Custom Search

kabhi samoya kabhi daboya kabhi nikal bahir paynka


kabhi samoya kabhi daboya kabhi nikal bahir paynka
samandar-e-eshaq teri adatay maray apno jaysi hayn

koi pochay in ki tasveer may un ka kya hay



ankh nargis ki zulf ghatayen c hayrat meri
koi pochay in ki tasveer may un ka kya hay

yah keya nahi, woh huva nahi, yah mila nahi, woh raha nahi


hasil zindgi hasrato k siva kuch bhi nahi...
yah keya nahi, woh huva nahi, yah mila nahi, woh raha nahi

tanha udas chand ko samjo na baykhabar


tanha udas chand ko samjo na baykhabar
har bat sun raha hay magar bolta nahi .....

yah sab rastay k sathi hay inhay akhir bicharna hay


yah sab rastay k sathi hay inhay akhir bicharna hay
chalo ab ghar chalay mohsin bahout avargi kar li....

Barishon k mosam main


Barishon k mosam main
tum ko yad karny ki
Aadaten purani hain
Ab ki bar socha hai
Aadaten badal dalen
Phir khayal ata hai
Aadaten badalny se
Barishen nhi ruktin

Udaas Logon ki Bastion mein.


Udaas Logon ki Bastion mein.
Wo Titlion ko Talash Kerti..
Wo Aik Larki..

Wo Gol Chehra Wo Kali Aankhain..
Jo Kerti Rehti Hazaar Baatain..
Mizaj Saada Wo Dil Ki Achi..
Wo Aik larki..

Wo Mohabbaton K Nisaab Janay..
Wo Janti Hai Ehad Nibhanay..
Wo Achi Dost Wo Achi Saathi..
Wo Aik Larki..

Wo Jhootay Logon Ko Sacha Samjhay..
Wo Saari Duniya ko Acha Samjhay..
Wo Kitni Saada Wo Kitni Pagli..

Wo Aik Larki


(⁀‵⁀,)♥ ♥ ♥
.`⋎´ ♥¸.•°*”˜˜”*°•. ♥
... ♥¸.•°*”˜˜”*°•. ♥ ♥

Main sun k uski sub batain


Main sun k uski sub batain,
Faqat itna hi kehta tha,
Khafa hona mana laina,
Yeh sadiyon say riwayat hay,
Gilay shikway karo mujh say,
Tumhain janan ijazat hay,
Magar ik baat meri bhi,
Tum yaad rakh laina,
Kabhi aisa bhi hota hay,
Hawa’ain rukh badalti hain,
Khata’ain ho hi jati hain,
Khafa hona bhi mumkin hay,
Khata hona bhi mumkin hay,
Hamaisha yaad rakhna tum,
Ta’aluq toot janay say,
Kabhi toota nahin kertay…!

Aadhi raat ke sapne shayad jhote thay


Aadhi raat ke sapne shayad jhote thay
Ya phir pehli baar sitare totey thay
Jis din sheher se bhaag ke sheher mein pohnchi thi
bhaag bhari ke bhaag usi din phoote thay
Mazhab ki bunyaad pe kya taqseem hui
Hamsayon ne hamsaye hi loote thay
Shokh nazar ki chutki ne nuqsaan kiya
Haathon se chaey ke bertan tote thay
Oorrh ke phirti thi jo naina saree raat
Us resham ki shaal pe yaad ke boote thay......


Aasman ke rangon mein rang hai sha-habi sa


Aasman ke rangon mein rang hai sha-habi sa
Dhiyaan mein hai phir chehra eik mah-tabi sa

Phir hawa chali shayad bhole bisre khwabon ki
Dil mein utth raha hai kuch shoq aztarabi sa

Tum ajeeb qatil ho, rooh qatal kerta ho
Daaghte ho phir maatha chaand ki rakabi sa

Harf pyar kw saare aa gaye thay aankhon mein
Jab liya tha haathon mein chehra wo kitabi sa

Kaum keh gaya hai maut tootney se aa-ti hai
Phool ne bikher ke baagh ker diya gulabi sa

Manzaron ne kirnon ka perahan jo pehna hai
Meine us ka rakha hai naam aaf-tabi sa

Boond boond hoti hai rang-o-noor ki barkha
Jab se mausam aaya hai naina mein sharabi sa...



Tum Mohabbat Bhi Mousam Ki Tarah Nibhatay Ho


Tum Mohabbat Bhi Mousam Ki Tarah Nibhatay Ho
Kabhi Barastay Ho Kabhi Ak Boond Ko Tarsatay Ho

Pal Main Kehtay Ho Zamanay Main Faqat Teray Hain
Pal Main Izhaar -e- Mohabbat Say Mukar Jatay Ho

Bhari Mehfil Main Dushmano Ki Tarah Miltay Ho
Or Duaon Main Mera Naam Liye Jatay Ho

Dayaar -e- Ghair Main Mujh Ko Talash Kartay Ho
Milon Tu Pass Say Chup Chaap Guzar Jatay Ho

Laakh Mousam Ki Tarah Rang Badaltay Raho
Aaj Bhi Toot Kay Shiddat Say Humay Chahatay Ho

Baaz Ajao Taghafil Say Warna Ahl-e-Dil Aksar,


Baaz Ajao Taghafil Say Warna Ahl-e-Dil Aksar,
Jisy Bhool Jate Hain Bas Bhool Jate Hain...



Yaa rab gham-e-hijraaN meN itnaa to kiyaa hotaa


Yaa rab gham-e-hijraaN meN itnaa to kiyaa hotaa
jo haath jigar par hai voh dast-e-duaa hotaa


ek ishq kaa gham aafat aur is pe ye dil aafat
yaa gham na diyaa hotaa, yaa dil na diyaa hotaa

ghairoN se kahaa tumne, ghairoN se sunaa tumne
kuchh hamse kahaa hotaa, kuchh hamse sunaa hotaa

ummiid to bandh jaatii, taskiin to ho jaatii
vaadaa na vafaa karte, vaadaa to kiyaa hotaa

nakaam-e-tamanna dil, is soch meN rahtaa hai
yuuN hotaa to kyaa hota, yuuN hotaa to kyaa hotaa

Chiragh Hasan Hasrat.........


Khaak mujh me koi kamal RAkha ha?


Khaak mujh me koi kamal RAkha ha?
Mere"RAB"Sb tu ne Sambhal RAkha ha,
Mere Aebon Pe Daal kr Parda,
Mujh ko Acchon me Daal Rakha hai,
Apne Daman Se kr k wabasta,
Hr musibat ko taal Rakha hai,
Main to kab ka he mit Gaya hota,
Mere maalik Teri Rhmat Ne Paal Rakha hai...
Is Dua k sath k Aap sb ..
Jahan Rahain..
Khush Rahain..
Aabad Rahain..
Slamat rahain..
Subah Bakhair..

wo humsafar tha magar us se hum nawayi na thi


wo humsafar tha magar us se hum nawayi na thi
k dhoop chaon ka aalam raha judai na thi

Adawatein thi
Taghaful tha
Ranjishen thi
Magar
Bicharne wale main sab kuch tha magar be wafai na thi

Bicharte waqt un aankhon main thi hamari ghazal
Ghazal bhi wo jo kabhi kisi ko sunayi na thi

kisay pukaar raha tha wo doobte huey din
sada to ayi thi lakin koi duhaayi na thi

kabhi ye haal k dono main yak-dili thi Mohsin
kabhi ye marhala jaise k aashnayi na thi

Woh mujhay bhool hi gaya ho ga


Woh mujhay bhool hi gaya ho ga
itni mudat khafa nahi rayhta.......

Teri Yaad Wird-e-Zubaan Huwi, Jo Ajab Rang Dikha Gayi,


Teri Yaad Wird-e-Zubaan Huwi, Jo Ajab Rang Dikha Gayi,

Kabhi Ashk Aankh Mein Aa Gaye, Kabhi Aah Dil Mein Samaa Gayi..

Kab Tak kisi k sog main roain gai raat bar


Kab Tak kisi k sog main roain gai raat bar

Ham khud ko kai baar samja K ro pare

Paniyon Paniyon Jab Chand Ka Haala Utraa


Paniyon Paniyon Jab Chand Ka Haala Utraa
Neend Ki Jheel Par Ek Khwab Purana Utraa,

Aazmaesh Mein Kahaan Ishq Bhi Poora Utra
Husn Kay Aage To Taqdeer ka Likha Utraa,

Dhoop Dhalne Lagi, Dewaar Se Saaya Utra
Satah Humwaar Hoi Piyar Ka Dariya Utraa,

Yaad Se Naam Mita Zehn Se Chehra Utraa
Chand Lamhun Mein Nazar Se Teri Kiya Kiya Utraa,

Aaj Ki Shab Main Pareshaan Hoon To Yoon Lagta Hai
Aaj Mahtaab Ka Chehra Bhi Hai Utraa Utraa,

Meri Wehshat Ram-e-Aahu Se kaheen Barh Kar Thi
Jab Meri Zaat Mein Tanhai Ka Sehraa Utraa,

Ek Shab-e-Gham K Andhere Pe Nahi hai Maoqoof
Tune Jo Zakhm Lagaya Hai Woh Gehra Utraa.

suno tum rooth jatay ho


suno tum rooth jatay ho

suno tum rooth jatay ho

to hum par kya guzarti hai?

na dil main chain hota hai

na jeewan sath hota hai

na koi phool khilta hai

na humse koi chand milta hai

suno tum jab bhi milte ho to

ajab sa chain milta hai

tufaan main, aandhiyun main bhi

wafa ka deep jalta hai

baharain mehak uthti hain

khizain raqs karti hain

Suno

tum milte raha karo

mjhe kuch aas milti hai

khushyun ki mala khilti hai

sabhi kuch mehak uthta hai

sukoon e qalb milta hai♥

Usay Barish Pasand hai..


Usay Barish Pasand hai..


mujhe Barish me wo..


Usay hasna Pasand hai..
...
mujhe hanste hoye wo..


Usay bolna Pasand hai..


muje bolte hoye wo..


Usay sub kuch Pasand hai..


Or.....


Muje bass wo..



Suno tum se Zarori baat krni hy


Suno
tum se Zarori baat krni hy
Samundar k kinary pr
Chaly aao bahany se
Mujy tum pr bhrosa hy
Tumhain muj pr bhrosa hy
Mujy tum se mohabbat hy
Tumhain muj se mohabbat hy
Mgr ye b Haqeqat hy
Hamary Darmiyan jb b
Milny ki baat hoti hy
Kabi main taal deta hun
Kabi tum roth jaty ho
Hai aisa is lye shayd
Tumhain main pa nahi skta
Mujhe tum kho nahi skty
Chalo phr aaj hum dono
Samandar me utar jain
Mohabbat ki kahani ko
Ajal k naam kr jain !!..


Juda hone k mausam mai juda hona zarori hai


Juda hone k mausam mai juda hona zarori hai
najane kyu kisi ka bewafa hona zarori hai

Mere dil ne jo isko poojne ki inteha kardi
tu phir us bewafa ka khuda hona b zaroori tha

kisi se na koi shikwa na koi shikayat hai
jo mere saath chahat mai hua hona zaroori tha

Buht nazdeek the dil islei ab dooriyan b hain
Dilon k darmiyan kuch fasla hona zarori hai

Usay bhi dard dene ka buht hi shok tha
Hume bhi dard-o-gham se ashnaa hona zarori tha....



Yahan Lehroon Nay Saahil Say Judda Hona Hi Tha


Yahan Lehroon Nay Saahil Say Judda Hona Hi Tha
Jis Tarhan Hum Nay Chaha Us Tarhan Hona Hi Tha

Raiza Raiza Ho Kar Beekhra Fizzaon Main Baddan
Chaandni Ki Chaah Main Yeh Haadsa Hona Hi Tha

Hadoon Say Ghuzar Kar Hum Nay Pooja Tha Jinhain
Un Haseen Logon Nay Aakhir Dewata Hona Hi Tha

Ummar Bhar Dil Shaad Rehta Tark-E-Ulfat Pay Mera
Ek Baar Tu Woh Poochta Agar Bewafa Hona Hi Tha

Hain Mundaamil Ab Chahatoon K Woh Zakham
Jal K Dil Ki Raakh Nay Aakhir Dawa Hona Hi Tha...


Mujhko Dhoke De Gaya Mera Zooq-e-Intekhaab..


Mujhko Dhoke De Gaya Mera Zooq-e-Intekhaab..
Dar Haqiqat Log Jo AChay Na They Wahi aChey Lagy..!!


Muhabbat ki aik barri nishani..!


Muhabbat ki aik barri nishani..!
Baat bey baat muskura daina


Jabb takk na lagay zindagi main bewafayi ki thokar


Jabb takk na lagay zindagi main bewafayi ki thokar,
Har kisi ko apni pasand par naaz hota hay = )

Qabl Itna Nahi Keh Khara Ho Sakau KHUDA Ki Bargah Mein IQBAL


Qabl Itna Nahi Keh Khara Ho Sakau KHUDA Ki Bargah Mein IQBAL

Zara Si Khak Hu Phir Bhi Na Jane Kis Bat Ki Ana Hai Mujh Mein

Aankh Mein Aansu'on Ka Maatam Hai..


Aankh Mein Aansu'on Ka Maatam Hai..

Phir Koi Khuwab Marr Gaya Shayad..

One of these days is YESTERDAY


One of these days is YESTERDAY
with all its mistakes and cares,
its faults and blunders,
its aches and pains.


YESTERDAY has passed forever
beyond our control.
All the money in the world
cannot bring back YESTERDAY.


We cannot undo a single act we performed;
we cannot erase a single word we said.
YESTERDAY is gone forever.


The other day we should not
worry about is TOMORROW
with all its possible adversities, burdens,
its large promise and its poor performance;
TOMORROW is also beyond our immediate control.


TOMORROW'S sun will rise,
either in splendor or behind a mask of clouds, but it will rise.
Until it does, we have no stake in TOMORROW,
for it is yet to be born.


This leaves only one day, TODAY.
Any person can fight the battle of just one day.
It is when you and I add the burdens
of those two awful eternities
YESTERDAY and TOMORROW that we break down.

It is not the experience of TODAY
that drives a person mad...
It is the remorse or bitterness of something
which happened YESTERDAY and the dread of what
TOMORROW may bring.

Let us, therefore,
Live but One Day at a Time....



Anmol jo insaan hain be mol bikay hain


Anmol jo insaan hain be mol bikay hain
dunia k es bazar ki tum awqaat na pocho:)

Takhleeq-e-kaainat ka matlab samajh gaya


Takhleeq-e-kaainat ka matlab samajh gaya
teray takallufat ka matlab samajh gaya

Ahbaab kar rahay hen bardi charasazian
shayed taweel raat ka matlab samajh gaya

Ham chal rahay hen teray iradon kay saath saath
majboori e hayat ka matlab samajh gaya

shayed keh ham nibah kay la,iq nahi rahay
tark e talluqaat ka matlab samajh gaya

Aey dost niyaton kay taqazay kuch aur hen
is rang e iltifat ka matlab samajh gaya


Shafa deta hai zakhmo ko tumhara marhami laihja.


Shafa deta hai zakhmo ko tumhara marhami laihja.
Magr jo dil pe chalte hain wo khanjar bhi tumhare hain.

Bare masoom jazbon se


Bare masoom jazbon se
wo apne shokh hatho par
wafa ki surkh manhdi se
os ka naam likhti the
jisay wo pyar karti thi
magr wo na samjh larki
abi tk ye na samjhe thi
sapne tot jaein to bhut barbad karte hain
ye uljhe raan hatho pe kbhi thara nahe karte
muhabat to haqiqat hai
koi sapna nahe hota
kise ka naam likhne se
koi apna nahe hota.

tanhai k lamho may kabhi ro bhi lyia kar......


har waqat ka hasna tujhay barbat na kar day
tanhai k lamho may kabhi ro bhi lyia kar......

Kuch khwab na daykhay to guzara nahi hota

ham need k shoqueen zyiada to nahi laykin
Kuch khwab na daykhay to guzara nahi hota

Miss you Very Much



Miss you very much...
teri yad ki grift aksar mujhay apnay hartho ki lakero may ulja dayti hay

Mohabbat jheel jesi ha....


Mohabbat jheel jesi ha....
Na janey kitni gehri ha !!!


Na janay kon sa assayb dil may rayhta hay


Na janay kon sa assayb dil may rayhta hay
kah jo bhi thera akhira makan chor gaya...

Beautiful by Parveen Shakir

Dil Karta Hai Zindgi Ko Kise Qatil k Hawale Kar Don


Dil Karta Hai Zindgi Ko Kise Qatil k Hawale Kar Don.
Ror Roz Ka Marna Ab Mujh Se Bardasht Nahe Hota.

Koi dikha k roye koi chupa k roye


Koi dikha k roye koi chupa k roye
hamen rulane wale hamen rula k roye
marne ka maza to tb hai yaro
jab qatil bhi janaze pe aa k roye

Mere bad meri ye kahani likhna


Mere bad meri ye kahani likhna
kaise barbad howi meri ye jawani likhna.
Ye likhna ose intezar bhut tha
akhri sans ki kaise howi rawani likhna
jo qasmen khai thi os ne pyar mein
in qasmon ki kya howi os par qurbani likhna.

Itna Tota Hon Kay Choonay Se Bikhar Jaon Ga...!!


‎*** Itna Tota Hon Kay Choonay Se Bikhar Jaon Ga...!!
*** Aab Agaar Or Azamoo Gaay To Maar Jaoon Ga...!!

*** Ek Arzi Musaaffir Hoon Main Teri Kaashti Main...!!
*** To Jahan Mujhe Say Kahay Ga Utaar Jaon Ga....!!

*** Hath Pakro Gay To Saya Ban Kar Sath Rahon Ga..!!
*** Hath Choro Gay to Hmesha Kay Liay Bichar Jaon Ga..!!

Kitna bhi chaho na bhol paoge

»»-(¯`·Ù * ..•*aryan♥.•*´¯)-»-»♥
Kitna bhi chaho na bhol paoge ♥.•*´¯)-»-»♥
Kitna bhi chaho na bhol paoge.. 
Kitna bhi chaho na bhol paoge.. .•*´¯)-»-»♥
Hum se jitna dur jao nazdik pao ge.. 
Humein mita sakte ho to mita do, ♥.•*´¯)-»-»♥
yaadein meri, magar..
kya sapno se juda kar pao ge humein..Kyu itni teri yaad satati hai, .•*´¯)-»-»..•*´¯)-»-»♥
.•°*”˜˜”*°•.˜”*°•.˜”*°•••.•••°*”˜.•°
*”˜˜”*°•.˜”*°•.˜”*°•••.•••°*”˜.•°*”˜.•°*”˜˜”*°•.
*•.¸¸.•*´¨`*•.¸¸ •.¸¸.•*´¨`*•.¸¸.•*
.•°*”˜.•°*”˜.•°*”˜ .•°*”˜ ˜”*°•. ˜”*°•.˜”*°•.˜”*°•.
Kisi ko bhi dekhun bas tu hi nazar aati hai..
Har ada teri itni pyaari si lage yun, .•*´¯)-»-»♥
Jaise tu har waqt mere saamne khadi hai...•*´¯)-»-»♥
.•°*”˜˜”*°•.˜”*°•.˜”*°•••.•••°*”˜.•°
*”˜˜”*°•.˜”*°•.˜”*°•••.•••°*”˜.•°*”˜.•°*”˜˜”*°•.
*•.¸¸.•*´¨`*•.¸¸.• •.¸¸.•*´¨`*•.¸¸.•*
.•°*”˜.•°*”˜.•°*”˜ .•°*”˜ ˜”*°•. ˜”*°•.˜”*°•.˜”*°•.
**********************************************»»-(¯`·Ù * ..•*´¯)-»-»♥
╔╗
║║
║║
╚╝
ψ★ψ
╔╗
║║╔═╦╦╦═╗
║╚╣║║║║╩╣ faiza
!♥♥ .•*´¯)-»-»♥
╚═╩═╩═╩═╝.•°*”˜˜”*°•.˜”*°•.˜”*°•••.•••°*”˜.•°
*”˜˜”*°•.˜”*°•.˜”*°•••.•••°*”˜.•°*”˜.•°*”˜˜”*°•.
*•.¸¸.•*´¨`*•.¸¸.• •.¸¸.•*´¨`*•.¸¸.•*
....»»-* ..•*´¯)-»My Sweet Poetry»♥(¯` Z♥.•*´¯)-»-»♥
.•°*”˜.•°*”˜.•°*”˜ .•°*”˜ ˜”*°•. ˜”*°•.˜”*°•.˜”*°•.
**********************************************
**********************************************

Aaya Naa Tujhe Raas, Koi Ghar Bhi Qafas Bhi


Aaya Naa Tujhe Raas, Koi Ghar Bhi Qafas Bhi
Ab Aae Dil-e-Kam'Zarf, Kisi Shehar Mein Bass Bhi

Thukraa Ke Jo Aaya Hai, Samandar Ki Sakhaa'wat
Ab Dasht-e-Musaafat Mein, Ghata'on Ko Taras Bhi

Main Payas Kaa Sehraa, Ke Guzar-Gah Hoon Teri
Toa Abbar Ki Soorat Hai, Kabhi Mujh Pay Baras Bhi

Mohsin Mujhe Cher'rain Gay Bohat Chaand, Nadi, Phool
Aaya Naa Meraa Yaar, Aggar Ab K Baras Bhi…………!!!



Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya,


Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya,
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya..
Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thi,
Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya..
Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila,
Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya...
Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka
Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona aaya


Mohabbaton Mein Gar Koi Jaadugari Nahin Hoti


Mohabbaton Mein Gar Koi Jaadugari Nahin Hoti
Chakori Chaand Ke Liye Yun Baa'nwari Nahin Hoti

Dil Ki Aahatain Dil Khud BaKhud He Suntaa Hai
Dil Ke Muaamlaat Mein Mukhbari Nahin Hoti

Ik Nigaah Mein He Log Rooh Tak Utartay Hain
Nazar Koi Bhi Pyar Mein Sarsari Nahin Hoti

See'nchtaa Hoon Raat Din Aab-e-Chashm Se Magar
Phir Bhi Shaakh-e-Jaa'n Mri Kyun Hari Nahin Hoti

Le Jaa Khud Samait Kar Jo Bhi Meray Paas Hai
Ab Mujh Se Teri Yaado'n Ki Dilbari Nahin Hoti

Tu Ne jo Bhula Diya Tou Kyun Karoon Shikayatain?
Khudaa Ke Kis Kaam Mein Behtari Nahin Hoti?

Ik Chiraagh Se Yaha'n Sau Chiraagh Jaltay Hain
Mohabbat Koi Jahaan Mein Aakhri Nahin Hoti

Haan Bhatak He Jaana Tha Teerah Raah Mein Mujhay
Kisi Ke Naqsh-e-Paa Se Jo Raahbari Nahin Hoti

Teray Baad Bhi Khwaab Dekhta Hai, Per
Ab Kisi Bhi Khwaab Mein Koi Pari Nahin Hoti


kabhi yoon bhi aa meri aankh mein


kabhi yoon bhi aa meri aankh mein
ke meri nazar ko khabar na hoo
muje ek raat nawaz de
magar us ke baad saher na hooo


woh bara raheem-o-kareem hai
mujhe yeh sift bhi ata kare
tujhe bholne ki duwa karo
tu duwa mein meri asar na hoo

kabhi din ki dhoop mein jhoom ke
kabhi shab ke phool choom ke
yohein saath saath chale sada
kabhi khatam apna safar na hoo

mere paas mere habib aa
zara aur dil ke kareeb aa
tujhe dherkanoo mein basaloon mein
ke bicherne ka kabhi der na hoo

Mohabbat rog hoti hai


Mohabbat rog hoti hai


Mohabbat rog hoti hai
kaha b tha,

rula ka khud b roti hai
kaha b tha,

use tum dil ki dhari ka pata mat do
ye us main dard boti hai
kaha b tha,

kinare k bohat nazdeek le ja kar
ye kashti ko daboti hai
kaha ba tha,

azal se is ki aadat hai
zamane ko jaga kar khud ye soti hai
kaha b tha.

ya sar sy paoo tak raak ker dite hy
bohat be dard hoti hy
kaha b thaa....



Wo kehta tha mery dil ko mohabbat bojh lagti hy...


Wo kehta tha mery dil ko mohabbat bojh lagti hy...

K is ki band nagri sy mujhy kuch khof ata hy...

Har aik lamha drata hy...

mujhy kuch esa lagta hy...

K is ki narm khamoshi...

Meri sansen chura ly gi...

mujhy be-bas bna dy gi...

Mujhy azad rehna hy...

fakat itna hi kehna hy...

Sun k us ki sab baten...

Main bas ye bol pata tha...

Mohabbat qaid rakhti hy...

Magar is qaid mein reh kar..

Jo khushyan dil ko milti hein...

Kahin sy mil nhi saktin...

K is ki narm zanjeren...

kabhi ghayal nhi kartin...

Mohabbat esi manzil hy...

k jis k raston pe

wafa ka dars milta hy...

Nibha ka dars milta hy...

Dilon pe raj karny ki adaa ka dars milta hy...

Ye har dil ki zarorat hy...

Mohabbat khubsurat hy...


Mohabbat khubsurat hy.



Mohabbat jhoot lagti hai mujhe,


Mohabbat jhoot lagti hai mujhe,
Aik khokhla jazba,
Jise izhar ki her waqt khwahish ho,
Kahe jaane ki,
Sunane ki,
... Jise her pal zaroorat ho,
"Mujhe tum se mohabbat hai"...

Na jaane roz kitne log,
Is jumle ko sunne k liye bedaar hote hain,
Ye aisa jhoot hai jis ka saher,
Sadiyon se taari hai,
Magar jaanan!
Mohabbat jub kabhi izhar ko terse,
Koi tum se ager keh de
"Mujhe tum se mohabbat hai"
To us ki baat mat sunna,...

Mohabbat rooh se phoote,
Mohabbat aks ban jaye,
To phir tum ko yaqeen aaye,
K main ne sach kaha tum se,
Mohabbat rooh ban jaye,
To phir us ka yaqeen kerna,
Werna aik jumla koi kitni baar dohraaye,
Kahe jaye,
Nahi sunna,
Mohabbat jhoot hai jaan'an,
Agar izhaar ki is ko zaroorat ho.

Yahan pal pal jalna parta hai.


Yahan pal pal jalna parta hai.
Har rang mein dhalna parta hai.
Har mor pe thokar lagti hai.
Har haal mein chalna parta hai.
Har dil ko samajhne k liye khud se larna parta hai.
Kabhi khud ko khona parta hai.
Kabhi chup k rona parta hai.
kabhi neend na aaye phoolon pe, kabhi kanton pe sona parta hai.
Kabhi mar k jeena parta hai,
Kabhi jee k marna parta hai.
Kabhi to khushian loat k ayen gi.
Is aas pe jeena parta ha
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...