Custom Search

dil to kahta hai zamane se chura lon tujh ko


dil to kahta hai zamane se chura lon tujh ko
dil ki dharkan ki tarha dil mein basa lon tujh ko

koi ahsas judai ka na rahne paye
es tarha khud mein meri jan chupa lon tujh ko

tu jo rothe mujh se mere zindgi k malek
sari dunia se khfa ho kr mana lon tujhe ko

jb bhi main daikho tere chahre pe udasi ka sama
bs ye chaho kise tarha hansa lon tujh ko

‎"Bohut Takleef Deta Hai Kisi Ko Al-Vida Kehna !!


‎"Bohut Takleef Deta Hai Kisi Ko Al-Vida Kehna !!
Dikhai Kuch Nahi Deta..
Sunai Kuch Nahi Deta..
Faqat Kuch Kap-Kapatey Lafz...
Jo Hoonton Per Theher Jayen..
Ubharti Doobti Dharkan...
Usey Aawaaz Deti Hai.
Koi Apna Ke Jis Ka Naam Apne Dil Pe Likha Ho...
Ke Jis Ke Wastey Dil Se Duaein Hi Nikalti Hoon..
Bohat Takleef Deta Hai Ussi Ko Al-Vida Kehna....
Jisey Dil Mein Basaya Ho..
Barey Hi Maan Se Jiss Ko Kabhi Apna Banaya Ho...
Bohat Takleef Deta Hai Ussi Ko Al-Vida Kehna...
Bohat Takleef Deta Hai..Kisi Ko Al-Vida Kehna.........

bheegi howi hai raat magr jal rahe hain hum


bheegi howi hai raat magr jal rahe hain hum
hone lage barsaat magar jal rahe hain hum

senay mein kaisa dard hai honto pe kaise pyaas hai
kaisay bataen hum tumhe anjana ahsas hai

tum ho hamare sath magar jal rahe hain hum
hone lage barsaat magr jal rahe hain hum

bheegi howe hai raat magr jal rahe hain hum
baithe to hain jan e aada chahat k saaye talay

phr bhi hain kun bechaneyaan ye waqt kun na dhalay
hay shabnami mulaqat magr jal rahe hain hum

hone lage barsaat magr jal rahe hain hum
bheegi howe hai raat magr jal rahe hain hum

Ishq qaatil say bhi, maqtool say hamdardi bhi



Ishq qaatil say bhi, maqtool say hamdardi bhi,
Yeh bta kis say muhabbat ki jaza mangay ga.
Sajda Khaaliq ko bhi, iblees say yarana bhi,
Hashr mein kis say aqeedat ka sila mangay ga.

Bhool Jana Bhi Usay Yaad bhi Kartay Rehna


Bhool Jana Bhi Usay Yaad bhi Kartay Rehna,
Acha Lagta Hai Isi Dhun Mein Bikhartay Rehna,

hijar walon Se Bari Dair Se Sikha Humne,
Zinda Rehnay K Liye Jan Se Guzartay Rehna,

Kya Kahun Q Mere Neendon Me Khalal Dalta Hai,
Chand K Aks Ka Pani Mein Utartay Rehna,

Main Agar Toot Bhi Jaon Toh Phir Aaina hoon,
Tum Mere Baad Bhi har Roz Sanwartay Rehna,

Shaam Ko Doobtay Suraj Ki Hai Aadat,
Subha Hotay Hi Mere Sath Ubhartay Rehna……

Kabhi daman kabhi palkain bhigona KIS ko kehtay hain


Kabhi daman kabhi palkain bhigona KIS ko kehtay hain,

Kisi mazlom se pocho k “RONA” kis ko kahtay hain,

Kabhi meri jaga khud ko rakho phir “JAAN” jao gay,

K dunya bher k dukh dil main “SIMONA” kis ko kahtay hain,

Meri aankhon meray chehray ko ik din “GHOR” say daikho,

Mager mat puchna “WEERAN” hona kis ko kahtay hain,

Tumhara dil kabhi piglay agar “GHUM” ki hararet se “FARAZ”,

Tumhain malum ho jae ga k “KHONA” kis ko kehtay hain…!

Mere pagal piya mri chahat na kr


“Mere pagal piya mri chahat na kr
,Mjhe daikha na kr mjhe socha na kr

Mri be khawab ankhon ma na janka kr
Ma to kho jao gi mjhe na dhonda kr

Ma hun bad-e-saba jo rukti ni
Ma hun esi ghata jo barasti ni

Ma esi leher hun jis ma halchal na ho
Na tm ko dabo de ye lehrain kahen

Mere pagal piya aisi khawaesh na kr
Ma wo sapna hun jo k sach na ho

Ma wo umeed hun jo ke adhori rhey
Ma wo rasta hun jiski na manzil miley

Ma wo sehraa hun jis ma bhatak jao ge
Mere pagal piya aisay raste na chal

Mere pagal piya mri chahat na kr...

Apne Saaye Se Bhi Ashkon Ko Chupa Ker Rona


Apne Saaye Se Bhi Ashkon Ko Chupa Ker Rona,
Jab Bhi Rona Ho To Chiragon Ko Bhuja Ker Rona,

Log Parh Letey Hein Chehrey Pe Likhi Sab Baatein,
Bara Mushkil Hai Logon Se Chupa Ker Rona,

Hath Bhi To Wo Shakhs Mila Ker Na Gaya,
Jis Ko Chaha Tha Seeney Se Laga Ker Rona

Chalo aao ab mosam ka soroor Chakhain


Chalo aao ab mosam ka soroor Chakhain,
tamam dawain bachoon ki puhach say door rakhain.

Tum say milny ki ab kia justujo karain,
Tabyat ziada kharab ho to doctor say rujo karain.

humari chahat ka kuch to khayal karain,
syrup ko achi tarha hilla ker istamal karain.

Dil mara toot gaya uthi jab us ki dolli,
Subha dopaher sham aik aik goli.

Dil mera ishq karny par razamand rahy ga,
juma k din clinic band rahy ga.



My Sweet Poetry
my-sweet-poetry.blogspot.com

Ammal ki sookhti rag mein zara sa khoon shamil kar...!!!


Ammal ki sookhti rag mein zara sa khoon shamil kar...!!!
Mere humdum faqt bateen bana kar kch nahi milta...!!!

Tum aao to hum bhi EID karen


Tum aao to hum bhi EID karen
Hasrat hai tumhari deed karen

Kuch der to dil ko chain mily
Kuch roz to mann k phool khilen

Kehty hain k EID ki aamad hai
Hum log bhi kuch taaeed karen

Tum se ik ye guzarish hai
Ye apny dil ki khwahish hai

Ik bar milo
Ik bar milo
Hr bar ye hi taakeed karen

Maana k hum deewany hain
Sab baaton se anjany hain

Jab apny bhi begany hain,
Kiya ghairon se ummeed krain

Tum aao to hum bhi Eid karen
Tum aao to hum bhi Eid karen.

Phir Na Simtay Gi Mohabbat Jo Bikhar Jaye Gi


Phir Na Simtay Gi Mohabbat Jo Bikhar Jaye Gi
Zindagi Zulf Nahi Phir Jo Sanwar Jaye Gi

Tham Lo Hath Us Ka Jo Pyar Kare Tum Sy
Ye Zindagi Theray Gi Nahi Guzar Jaye Gi.

Raat Katti Rahi Chaand Dhalta Raha


Raat Katti Rahi Chaand Dhalta Raha
Aatish -e- Hijar Main Koii Jalta Raha

Ghar Ki Tanhaiyan Dil Ko Dasti Rahi
Koii Be Chain Ho Kay Karwat Badalta Raha

Aas -o- Umeed Ki Shama Roshan Rahi
Ghar Ki Dehleez Ko Koii Takta Raha

Raat Bhar Chaandni Gungunati Rahi
Raat Bhar Koii Tanha Sisakta Raha

Ashk Palkon Pay Aa Kay Bikhartay Rahay
Naam Lab Pay Kesi Ka Larazta Raha

Aaj Phir Raat Basar Ho Hi Gaii
Aaj Phir Koii Khud Say Ulajhta Raha
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...