Custom Search

Yaaron sab dua karo


Yaaron sab dua karo,
Yaaron sab dua karo
Milkay faryaad karo..
Dil jo chala gaya hai…
Usay abaad karo..
Yaaron tum mera saath do zara
Tujhay dekha sansain mujhe aati ab kam
Dharkanain ruk gayeen niklay na dum…
Khuda sohnray mukhray banata hai ji kam..
Mar mitain tujh per bhool jayen ghum..
Dil gaya, Dil gaya, Lay gaya Sanam…

(usay dekha sansain tujhay aati ab kam
Dharkanain ruk gayeen niklay na dum
Dil gaya, dil gaya, le gaya sanam) X2

Tujhay dekha sansain mujhe aati ab kam
Dharkanain ruk gayeen niklay na dum
Dard-e-judai meray, haye!
Dard-e-judai meray dil wich bhar diya
Teekhi teekhi nazron nay jadu kesa kerdiya
Thora thora has kay qeher kesa dhaadiya
Us ki adaon nay deewana mujhe kerdiya!
Dil gaya, dil gaya, le gaya sanam!

(usay dekha sansain tujhay aati ab kam
Dharkanain tuk gayeen niklay na dum)

Kesay samjhaoon is nadaan dil ko?
Kaunse bahanay se bulaoon us ko
(dil gaya, dil gaya, dil gaya… )
Aaa!! Kesay samjhaoon is nadaan dil ko?
Kaunse bahanay se bulaoon us ko
(Dil gaya, dil gaya, dil gaya.. )
Her ek lamha khayal us kaa,
Dil nay uthaya hai sawal us ka…

((her ek lamha khayal us ka,
Dil nay uthaya hai sawal us ka,
Dil gaya, dil gaya, legaya sanam)
Her ek lamha khayal us kaa,
Dil nay uthaya hai sawal us ka..) X2

Tujhay dekha sansain mujhe aati ab kam
Dharkanain ruk gayeen niklay na dum
Ghut ghut jeenay se to marna bhalaa
Acha yaaron alwida, main to chala!!
(dil gaya, main bhi gaya, dil gaya, main bhi gaya)
Aaa! Ghut ghut jeenay se to marna bhala,
Acha yaaron! Alwida main to chala!
(dil gaya, main bhi gaya, dil gaya, main bhi gaya)
DIL GAYA MAIN BHI GAYA, LE GAYA SANAM!!!

(usay dekha sansain tujhay aati ab kam,
Dharkanain ruk gayeen niklay na dum
Dil tera khoya hai to dhoond layenge
Dil tera khoya hai to dhoond layenge
Pyar se hi us ko mana kay layenge)

Dil gaya main bhi gaya, dil gaya main bhi gaya!!

(Pyar kiya hai ji koi chori nahi ki
Pyar kiya hai ji koi chori nahi ki,
Teri mehbooba ko saja kay layenge)

Dil gaya main bhi gaya, dil gaya main bhi gaya!!
DIL GAYA MAIN BHI GAYA, LE GAYA SANAM!!

(Dil tera khoya hai to dhoond layenge
Teri mehbooba ko saja kay layenge) X2

DIL MERA KHOGAYA HAI DHOOND LAO JIII!!

(Dil tera khoya hai to dhoond layenge
Teri mhebooba ko saja kay layenge…… )

Mera kuch saamaan tumhare paas pada hai


Mera kuch saamaan tumhare paas pada hai ! saavan ke kuch bheege bheege din rakhe hain aur
mere ik khat main lipti raat padi hai vo raat bhulaa do, mera vo saamaan lauta do - 2 mera kuch
saamaan tumhaare paas pada hai - 2 patjhad hai kcuh ... hai na ? o ! patjhas main kuch patton ke
girne kee aahat kaanon main ek baar pahan ke laut aai thee patajhad kee vo saakh abhi tak kaanp
rahi hai vo saakh gira do, mera vo saamaan lauta do - 2 ek akeli chhataree main jab aadhe aadhe
bheeg rahe the - 2 aadhe sookhe aadhe geele, sukha to main le aaye thee geela man shayad bistar ke
paas pada ho vo bhijwa do, mera vo saamaan lauta do ek so sola chaand ki ratain ek tumhare
kaandhe ka til - 2 geeli mahendi ki khushbu, jhoot mooth ke shikwe kuch jhooth mooth ke wade sab
yaad karaa do sab bhijwa do, mera vo saamaan lauta do - 2 ek ijaazat de do bas, jab isako
dafanaaungee main bhi vaheen so jaungee main bhi vaheen so jaungee

Kabhi Kabhi Merey DIL Mein.......


Kabhi Kabhi Merey DIL Mein.......

Kabhi kabhi merey dil mein…..
Khayal aata hai….
Ke jaisey tujh ko…
Banaya gaya hai merey liyey

Toou iss se pehley sitaaron mein bus rahi thi kaheen
Tujhey zameen pe bulaaya gaya hai merey liyey

kabhi kabhi merey dil mein khayal aata hai
ke yeh badan ,yeh nigaahein meri amaanat hein
yeh gaisoo'oun ki ghani chaaon hai meri khatir
yeh hont aur yeh baanhein meri amaanut hain

kabhi kabhi merey dil mein kahayal aata hai….
Ke jaisey bajti hain sheh'naaiyaan si rahon mein

Suhaag raat hai,ghoonghat utha raha hoon mein
Simut rahi hai…tu sharma ke apni baanhon mein

Kabhi kabhi merey dil mein khayal aata hai
Ke jaisey toou mujhey chahey gee umer bhar yoonhi
Uthey gee meri taraf pyar ki nazar yoonhi
Mein janta hoon ke tu ghair hai ,magar yoonhin

Kabhi kabhi merey dil mein khayal ata hai
Kabhi kabhi….

Meri subha ko teri shamoo ka


Meri subha ko teri shamoo ka 

Meri shamoo ko terey wadoon ka

Meri raatoon ko terey khowaboon ka

Meri neendoon ko teri bhahoon ka

Merey jazboon ko teri chahoon ka

Behki behki si kuch khataoon ka

Khubsurat sey kuch gunahoon ka



Intezaar Intezaar Intezaar Intezaar



Apney dilber ka apney hamdam ka

Apney janam ka intezaar

Surkh pholoon sey mehka rasta hai

Dil tu mera mager zard patta hai

Pass ankhoon key sabz manzer hai 

Dil ka musam tu phirbhi banger hai

Mehki mehki si kuch hawaoon ka 

Behgi behgi si kuch khataoon ka



Intezaar Intezaar Intezaar Intezaar



Apney badal ka apni barish ka

Apney sawan ka intezaar

Apni dharkan ka apni sansoon ka

Apney jiney ka intezaar



Koi badli khabhi is tarha aee gi 

Payas sadyun ki pal main bhuj jaee gi

Tujh ko lutakey meri aagosh main

Daikhna waqt ki nafs tham jaee gi

Aisa banney key kuch duwaon ka 

Umer bher jo milley un panahoon ka



Intezaar Intezaar Intezaar Intezaar



Terey anay ka tujh ko panay ka 

Phir na janey ka intezaar

======Intazar=====

Kisi nazar ko tera intezaar aaj bhi hai


Kisi nazar ko tera intezaar aaj bhi hai
Kahan ho tum, ke ye dil beqaraar aaj bhi hai

Wo waadiyaan wo fazaayen ke hum mile thay jahaan
Meri wafa ka wohi par-mazhaar aaj bhi hai

Na jaane dekh ke kyun unko ye huwa ehsaas
Ke mere dil pe unhe iqtiyaar aaj bhi hai

Wo pyar jiske liye humne chor di duniya 
Wafa ki raah mein ghayal wo pyar aaj bhi hai

Yakeen nahi hai magar aaj bhi ye lagta hai
Meri talaash mein shayad bahaar aaj bhi hai

Eik ajhnabi sa ahsas dil ko sataiy


Eik ajhnabi sa ahsas dil ko sataiy
shayad yeh hi tooh pyar hai

Betabion main dharkan meri chain paiy
shayad yeh hi tooh pyar hai

kuch bhi kaha na kuch bhi suna na
phir bhi bechain dil hai humara

behke qadam hain mushkil main hum hain
dekho sambhlaiy bhala kassay yara

chahay bina bhi nazdik hum chalaiy aye
shayad yeh hi tooh pyar hai

nazraiy becha dain pehray betha dain dil pe
yeh dil kisi ke na manay

kantoon pe chal k sholo pe jal k rogi
mill k rahain gay dewanay

chahat ke LO tooh andhi main bhi chilmilaiy
shahyad yeh hi tooh.......

yeh mulakatain yeh teri yadain
eik pal na main bhol paon

kitni muhabbat hai kitni chahat hai
tum ko kassay bhala main bataon

accah lagay jab who samnay muskuraiy 
shayad yeh hi tooh pyar hai................... 

"BHULLA DENGAY TUMKO SANUM DHERAY DHERAY"


ye dard ki aahen juda hoi raheen
bhula den gay tumko sanum dheray dheray
mohabbat k saray zakhum dheray dheray

abhi naaz hain tootay dil ko wafa pe
k toten gay saray bharum dheray dheray
bhulla den gay tumko sanum dheray dheray

Dil mera chahay k seenay se dil mai nekal k phenk do
be dard is be rahm koi hawa main uchal k phenk do
dhoka dea mujhko,dhoka dea
dil ne mere haye yeh kiya kiya
lamhoo se haray.bujhay nazaray
abb to sahen gay yeh ghum dheray dheray

tanha akelay main yadoon k melay main tum guy chor k
chahat ki rasmoon ko wadoon ko qasmoon ko tum guy TOor k
ghareyan sitam ger katti nahin,Ulfat k manzar se hatti nahi
jahan bhi jaon,tmhen he paon
ruken gay hmaray qadum dheray dheray

"BHULLA DENGAY TUMKO SANUM DHERAY DHERAY" 

"Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker


"Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker

Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker 


Chand Nikla Hai Teri Ankh K Ansoo Ki Tarah

Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker


Meri Jaagi Hoe Raaton Ko Usi Ki Hai Talash 

So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker


Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah

Meray Hontoon Pay Machalta Hai To Naghma Banker 


Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak

Rouh Main Phail Giya Hai Woh Ujala Banker


Mera Kiya Hall Hai Yeh A Kay Kabhi dekh To Lay

Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hoa Vadah Banker 


Dhoup Main Khou Giya Woh Haath Chhura Kar Angel

Gher Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker


Kabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker

Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker 

na koi umang hai


na koi umang hai 
na koi tarang hai meri zindagi hai kiya
ek kati patang hai ..................
aakash se ghiri main ek bar tot k aaiy se
duniya ne phir na poocho luta mujhko
kese na kisi ka sath hai na kissi na ka sang hai meri zindagi hai kiya ek kati patang hai

lag k ghalay se babool k main na rooi
doli uthiyu jese arti uthi ho jese 
yehi dhukh aaj bhi mere ang hai sang hai
meri zindagi hai kiya ek kati patang hai

sapno k devta kiya tujh ko karo main
arpan patjhar ki ho main chaya main aansooo ka darpan yehi mera rop hai yehi mera rang hai meri zindagi hai kiya ek kati patang hai.............

IK BAAR KAHO TUM MERI HO


Hum ghoom chuke basti ban main
ik aas ki phans liye man main
koi sajan ho, koi piyara ho
koi depak ho, koi tara ho
jab jeewan raat andhairi ho

IK BAAR KAHO TUM MERI HO

jab sawan badal chaye hoon
jab phagan phool khilaye hoon
jab chanda roop lutata ho
jab soraj dhoop nahata ho
ya shaam ne basti ghairi ho

IK BAAR KAHO TUM MERI HO

haan dil ka daman phaila hai
kiyon gori ka dil maila hai
hum kab tak peet k dhoke main
tum kab tak door jharoke main
kab deed se dil ko sairi ho

IK BAAR KAHO TUM MERI HO

kiya jhagra sood khasare ka
ye kaaj nahi banjaare ka
sab sona roopa le jaye
sab duniya, duniya le jaye
tum aik mujhe bohteri ho

IK BAAR KAHO TUM MERI HO 

Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna


Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna 
Kabhi Darakhton Pe Naam Likhna 
Hamein Bhi Yaad Hai Aaj Tak Wo 
Nazar Say Harf-e-Salam Likhna 



Wo Chand Chehray, Wo Behki Batein 
Sulagtay Din Thay, Sulagti Ratein 
Wo Chotay Chotay Se Kaghazon Par 
Muhabbaton Kay Payaam Likhna 




Gulab Chehron Say Dil Lagana 
Wo Chupkey Chupkey Nazar Milana 
Wo Arzu'on Kay Khwab Bun'na 
Wo Qissa-e-Na Tamaam Likhna 



Mere Nagar Ki Haseen Fizao 
Kaheen Jo Un Ka Nishan Pao 
To Poochna Ke Kahan Basay Wo 
Kahan Hai Un Ka Qayam Likhna 



Gayee Ruton Mein Rubab Apna 
Bas Ek Yeh Hi To Mashghala Tha 
Kisi Kay Chehray Ko Subah Likhna 
Kisi Kay Chehray Ko Sham Likhna

dekh k tum ko hosh main aana


dekh k tum ko hosh main aana

bhool gaye,yaad rahe tum or zamana

bhool gaye

jab samne tum aajate hoo 

kia janiye kia hojata hai

kuch mil jata hai kuch khoo jata 

hai kia jani ye kia hojata hai

chaha tha ye kahein ge soocha tha wo kahein ge

aaye wo samne to kuch bhi na keh sake bas

dekha kiye unhein hum

dekh ker tum ko yakeen hota hai 

koi itna bhi haseen hota hai

dekh pate hain kahan hum tum ko 

dil kahien hosh kahien hota hai

aa ker chale na jana aese nahi satana

de ker hansi laboon ko aankhoon ko mat rulana

dildena na bekarari ka karar ban k

yadoon main khoo na jana tum intazaar ban k 

so bhool ker tum ko na ji pain ge

tum ho ge jahan jaein ge

hum koi waqt nahi hain DOST

jab bulao ge chale aaein ge

jab samne tum aajate hoo 

kia janiye kia hojata hai 

kuch mil jata hai kuch khoo jata hai 

kia janiye kia hojata hai 

Rab Na karein ke yeh zindagi


Rab Na karein ke yeh zindagi 
Kabhi kisi ko daga de

Kisiko rulaye na dil ki laagi 
Maula sab ko dua de


Rab Na karein ke yeh zindagi 
Kabhi kisi ko daga de

Kisiko rulaye na dil ki laagi 
Maula sab ko dua de


Tere phelu mein jo raatein gurajri 
Shab-e-mohtab mein nazrein utari

Tere phelu mein jo raatein gurajri 
Shab-e-mohtab mein nazrein utari

Hum bhi ruke hai us mod per
koi Humko sada de
Hum bhi ruke hai us mod per
koi Humko sada de

Rab Na karein ke yeh zindagi 
Kabhi kisi ko daga de

Kisiko rulaye na dil ki laagi 
Maula sab ko dua de

Salamat rahe taki owau na lage
Teri hizjr mein koi sare raat jage

Salamat rahe taki owau na lage
Teri hizjr mein koi sare raat jage


chain se soye jaan meri 
Sukh vaade sa vade


chain se soye jaan meri 
Sukh vaade sa vade

Rab Na karein ke yeh zindagi 
Kabhi kisi ko daga de

Kisiko rulaye na dil ki laagi 
Maula sab ko dua de


Kaise chukaun tere eshaan mein 
Rakh dun yeh gir bhi din -o- imaan mein 
Har saans meri naam tere 
rab mujhko kaza de

Har saans meri naam tere 
rab mujhko kaza de

Rab Na karein ke yeh zindagi 
Kabhi kisi ko daga de

Kisiko rulaye na dil ki laagi 
Maula sab ko dua de

Apne rukh par nigaah karne do


Apne rukh par nigaah karne do
Khoobsurat gunaah karne do

rukh se parda hataayo jaan-e-hayaa
aaj dil ko tabaah karne do

Rukh se zara naqaab utha do, mere huzoor
Jalwa phir ek baar dikha do, mere huzoor

Woh marmari se haath woh mehka huva badan
Takraaya Mere dil se, mohabbat ka ek chaman.
Mere bhi dil ka phool khila do, mere huzoor

Husn-o-jamaal aapka, sheeshe mein dekh kar
Madhosh ho chuka hoon main, jalwon ki raah par.
Gar ho sake to hosh mein laa do, mere huzoor.

Tum hamsafar mile ho mujhe is hayaat mein
mil jaaye jaise chand koyi sooni raat mein
Jaaoge tum kahaan yeh bata do, mere huzoor

Zindgi pyar ka geet hai , ise har dil ko gana padega,


Zindgi pyar ka geet hai , ise har dil ko gana padega,
zindgi gham saghar bhi hai, haske us paar jana padega.

Jis ka ho jitna aanchal yahan par , usko saugat utni milegi,
phool jivan mein gar na khile to, kaanto so bhi nibhana padega.

Hai agar dur manzil to kya, rasta bhik hai mushkil to kya,
raat taaron bhari na mile to dil ka dipak jalana padega.

Zindgi ek paheli bhi hai, sukh dukh ki saheli bhi hai,
zindgi ek vachan bhi to hai jise sabko nibhana padega.

Kahin deep jale kahin dil


Kahin deep jale kahin dil
Zara dekh le aakar parwaane
Teri kaunsi hai manzil
Kahin deep jale kahin dil

Mera geet mere dil ki pukaar hai
Jahan main hoon vahin tera pyaar hai
Mera dil hai teri mehfil
Zara dekh le aakar parwaane
Teri kaunsi hai manzil
Kahin deep jale kahin dil
Na main sapna hoon na koi raaz hoon
Ek dard bhari aawaaz hoon
Piya der na kar aa mil
Zara dekh le aakar parwaane
Teri kaunsi hai manzil
Kahin deep jale kahin dil
Dushman hai hazaaron yahan jaan ke
Zara milna nazar pehchaanke
Kayi roop mein hai kaatil
Zara dekh le aakar parwaane
Teri kaunsi hai manzil
Kahin deep jale kahin dil  

Ghairo pe karam apno pe sitam


Ghairo pe karam apno pe sitam 
eh jaan-e-wafa ye zulm na kar 
Rehne de abhi thoda sa bharam 
Eh jaan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar 
Ghairo pe karam ... 
Ham bhi the tere manzoor-e-nazar 
dil chaaha to ab iqraar na kar 
Sau teer chala seene pe magar 
begaano se milkar vaar na kar 
Be-maut kahi mar jaaye na ham 
Eh jaan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar 
Ghairo pe karam ... 
Ham chaahne waale hain tere 
yu hamko jalaana thheek nahi 
Mehfil mein tamaasha ban jaaye 
is darja sataana thheek nahi 
Mar jaayenge ham, mit jaayenge ham 
Eh jaan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar 
Ghairo pe karam ...

naa tum bewafaa ho, naa hum bewafaa hain


naa tum bewafaa ho, naa hum bewafaa hain 
magar kyaa kare, apanee raahe judaa hai 
jahaa thhandee thhandee hawaa chal rahee hai 
kisee kee mohabbat wahaa jal rahee hai 
zamee aasamaan hum se dono khafa hai 
abhee kal talak to mohabbat jawaan thee 
milan hee milan thaa, judaayee kahaa thee 
magar aaj dono hee beaasaraa hai 
zamaanaa kahe meree raahon mein aa jaa 
mohabbat kahe meree baahon mein aa jaa 
wo samajhe naa majabooreeyaan apanee kyaa hai

aisi waisi baat nahin, chhoti moti baat nahin


aisi waisi baat nahin, chhoti moti baat nahin
yeh toh mohabbat hai, yahi ibaadat hai
aankhon ke raste se dil mein utarkar dil kho jaata hai
nind udd jaati hai pyaar ho jaata hai
aisi waisi baat nahin, chhoti moti baat nahin
yeh toh mohabbat hai, yahi ibaadat hai

kabhi yeh pyar hai resham kabhi khushbu kabhi mausam
kabhi shola kabhi shabnam
kahin sargam kahin sangam, kahin pritam kahin hamdam
isise tum isise hum
chaahat ke rishte ka jo naam rakh do wahin ho jaata hai
aankhon ke raste se dil mein utarkar dil kho jaata hai
nind udd jaati hai pyaar ho jaata hai
aisi waisi baat nahin, chhoti moti baat nahin
yeh toh mohabbat hai, yahi ibaadat hai

dhadak uthata hai chhum chhum jubaan chup chup nazar gumsum
yeh chaahat ki nishaani hai
ise aankhein sunaaati hai ise aankhein samajhati hai
yeh aankhon ki kahaani hai
baahon ki raahon mein koyi deewaana jab kho jaata hai
aankhon ke raste se dil mein utarkar dil kho jaata hai
nind udd jaati hai pyaar ho jaata hai
aisi waisi baat nahin, chhoti moti baat nahin
yeh toh mohabbat hai, yahi ibaadat hai
aankhon ke raste se dil mein utarkar dil kho jaata hai
nind udd jaati hai pyaar ho jaata hai
dil pe waar hota hai, phir ikraar hota hai
tanhaayi mein rote hain, jinako pyaar hota hai

Mere azeez tujhe yeh khushi mubarak ho


Mere azeez tujhe yeh khushi mubarak ho
Nayii bahar nayii zindagi mubarak ho 
Iss se pehle kay teri chashm-e-karam
Maazraat ki nigaah ban jaye
Pyar dhal jaye mere ashkoon mein
Arzooo aik aah ban jaye
Mujhpe ajayeeee ishq ka ilzam
Aur tu begunnah ban jaye
Main tera shehar chor jaoonga
Mein tera shehar chor jaonga
Iss pehle kay sadgi teri
Lab-e-khamosh ko gila keh dey
Teri majbooriyan nah dekh sakey
Aur dil tujhko bewafa keh de
Jaaney main bekhudi main kya poochoon?
Jaanay tu berukhi se kya keh dey..?
Main tera shehar chor jaonga
Main tera shehar chor jaonga
Chor kar saahil-e-muraad chala
Ab safinaa mera kahin tehre
Zehar peena mera muqaddar hai
Aur tere hont dil nasheen tehre
Iss tarah tere astaan pe rukoon 
Jab na paon taley zameen tehre
Main tera shehar chor jaonga
Main tera shehar chor jaonga
Mujhko itna zaroor kehna hai
Waqt-e-rukhsat salaam se pehle
Tor loon rishtaa-e-nazar main bhi
Tum utar jao baam se pehle
Yeh meri jaan mera waada hai
Kal kissi waqt shaam se pehle
Main tera shehar chor jaonga!

Tumsa koi dusra is zameen pe hua


Tumsa koi dusra is zameen pe hua
To rab se shikaayat hogi
Tumhaari taraf rukh kisi gair ka hua
To qayaamat se pehle qayaamat hogi"

Tune zindagi mein aake
Tune zindagi mein aake zindagi, hoo.....
Zindagi badal di
Tune zindagi mein aake zindagi, hoo.....
Zindagi badal di

Tune pyaar yun nibhaake zindagi, hoo.....
Zindagi badal di, zindagi badal di

Ab gawaara nahin, koi aur bhi ho
Jo meri tarha yun tum pe mare
Chhoona to door hai, ab na manzoor hai
Koi mere siva tera zikr bhi kare

Tune faasle mitaake
Tune faasle mitaake zindagi, hoo.....
Zindagi badal di
Tune zindagi mein aake zindagi, hoo.....
Zindagi badal di, zindagi badal di

Teri taareef gar aaina bhi kare
Tod doon main usse dil mera kahe
Tu hai mera junoon, mere dil ka sukoon
Main deewana hoon tera koi kuch bhi kahe

Yeh deewaangi badhaake
Yeh deewaangi badhaake zindagi, hoo.....
Zindagi badal di
Tune zindagi mein aake zindagi, hoo.....
Zindagi badal di, zindagi badal di
Tune zindagi mein aake zindagi, hoo.....
Zindagi badal di, zindagi badal di"

mujhe dil se,na bhulana,chahe roke yeh zamana


mujhe dil se,na bhulana,chahe roke yeh zamana
tera bin mera jiwan kuch nahiiii
tera bin mera jiwan kuch nahiiii
kuch nahi
kuch nahi
kuch nahi
mujhe dil se,na bhulana,chahe roke yeh zamana
tera bin mera jiwan kuch nahiiii
tera bin mera jiwan kuch nahiiii
kuch nahi
kuch nahi
kuch nahi

jub se dekha tujhe 
kuch na chaha sanam 
sub kuch mujhe mil geya
sub kuch mujhe mil geya
aur chahoon kia khuda say 
kia aur mangoon dua aaaa oooo aaaaa
tera bin mera jiwan kuch nahiiii
tera bin mera jiwan kuch nahiiii
kuch nahi
kuch nahi
kuch nahi
main abhi rastoon say guzarta hoon 
jahan diloon meh phool khilay thay
tumara hasna phir kabi miltay chupana 
main yeh kabi nahi bhool na paoon ga i love u always
phool ban kar khilay 
ghum na koi milay 
tu muskurata rahay
tu muskurata rahay
yeh dua hai mera jiwan jitna hai tujhko milayyy oooo hoooo aaaa
tera bin mera jiwan kuch nahiiii
tera bin mera jiwan kuch nahiiii 
tera bin mera jiwan kuch nahiiii
kuch nahi
kuch nahi
kuch nahi

kuch nahi

kuch nahi  

rataan kaliyan wich yaad teri


rataan kaliyan wich yaad teri 
tenu kol bulaway awaz meri
rataan kaliyan wich yaad teri 
tenu kol bulaway awaz meri
rataan kaliyan

dil ey diwana mera tenu udeek da

dil ey diwana mera tenu udeek da
piar ho mera ho ya tera naseeb da way 
tu ey sitara meray hath di lakeer da 
tu piar ey mera jageer meri
rataan kaliyan wich yaad teri 
tenu kol bulaway awaz meri
rataan kaliyan 

teri judaey menu kita way hal way

teri judaey menu kita way hal way
ruswa meh hooo gaye le tera wastay 
din rat takni aa main tera hi rastay
hun aja tu nai tay mar jawan gi main
rataan kaliyan wich yaad teri 
tenu kol bulaway awaz meri
rataan kaliyan wich yaad teri 
tenu kol bulaway awaz meri
rataan kaliyan

Bheegi palkon per naam tumhara hai..


Bheegi palkon per naam tumhara hai..
Bheegi palkon per naam tumhara hai..
Bheegi palkon per naam tumhara hai..
Beech bhanwar kashti, bari dour kinara hai..
Bheegi palkon per naam tumhara hai..
Bheegi palkon per naam tumhara hai..
Bheegi palkon per naam tumhara hai.. 
Pochein ye lehrein kyu hai ye doori 
Ishq mein aakher kyu hai majboori 
Pochein ye lehrein kyu hai ye doori 
Ishq mein aakher kyu hai majboori 

Mere nahi to kya................ kya 
Mere nahi to kya........... 

Mera har pal tumhara hai 

Bheegi palkon per naam tumhara hai..
Bheegi palkon per naam tumhara hai..
Bheegi palkon per naam tumhara hai..

Ujhra mera naseeb, hath mere khali..
Tou salamat reh, Allah hai baali..

Ujhra mera naseeb, hath mere khali..
Tou salamat reh, Allah hai baali..
Dil pe kia guzray,... dil pe kia guzray..
Woh shaksh jo hara hai..
Bheegi palkon per naam tumhara hai..
Bheegi palkon per naam tumhara hai..
Bhujne lage diye, taiz hawaon mein..
Ab raha na dam, meri saadon mein..
Bhujne lage diye, taiz hawaon mein..
Ab raha na dam, meri saadon mein..
Mout samne hai.. kia khoob nazara hai!
Bheegi palkon per naam tumhara hai..
Bheegi palkon per naam tumhara hai.. 
Bheegi palkon per naam tumhara hai..
Bheegi palkon per naam tumhara hai..

Aye Khuda Tune Mohabbat Ye Banayi Kyon Hai?


Aye Khuda Tune Mohabbat Ye Banayi Kyon Hai?
Gar Banayi To Mohabbat Mein Judayi Kyon Hai? 

Kyon Diya Pyar Mujhe Iski Zaroorat Kya Thi?
Meri Barbadi Mein Shamil Teri Hikmat Kya Thi?
Meri Raahon Mein Khushbu Ka Safar Rehta Tha, 
Dil Mein Aabaad Gulabon Ka Nagar Rehta Tha, 
Zindagi Khaar Bhari Raah Mein Laayi Kyon Hai?
Aye Khuda Tune Mohabbat Ye Banayi Kyon Hai?

Main Hoon Bikhra Hua Gardish Mein Sitare Mere, 
Gam Ke Toofan Mein Doobe Hai Kinare Mere, 
Na Khatavaar Na Mujrim Na Gunehgaar Hoon Main,
Sach To Ye Hai Ke Mohabbat Ka Parastar Hoon Main,
Ye Saza Phir Bhi Mere Hisse Mein Aayi Kyon Hai, 
Aye Khuda Tune Mohabbat Ye Banayi Kyon Hai?

Main Agar Roun To Sehra Ko Samundar Kar Dun,
Sakht Ho Jaun Agar Mom Ko Patthar Kar Dun, 
Raakh Ho Jaye Jahaan Mein Jo Agar Aah Bharun, 
Aasman Toot Pade Tujhse Jo Fariyaad Karun, 
Itni Gehrayi Mere Ishq Mein Aayi Kyon Hai?
Aye Khuda Tune Mohabbat Ye Banayi Kyon Hai?
Agar Banayi To Mohabbat Mein Judayi Kyon Hai...

Pyaar humara amar rahega yaad karega jahan


Pyaar humara amar rahega yaad karega jahan 
Tu mumtaaz hai mere khwaabon ki main tera shah-e-jahan

Pyaar humara amar rahega yaad karega jahan 
Main mumtaaz hoon tere khwaabon ki tu mera shah-e-jahan

Chehra kamal hai baat gazal hai khushbu jaisi tu chanchal hai
Tera badan hai sang-e-marmar tu ek zindaa taj mahal hai

Utri hai tu aasmaan se tujhsa zamee pe kahan
Pyaar humara amar rahega yaad karega jahan 
Tu mumtaaz hai mere khwaabon ki main tera shah-e-jahan

Tu jo salamat pyaar salamat teri baahein meri panahein 
Tune humko utna chaha aur khuda se hum kya chahe 

Tu jo salamat pyaar salamat teri baahein meri panahein 
Tune humko utna chaha aur khuda se hum kya chahe 

Naam wafa ka tujhse hain zindda tujh pe hai jaan kurbaan 
Pyaar humara amar rahega yaad karega jahan 
Main mumtaaz hoon tere khwaabon ki tu mera shah-e-jahan

Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta


Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta
Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta
Kahin zami to kahin aasmaa nahi milta

Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta

Jise bhi dekhiye wo apne aap mein gum hai
jise bhi dekhiye wo apne aap mein gum hai
Zubaa mili hai magar hum zubaa nahi milta
Zubaa mili hai magar hum zubaa nahi milta

Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta

Bujhaa saka hai bhala kaun waqt ke shole
Bujhaa saka hai bhala kaun waqt ke shole
Ye aisi aag hai jisme dhunaa nahi milta
Ye aisi aag hai jisme dhunaa nahi milta

Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta

Tere jahaaN mein aisa nahi ke pyaar na ho
Jahaa ummeed ho iski vahaaN nahi milta

Jahaa ummeed ho iski vahaaN nahi milta

Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta
Kahin zami to kahin aasmaa nahi milta

Main jahan rahoon Main kahin bhi hoo


Main jahan rahoon Main kahin bhi hoo
Teri yaad saath hai
Kisi se kahun Ke Nahi kahun
Yeh jo dil Ki Baat hai

Kahne Ko saath Apne Ek duniya chalti hai
Par chupke is dil mein tanhaii Palti hai
Bas yaad Saath hai Teri yaad saaath hai

Main jahan rahoon Main kahin bhi hoo
Teri yaad saaath hai

Kahin to Dil mein yaadon ki Ek sooli gad jaati hai
Kahin har ek Tasveer bhahut hi dhundhali pad jati hai
Koi nai duniya ke naye rango mein khush rehta hai
Koi sab kuch paake bhi yeh mann hi mann kahta hai

Kahne Ko saath Apne Ek duniya chalti hai
Par chupke is dil mein tanhai Palti hai
Bas yaad Saath hai Teri yaad saath hai

Kahin to beete kal ki jade Dil mein hi utar jaati hai
kahin jo dhaage tute to Malayen bhikar jaati
Koi dil mein jagah nai baaton ke liye rakhta hai
Koi apni palko par Yadon ke diye rakhta hai

Kahne Ko saath Apne Ek duniya chalti hai
Par chupke is dil mein tanhai Palti hai
Bas yaad Saath hai Teri yaad saath hai

Tu is tarah se meri zindagi mein shaamil hai


Tu is tarah se meri zindagi mein shaamil hai
jahan bhi jaaun ye lagta hai teri mehfil hai

Ye aasmaan ye baadal ye raaste ye hawa
Har ek cheez hai apni jagah thikane se
Kayi dino se shikayat nahi zamane se
Ye zindagi hai safar tu safar ki manzil hai

jahan bhi jaaun ye lagta hai teri mehfil hai

Tere bagair jahan mein koi kami si thi
Bhatak rahi thi jawani andheri raahon mein
Sukoon dil ko mila aake teri baahon mein
Main ek khoyi huyi mauj hoon tu saahil hai

jahan bhi jaaun ye lagta hai teri mehfil hai

Tere zamal se roshan hai kaaynaat meri
Meri talaash teri dilkashi rahe baaki
Khuda kare ke ye deewangi rahe baaki
Teri wafa hi meri har khushi ka haasil hai

jahan bhi jaaun ye lagta hai teri mehfil hai
tu is tarah se meri zindagi mein shaamil hai

suhaani chaandni raatein hume sone nahi deti



Suhaani chaandni raatein hume sone nahi deti
Suhaani chaandni raatein hume sone nahi deti
Tumhare pyaar ki baatein hume sone nahi deti


Tumhari reshami julfon mein dil ke phool khilte the
Kahi phoolon ke mausam mein kabhi hum tum bhi milte the
Purani wo mulakatein humein sone nahi deti
Tumhare pyaar ki baatein hume sone nahi deti
suhaani chaandni raatein hume sone nahi deti


Kahi aisa na ho lag jaaye dil mein aag paani se
Kahi aisa na ho lag jaaye dil mein aag paani se
Badal lein raasta apana ghataayen meharbani se
Ke yaadon ki ye barsaatein humein sone nahi deti
Tumhare pyaar ki baatein hume sone nahi deti

suhaani chaandni raatein hume sone nahi deti

Hamare baad Tumhein aapna banane kaun ayega


Hamare baad Tumhein aapna banane kaun ayega
Hamare baad Tumhein aapna banane kaun ayega
Rulaane tou sab ayenge Hashane kaun aayega

Badi mushkil hain chahat ki sabhi rasme sabhi Kaasme
Karenge Pyaar sab lekin nibhane kaun ayega
Rulaane tou sab ayenge Hashane kaun aayega

Kahin majbouriyan hongi Kahin tanhaiyan hongi
Tumhein har mod pe rashta dikhane kaun ayega
Rulaane tou sab ayenge Hashane kaun aayega

Zaroorat har kisi ko hogi Teri meherbani ki
Sitam seh kar Tumhein manane kaun ayega
Rulaane tou sab ayenge Hashane kaun aayega
Hamare baad Tumhein aapna banane kaun ayega 
Rulaane tou sab ayenge Hashane kaun aayega.......

Tere Khushbu Mein Basey Khat Main Jalaata Kaisey,


Tere Khushbu Mein Basey Khat Main Jalaata Kaisey, 
Jinko Duniya Ki Nigahon Se Chupaaye Rakhaa, 
Jinko Ik Umr Kalejey Se Lagaaye Rakhaa, 

Jinka Har Lafz Mujhe Yaad Tha Pani Ki Tarah, 
Yaad They Mujhko Jo Paigaam-e-zubaani Ki Tarah, 
Mujh Ko Pyarey They Jo Anmol Nishaani Ki Tarah. 

Tuune Duniya Ki Nigahon Se Jo Bachakar Likhey, 
Saalahaa-saal Mere Naam Baraabar Likhey. 
Kabhi Din Mein Toh Kabhi Raat Mein Uthkar Likhey 

Tere Khushbu Mein Basey Khat Main Jalaata Kaisey? 
Pyar Mein Duubey Huye Khat Main Jalaata Kaisey? 
Tere Haathon Ke Likhey Khat Main Jalaata Kaisey? 

Tere Khat Aaj Main Ganga Mein Bahaa Aayaa Hoon, 
Aag Behetey Hue Paani Mein Lagaa Aayaa Hoon

mujhay tere muhabat ka sahara mil gaya hota


mujhay tere muhabat ka sahara mil gaya hota 
agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota

na tha manzoor qismat ko ,na thi marzi baharoon ki
nahin to is gulstan main, kami thi kia nazaroon ki

mere nazroon ko bhi koi nazara mil gaya hota
agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota

mujhay tere muhabat ka sahara mil gaya hota
agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota

khushi say apni aankhon ko ,main ashkoon say bhigo letee
meray badlay too hans lete,tere badlay main ro letee

mujhay ae kash tera dard sara mil gaya hota
agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota

mujhay tere muhabat ka sahara mil gaya hota
agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota

mili hay chandni jin ko ,ye un ki apne qismat hay
mujhay apnay muqadar se,fakat itne shikayat hay

mujhay toota huwa koi,sitara mil gaya hota
agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota

mujhay tere muhabat ka sahara mil gaya hota
agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota

Dil Kiya Karay Jab Kisi Ko Kisi Se Pyar Hojay


Dil Kiya Karay Jab Kisi Ko Kisi Se Pyar Hojay
Janay Kahan Kab Kisi Ko Kisi Se Pyar Hojay
Ucheey Ucheey Dewaron Si Is Duniya Ki Rasmien
Na Kuch Tere Bas Mien JULI Na Kuch Mere Bas
Dil Kiya Karay Jab Kisi Ko.........

Jaise Parbat Pey Ghata Jhukti Hai
Jaise Sagar Se Lehar Uthty Hai
Aise Kisi Chehray Pey Nigha Rukti Hai
Hooo................
Rook Nahi Saktyn Nazroon Ko Duniya Bhar Ki Rasmien
Na Kuch Tere Bas Mien JULI Na Kuch Mere Bas Mien

Aaa Mien Teri Yaad Mien Sab Ko Bholadon
Duniya Ko Teri Tasweer Dekhadon
Mera Bas Chalay To Dil Cheerkay Dekhadon
Hooo................
Daur Raha Hai Pyar Tera Ban K Lahoo Rag Rab Mien
Na Kuch Tere Bas Mien JULI Na Kuch Mere Bas Mien
Dil Kiya Karay Jab Kisi Ko Kisi Se Pyar Hojay

Yeh dolat bhi ley lo yeh shuhrat bhi ley lo


Yeh dolat bhi ley lo yeh shuhrat bhi ley lo 
Bhaley chheen lo mujhsey meri jawani 
Mager mujhko lota do bachpan ka sawan 
"Wo kagaz ki kashti wo barash ka pani" 
Muhalley ki sab sey purani nishani 
Wo bhuriya jisey bachey kehtey they nani 
Wo nani ki baton mein parion ka dera 
Wo chehrey ki jhurion mein sadion ka pehra 
Bhulaye nahi bhool sakta hey koi 
Wo Chhoti si ratein wo lambi kahani 
Kari dhoop mein apney ghar sey nikalna 
Wo chiriya wo bulbul wo titli pakarna 
Wo guriya ki shadi pey larna jhagarna 
Wo jhuloon sey girna or gir ker sanbhalna 
Wo peetal key chhalon key piyarey sey tuhfey 
Wo tooti huee choorion ki nishani 
"Wo kagaz ki kashti wo barash ka pani" 
"Wo kagaz ki kashti wo barash ka pani

tujhase naaraaz nahi zindagi, hairaan hoon main


tujhase naaraaz nahi zindagi, hairaan hoon main 
o hairaan hoon main 
tere masoom savalon se pareshaan hooN main 
o pareshaan hoon main 

jeene ke liye socha hi na tha, dard sambhalane honge 
muskuraoon to, muskurane ke karz utaarne honge 
muskuraoon kabhi to lagata hai 
jaise hontonn pe karz rakhaa hai 
tujhase ... 

aaj agar bhar ayi hai, boondein baras jaayengi 
kal kya pata inke liye aakhen taras jayengi 
jaane kahan gum kahan khoya 
ek aansu chhupake rakha tha 
tujhase ... 

zindagi tere gum ne hamain rishte naye samajhaye 
mile jo hamain dhoop main mile chhaanv ke thande saaye 

o tujhase ...

aankhon se dil me uttar ke tu mere dharkan me hai


aankhon se dil me uttar ke tu mere dharkan me hai 
mere yaar mere pyaar tere mehek mere tan man me hai

aankhon se dil me uttar ke tu mere dharkan me hai 
mere yaar mere pyaar tere mehek mere tan man me hai

aankhon se dil me uttar ke tu mere dharkan me hai

aankhon se dil me uttar ke tu mere dharkan me hai


teri kasam ha teri kasam
pyaar kabhi yeh hoga na kam dilruba hogaye tere hum

tere liye hi aaye hai hum tu hai meri jeene ki kasam
tu hi to mere shokhi sharam rab mera ab mere sajan me hai
aankhon se dil me uttar ke tu mere dhadkan me hai

aankhon se dil me uttar ke tu mere dharkan me hai
mere yaar mere pyaar tere mehek mere tan man me hai

aankhon se dil me uttar ke tu mere dharkan me hai

aankhon se dil me uttar ke tu mere dharkan me hai


mere geeton ka suljhan hai tu
pyaasa hoon mai aur sawan hai tu thandi si ek agan hai tu

tu megh hai aur mai damini tu raag hai aur mai ragini
oh sanam tere liye mai bani teri khanak mere kangan me hai

aankhon se dil me uttar ke tu mere dharkan me hai

aankhon se dil me uttar ke tu mere dharkan me hai
mere yaar mere pyaar tere mehek mere tan man me hai

aankhon se dil me uttar ke tu mere dharkan me hai

aankhon se dil me uttar ke tu mere dharkan me hai

Ek Husn Ki Devi se mujhe pyaar hua tha.hay pyaar hua tha.


“Ek Husn Ki Devi se mujhe pyaar hua tha,hay pyaar hua tha.
dil uski mohabat main giraftaar hua tha.
Ek Husn Ki Devi se mujhe pyaar hua tha,hay pyaar hua tha.
woh roop k jis roop se kalyaan bhi lajain.
woh zulf k jis zulf se sharmain ghha^tain.
mae’y khane^y nigahoon pe, Adaao ke taraane^y.
da^y daal mujhe husn-e-mohabbat ke khazane.
Haan Aisi he Eik Raat thi.
Ayasa he sama tha.
Yeh Chand bhi puura tha.
Zamana bhi jawan tha.
Eik pae^r ke Sayae main jab Iqraar hua tha.

Ek Husn Ki Devi se mujhe pyaar hua tha.hay pyaar hua tha.

kashmire ki waadi ke woh purr qaid nazare.
lamhaat muhabbat ke jahan hum ne guzaray.
Angrae^yan le kar meri bahoon ke sahare.
gul naar nazar ate thay woh sharam ke maree.
Yak tarfa na thee husn-e-muhabbat ke Esharee.
Usne bhi kai baar mere baal sanwaree.
Ehsaas ka,Jazbaat ka Ezhar hua tha.

Ek Husn Ki Devi se mujhe pyaar hua tha,hay pyaar hua tha

kuch rooz kate^y unhi bura waqt jab aya.
Us husn ki devi ne bhi nazroon ko pheraya.
qurbat ne zamane ke nigahoon se giraya.
Anchal mere hatoon se muhabbat ne chhuraya.
Ek raat ko Usne mujhe suuta hua chhoora.
jaldi woh kahin pyaar ko ruuta hua chhoora.
soya hua main neend se jaga ju saware.
woh jab na milii chhagaye ankhoon main andhere.
taqdeer kisi ko bhi bure din na dekhae^y.
hote^y hain bure^y waqt main Apne bhi paraye.
kia pyaar ki daolat ka talabgaar hua tha

Ek Husn Ki Devi se mujhe pyaar hua tha,hay pyaar hua tha.
dil uski mohabat main giraftaar hua tha.

Ek Husn Ki Devi se mujhe pyaar hua tha,hay pyaar hua tha

Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam


Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam
Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam
Teri yaad jo aati hai mere aansoo behte hain
Apna to milan hoga pal pal ye kehte hain
Kya ye zindagaani hai bas teri kahaani hai

Bas teri kahaani hai ye jo zindagaani hai

Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam
Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam

Teri vo baatein vo chaahat ki rasmein
Jhoothe thay vaade kya jhoothi thi kasmein
Jaane tamanna kya ye sach hai bas itna keh de
Toot jaayein na lamhe aitbaar ke
De koi sila mere intezaar ka

Chaaha hai tujhko chaahoongi har dam
Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam

Teri hoon teri jo chaahe kasam le le
Mujhko humrahi tu apne gam de de
Saari umar hai mujhko dard judaai ka sehna
Raaste mein khoyi hai manzil meri
Mere saath jayengi mushkilein meri

Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam
Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam

Tu saamne hai mere phir kyon ye doori hai
Tujhe kaise bataoon main hay kya majboori hai
Ye bhi koi jeena hai sirf aansoo peena hai
Sirf aansoo peena hai ye bhi koi jeena hai .

Agar mujhse mohabbat hai


Agar mujhse mohabbat hai
Mujhe sab apane ghum de do
In aankhon kaa har ek aansoo
Mujhe meri kasam de do
  **** Agar mujhse mohabbat hai ****

Tumhaare gam ko apanaa gam banaa lo
To karaar aaye
Tumhaaraa dard seene mein chhoopaa lo
To karaar aaye
Woh har shay jo 
Tumhe dukh de
Mujhe mere sanam de do

  **** Agar mujhse mohabbat hai ****

Shareek-e-zindagi ko kyon 
Shareek-e-ghum nahi karate
dukhon ko baatakar kyon 
In dukhon ko kaam nahi karate
Tadap is dil ki thodee see
Mujhe mere sanam de do
  **** Agar mujhse mohabbat hai **** 

In aakhon mein naa ab mujh ko kabhi aasoo nazar aaye
Sadaa hasatee rahe aankhe
Sadaa ye honthh musakaye
Mujhe apani sabhi aahein
Sabhi dard-o-alam de do
  
  **** Agar mujhse mohabbat hai **** 
Mujhe sab apane gam de do
In aankhon kaa har ek aansoo
Mujhe meri kasam de do

Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey


Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey
Harf aaye naa tujh par , tujh say door rahey

Aatish e qalb bhujaney say kahan bhujtee hay
Dil main khawabeedaa agar yaad kay shurur rahey

Natawaan jism o jaan, dunyaa say woh takar laynaa
Hum essee baat pay had darjaa maghroor rahey

Dard barh jaye to khud aap marham hotaa hay
Suna jo hum nay to phir hum bhee zakhm choor rahey

Hansatey rahtey hain sar e bazm, hay aadat apnee
Hum to woh hain kay dukh uthaa kay bhee masroor rahey

Barh gayee had say sharafat to kuchlay jao gay
Yaad har pal tumhain dunya kaa yeh dastoor rahey

Ghazal main haal jo hum apna bayaan kar baithey
FAISAL es dil kay hathon bohat majboor rahey
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...