Qaid suraj k ujaley to nahi kar saktey

Raig e sehra hi sunaye gi safar ki roodad
Guftugu pao’n k chhaley to nahi kar saktey

Kaise aashiq hain k khush hain teri ruswai par
Yoo’n kabhi chahney waley to nahi kar saktey

Bad ghuma’n ham se hain kutch laug to majboor hain ham
Saaf har zehn k jaley to nahi kar saktey…!!!

Yehi aarzoo rahi umr bhar k muhabbaten mery saath hon


Yehi aarzoo rahi umr bhar k muhabbaten mery saath hon
kabhi aesa ishq nahin kiya k nadaamten mery saath hon

koi aesa harf nahin likha k ho sharm saar qalm mera
koi aesa jurm nahi kiya k wazahten mery saathon

faqt aik shakhs ki aarzoo m guzar rahi hai yeh zindagi
yeh talab nahin k tamaam sheher ki chahten mery saath hon

jo main jaagta hoon to is liye k kisi ko neend ot aasaky
meri subh us p nisaar ho meri zulmaten mery saath hon

main kisi adalat-e-ishq main’ae mery khuda’rahoon sur kuroo
kaf-e-dast par mera dil rahy’meri tohmaten mery saath hkon

yeh nahin k rah m jo mily usy hamsafar hi banaoon
jo tamaam umr nabha saken woh rafaqten mery saath hon

mujh rasmi sa mel jol’pasand hi nahin jan-e-man!
main yeh chahta hoon k jo tu mily’meri wehshaten mery saath hon

ik-ik patthar jod ke main ne jo diivaar banaaii hai


ik-ik patthar jod ke main ne jo diivaar banaaii hai
jhaankhuu us ke piichhe to rusvaaii hii rusvaaii hai

youn lagataa hai sote jaagate auroon kaa mohataaj huun main
aankhein merii apanii hain par un mein niind paraaii hai

dekh rahe hain sab hairat se niile-niile paanii ko
puuchhe kaun samandar se tujh mein kitanii gaharaii hai

sab kahate hain ik jannat utarii hai merii dharatii par
main dil mein sochuun shaayad kamzor merii biinaaii hai

baahar sahan mein peidoon par kuchh jalate bujhate juganuu the
hairat hai phir ghar ke andar kis ne aag lagaaii hai

aaj huaa maaluum mujhe is shahar ke chand sayaanon se
apanii raah badalate rahanaa sabase baddii daanaaii hai

todd gaye paimaan-e-vafaa is daur mein kaise kaise log
ye mat soch ‘Qateel’ ki bas ik yaar teraa harajaaii hai




My Sweet Poetry
my-sweet-poetry.blogspot.com

Dreechay Sy Jhankti Woh Larki, Ajab Dukh sy Bhari Hui Hai,


Dreechay Sy Jhankti Woh Larki,
Ajab Dukh sy Bhari Hui Hai,

K Us K Angan Main Phool Par Ik,
Tittli Mari Hui Hai,

Kabhi Azano Main Khoi Khoi,
Kabhi Namazon Main Roi Roi,

Woh Aese Dunya Ko Dekhti Hai,
Jese Is Sy Dari Hui Hai,

Dard Sy Mehki Sansain,
Wazeefa Parthi Hui Wo Ankhen,

K Sham-E-Umeed In Main Kai Bars Sy Dhari Hui Hai,

Woh Dukh Ki Chadar Main Lipti Lipti,
Woh Kale Kapron Main Simti Simti,

Mohabbat Us Ny Kisi Sy Shayad Meri Tarah Ki Hui Hai

Mere Sabr Ka Na le Imtehaan... Meri Khaamoshi Ko Sada Na De


Mere Sabr Ka Na le Imtehaan
Meri Khaamoshi Ko Sada Na De

Jo Tere Bina Jee Na Sake
Use Jeene Ki Tu Dua Na De

Mere Jism-o-jaan Ka Yeh Faaslaa
Kahin Waqt Aur Badha Na De

Tujhe Bhool Kar Na Bhula Sakun
Tujhe Chah Kar Bhi Na Paa Sakun

Meri Hasraton Ko Shumaar Kar
Meri Chahaton Ka Sila Na De

Woh Tadap Jo Shula-e-jaan Mein Thee
Mere Tan Badan Se Lipat Gayee

Jo Bujha Sake Tu To Bujha Ise
Na Bujha Sake To Hawa Na De

Tujhe Gar Mile Kabhi Fursatein
To Meri shaam Phir Se Sanwaar De

Gar Katl Karnas Hai To Katl Kar Yun
Par Judaaiyon Ki Saza Na De

Qarar De K Kabhi Be-Qarar Kerty Ho


Qarar De K Kabhi
Be-Qarar Kerty Ho
Galey Laga K Kaho
Kitna Pyar Kerty Ho

Nazar Nazar Sy Miley
Aur Khumaar Aa Jaye
Labo’n Sy Kuch Na
Kaho Aitbaar Aa Jaye

Ye Dil Tou Bharta Nahi
Chand Mulaqato’n Main
Kitne Tarasty Rahy
Bheegi Bheegi Raato’n Main

Taweel Rasta Kyun
Ikhtiar Kerty Ho
Galey Laga K Kaho
Kitna Pyar Kerty Ho !!



My Sweet Poetry
my-sweet-poetry.blogspot.com

Ik Saal Purana Qissa Hai


Ik Saal Purana Qissa Hai

Ik Larka Tha Deewana Sa

Karta Tha Manmana Sa

Wo Shokh Shokh Chanchal Sa

Mehka Mehka Pagal Sa

Ik Roz Muhabbat Ker Betha

Or Ab K Sal Ka Qissa Hai

Ab Wo Mazi Ka Hissa Hai

Wo Pyaar Pe Jaan Ko Waar Gya

Or Apne Aap Ko Maar Gya

Sare Jag Se Jeet Gya

Bas Apne Aap Se Haar Gya . .

~ Mujhy Bass Itna Kehna Hai ~


~ Mujhy Bass Itna Kehna Hai ~
Kabhi Main Yaad Aao’n Tou
Kabhi Tanhai Ki Raatei’n
Tumhei’n Zyada Sataei’n Tou
Kabhi Titli Na Bole’y Tou
Kabhi Jugnoo Laut Jayei’n Tou
Kabhi Jab Dil Bhi Bhar Jaaye Tou
Koi Jab Sun Na Paaye Tou
Agar Sab Dost Saathi Bhi
Jo Tum Sy Rooth Jayei’n Tou
Kabhi Jab Khud Sy Lad Lad Kar
Thakan Sy Choor Ho Jao Tou
Kabhi Chahty Bhi Huey Akeley
Ro Na Pao Tou
Apni Aankho’n Ko Band Karna
Mujhy Aawaz Dena
Aur…!!!
Phir Mere Tasawur Sy
Jo Chaho Keh Dena
Mere Kaandhy Py Sar Rakh Kar
Tum Jitna Chaho Ro Lena
Phir Jab Khud Mein Laut Jao Tou
Issi Dunya Mein Chaley Jana
Magar Bass Itna Kehna Hai
K Jab Bhi Dukh Ya Khushiyo’n Mein
Humei’n Dil Sy Pukaro Gy
Humei’n Saath Pao Gy
Humei’n Paas Pao Gy….!!



My Sweet Poetry
my-sweet-poetry.blogspot.com

Tumein paa k khona mare bas main nahe


Tumein paa k khona mare bas main nahe
Ab koe aur zakham pirona mare bas main nahe,
Ek umr tk dhoya hai dil k dagoon ko
Ab ye dagh dhona mare bas main nahe,
Jaag chuke hain bohat shab ki tanhaiyon main k
Ab raton ko sona mare bas main nahe hai,
Khushyon ki aakhri umeed le k aaya hon tere dar py
Dukhon main ab rona mare bas main nahe,
Tere baad nazar aati nahe mujhy koe b manzil
Kisi aur ka hona ab mare bas main nahe……

Ajeeb karb mein guzri, jahaan jahaan guzri


Ajeeb karb mein guzri, jahaan jahaan guzri
Agerchay chaahnay waalon k dermiyaan guzri

Tamaam umer jalaatay rahay chiraagh-e-ummeed
Tamaam umer ummeedon k dermiyaan guzri

Guzer gai jo teray saath, yaad-gaar hai wo
Teray baghair jo guzri, balaa-e-jaan guzri

Mujhay sukoon mayassar nahi to kya ghum hai
Gulon ki umer to kaanton k dermiyaan guzri

Ajeeb cheez hai ….. ye gerdish-e-zamaana bhi
Kabhi zameen pay, kabhi misl-e-aasmaan guzri.

yaro kisi qatil se kabhi pyar na mango


yaro kisi qatil se kabhi pyar na mango
apne hi gale k liye talwar na mango

gir jaoge tum apne masiha ki nazar se
mar kar bhi ilaj-e-dil-e-bimar na mango

khul jayega is tarah nigahon ka bharam bi
kanton se kabhi phul ki mahkar na mango

sach bat pe milta hai sada zahar ka pyala
jina hai to phir Jurrat e izhar na mango

us chiz ka kya zikr jo mumkin hi nahin hai
sehra mein kabhi saya-e-diwar na mango

Agar wo pyaar kar laiti


Agar wo pyaar kar laiti
Maira daaman pakaR laiti

To jeevan main faqat us say
Mohabbat farz ho jaati
Mohabbat qarz ho jaati

Magar

Acha kiya us nay
Mujhay samjha kay chal nikli

Mujhay thukra kay chal nikli
Bohat nadaan si hay wo

Abhi anjaan si hay wo
Kahan ma’loom hay us ko

Mohabat zindagi main bus
Faqat ik baar milti hay

Agar thukra kay chal niklain
To umrain beet jaati hain
Mohabbat ki tamanna main

Magar

Har aik rastay pay
Sirf ruswaaii milti hay
Faqat tanhaaii milti hay

Dasht-e-gurbt may mufliso ka lahoo aam bikta hai


Dasht-e-gurbt may mufliso ka lahoo aam bikta hai
Kisi ka jism bikta hai kisi ka naam bikta hai

Dunya degi kya tumko..?? Or tum loge kya isse..??
Aa mera daman thaam k mekada-e-jaam bikta hai

Hirs k bazaro may hawwa ki beti ka anchal..
Pehle subho ko bikta tha mgr ab shaam bikta hai..

Ameer-e-shehr k mehlaat ki baat b khoob hai..
Magr fakeer-e-shehr ki gaud may araam bikta hai.

Tum kiyon bany thy dil ka sahara jawab do,


Tum kiyon bany thy dil ka sahara jawab do,
Ab kahan hai wo pyar tumhara jawab do,
Kis ko tha naaz apni adaaon pe har ghari,
Hum to seh na seken ge judai ka gham,
Ye qoul tha mera k tumhara jawab do.
Ek taraf zindagi ek taraf maot hai,
Ab kis taraf karo gy ishara jawab do.

kitni aziyat se mujhe usne bhulaya hoga


kitni aziyat se mujhe usne bhulaya hoga
meri yaad ne usey khoob rulaya hoga

baat be baat jo aankh uski jhalki hogi
usne chehre ko baazuon mein chhupaya hoga

socha hoga usney din mein kai baar mujhe
naam hatheli pe bhi likh likh kar mitaya hoga

jahan usne mera zikr suna hoga kisi se
uski aankhon mein koi aansu to aaya hoga

raat ko bhi der tak neend na aayi hogi
usney takiye ko bhi seene se lagaya hoga

hoke nidhaal meri yadon se uss ne
meri tasveer se sar apna tikaya hoga

poochha hoga jo kisi ne us ki halat ka sabab
uss ne baaton mein khoob uss sey chhupaya hoga

jab kabhi chand ko dekha hoga akela uss ne
ussey mera pyar bada yaad aaya hoga

ungli pakar chalna sikhaya tha jinko


ungli pakar chalna sikhaya tha jinko
qadam unse mila ke chalna mahaal hogaya

shikayat yahi rahi hogi maa baap ki mere bhi mujhse
kaash is ehsaas ne us waqt jagaya hota

aj jis dard se mein guzar raha hoon
maa baap ka wo dard mitaya hota ….

GALTI MERI THI


GALTI MERI THI”
Usne mujhe chaha hi nahi’
Main chahat samajh bethi.
.
“GALTI MERI THI”
.
Uski pal bhar ki muskurahat ko piyar samjh baithi
.
“GALTI MERI THI”
.
Wo to har baat par haan karta tha
Main hi iqraR samjh baithi
.
“GALTI MERI THI”
.
Usne mujhse ziyada ehmiyat di mere doston ko
Main uski ye ada mazakh samjh baithi
.
“GALTI MERI THI”
.
Usne kaha bhi tha koi or hai meri zindagi mE
Main hi khud ko uski zindagi samajh baithi
.
“GALTI MERI THI’

Dosti Pehli Baarish Ki Boondo Mein Hai


Dosti Pehli Baarish Ki Boondo Mein Hai
Dosti Khilte Phool Ki Khushbu Mein Hai

Dosti Ugte Suraj Ki Kirno Mein Hai
Dosti Har Naye Rishte Ki Umeed Hai

Dosti Khwaab Hai, Dosti Jeet Hai
Dosti Pyaar Hai, Dosti Geet Hai

Dosti Sang Chalti Hawaaon Mein Hai
Dosti In Barasti Ghataaon Mein Hai

Dosti Doston Kiwafaaon Mein Hai
Haat Utha Kar Jo Maangi Hai Dua

Dosti Ka Asar In Duaaon Mein Hai
Dosti Pehli Baarish Ki Boondo Mein Hai



My Sweet Poetry
my-sweet-poetry.blogspot.com

Yun Dosti K Naam Ko Rusvaa Na Kijiye


Yun Dosti K Naam Ko Rusvaa Na Kijiye
Tark-e-Ta?alluqaat Ka Charcha Na Kijiye

Jurm-O-Sitam Ka Paas Bhi Ulfat Mein Shart Hai
Palkon Ko Aansuon Se Bhigoya Na Kijiye

Aisaa Na Ho Ummeed Se Rishta Hi Toot Jaaye
Har Roz Mujhse Vaada-e-Fardaa Na Kijiye

Hamdard Jis Ko Apna Samajhte Rahe Hain Aap
Us Ka Hi Zindagi Mein Bharosa Na Kijiye

Do pyase dil aik huwe hain aise


Do pyase dil aik huwe hain aise
Bichare ge ab kaise

Tum pyaar mujhye karte hi rahna
Sari umar tum aise

Ek douje main kho jate hain
Nadiya sagar jaise

Tuj se hay yeh zindgani
Tuj se hay jiwan kahani
Tuj se hay sanj aur sawera

Sathi kabhi tu na ruthe
Rasmon ki diwaar tutye
Tutye na bahoon ka ghira
Mere sanam teri kasam
Tuj se hay wahda yeh mera
Aise raheen ge
nain aur nindea jaise

Qadmon tale har khushi hay
Kitni haseen zindagi hay
Jiwan yunhi beet jaye

Aankhon k tu roeberoe hay
Dekhon jidhar tu hi tu hay
Tuj bin nazar kuch na aye
Hay zindagi humain kabhi
Zamana judaa kar na paye
Aise raheen ge
phool aur khushbo jaise




My Sweet Poetry
my-sweet-poetry.blogspot.com

Zindagi mein baatein bahut kar liye?


Zindagi mein baatein bahut kar liye?
Sun liye hai zawab bhi?kabhi Dosto se, Kabhi Dushmano se,
Lavso ke is bhir mein ghutan si hoti hai ab to?.
Mujhe sannata chahiye?.. ?
Isliye Khamoshi se Dosti kar liye?..
Baaton ki tanashahi bardasht karne ki taaqat na rahi??..
Viraane mein sar chupane ki jagah chahiye?.. ?.
Alfaazon ki koi matlab hi nahi milta??. .
Isliye Khamoshi se Dosti kar liye?..
Rahegi tamannaye, tamannaye to rahti hai??.
Par halaat yeh hai ki ab saare Hosh?o?Hawas kho chuke??. .
Is Bedardi ko kab tak jhel sakti hai yeh Dil?o?Dimaag??
Armaano se tang aa chuke hai hum bhi??
Isliye Khamoshi se Dosti kar liye?..
Musquraahaton se roshan hoti rahegi yeh Duniya?? ..
Mujhe roshniyon se dar lagne laga hai??
Mujhe Andhera Chahiye?..
Isliye Khamoshi se Dosti kar liye?..

yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise


yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise

log yuun dekh kar hans dete hain
tuu mujhe bhool gayaa ho jaise

ishq ko shirk kii hadh tak na badhaa
yuun na mil hamse Khudaa ho jaise

maut bhii aaii to iss naaz ke saath
mujh pe ehasaan kiyaa ho jaise

aise anjaan bane baithe ho
tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise

hichkiyaan raat ko aatii hii rahiin
tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise

zindagii beet rahii hai “daanish”
ek bejurm sazaa ho jaise




My Sweet Poetry
my-sweet-poetry.blogspot.com

Mili Har Qadam Per Rafaqat Tumhari


Mili Har Qadam Per Rafaqat Tumhari
Kahan Hum Kahan Yeh Inayat Tumhari

Humay Chahiya Bus Ta’aluq Tumhara
Muhabbat Milay Yah Adawat Tumhari

Kisi Say Bhe Milna Usay Jeet Laina
Bari Dil Nashen Hay Yeh Adat Tumhari

Na Dekha Jahan Main Koi Aur Tum Sa
Bari Munfarid hay Tabiyat Tumhari

Humhay Zindagi Kay Kaen Rastoon Par
Hamesha Rahay Ge Zaroorat Tumhari



My Sweet Poetry
my-sweet-poetry.blogspot.com

Zara tham tham k barsa kar


Zara tham tham k barsa kar
abhi itna na rotha kar

Abhi to dur hai manzil
Abhi khud ko na tanha kar

Teri ankhen smandar hen
Samandar ko na sehra kar

Mera dil doob jata hai
Mujhe ase na dekha kr

Hawa mujh se kahe pagal
Na yun raston me betha kar

Wo ek din chor jaye ga
Usay itna na chaha kar

Aj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya


Aj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya.

Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.

Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.

Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya.

Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu boht yaad aaya?..



My Sweet Poetry
my-sweet-poetry.blogspot.com

Kuch Khawab Suhaany Toot Gay


Kuch Khawab Suhaany Toot Gay,
Kuch Yaar Purany Rooth Gaye.

Kuch Zakham Lagy Thy Chehry Par,
Kuch Ander Se Hum Toot Gaye.

Kuch Hum Thy Tabiyat K Saada,
Kuch Log Begany Loot Gaye.

Kuch Apno Ne Badnaam Kiya,
Kuch Ban Afsany Jhoot Gaye.

Kuch Apni Shikasta Nao Thi,
Kuch Humse Kinaary Choot Gaye.

ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise


ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise
shahar ka shahar hi aseb zada ho jaise

rat ke pichle pahar ati hain avazain si
dur shahara main koi chiKh raha ho jaise

dar-o-divar pe chai hai udasi aisi
aj har ghar se janaza sa utha ho jaise

muskurata hun pa-e-Khatir-e-ahabab magar
dukh to chehre ki lakiron pe saja ho jaise

ab agar dub gaya bhi to marunga na ?Kamal?
bahte pani pe mera nam likha ho jaise




My Sweet Poetry
my-sweet-poetry.blogspot.com

Tum Se Judai Ke Ansoo Ankhon Me Rehte Hain


Tum Se Judai Ke Ansoo Ankhon Me Rehte Hain
Kisi Ke Samne Kahan Ye To Dil Mein Behte Hain

Zindagi Ka Saleeqa Kahan Hey Humain Ab Dugmagate Hain Qadam
Tum Ho ZINDGI Meri Hum To Bar Bar Yehi Kehte Hain

Hey Husrat-e-Dil Key Koi Bhi Pal Na Teri Yaad Se Gafil
Hum Soye Kahan Hain Bus Jagte Rehte Hain

Itna Chale Hain Ke CHal CHal Key Thak Gaye Hain
Sitare To Buhat Hain Per Hum Tumhain CHAAND Kehte Hain

Tum Se Judai Ke Ansoo Ankhon Me Rehte Hain
Kisi Ke Samne Kahan Ye To Dil Mein Behte Hain

Agar kush hai woh dekh kar ansu meri ankhon me


Agar kush hai woh dekh kar ansu meri ankhon me,
To khuda ki kasam hum muskurana hi chod denge.
Tadapte rahenge use dekhne ko
Magar uski taraf palke uthana hi chod denge.
Wo manjil hi kya meri jo dukh de us ko,
Khuda ki kasam us manjil pe hum jana hi chod denge!



My Sweet Poetry
my-sweet-poetry.blogspot.com

kadam thak gaye hai dur nikalna chhod diya hai


kadam thak gaye hai dur nikalna chhod diya hai,,
par aisa nahi hai ke maine chalna chhod diya hai..
aaj bhi akele hai duniya ki bheed mai,,
par aisa nahi ki maine zamana chhod diya hai..
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...