Custom Search

Main Din ko Kahon Raat Wo Iqraar Kry.


Main Din ko Kahon Raat Wo Iqraar Kry.
Mujhko Hasrat hai Koi Youn Bhi Mujhe Piyaar Kry

Meri Khatir Wo Sahy Dunya ke Ta’ny , Dhaky
Nangy Pairon se Wo Seharaoun ke Kanty Chakhy.

Mujhko Paany Ke Liye June k Rozy Rakhy.
Main Hon Dewana, Wo Dewno Sa Izhaar Kry

Main Din ko Kahon Raat Wo Iqraar Kry.
Mujhko Hasrat hai Koi Youn Bhi Mujhe Piyaar Kry


Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain


Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyon Mein Raqs Karti hay
Tere Gham Mein Sulagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Hans K Jheel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassas Main Kab Se
Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh Ko Yaad Aate Hain
Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Saara Din Bahot Masroof Rehta Hoon Magar Junhi
Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon Tou aankhen Bheeg Jaati Hain

Her Ek Muflis K Maathe Per Alum Ki Daastanen Hain
Koi Chehra Bhi Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaate Hain

Bare Logon K Oonche Badnuma Aur Sard Mahlon Ko
Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tere Kooche Se Ab Mera Ta’alluq Wajbi Sa Hay
Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hay Mere Dil Per
Wasi Main Jab Bhi Hansta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain


Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Hoga.


Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Hoga.
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Hoga.

Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hogi.
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Hoga


Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy.
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Hoga.

Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say
Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoga.

Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho Gi Tujhy.
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Hoga.

Hoo Kay Nidhal Mere Yadoon Say Tuu Nay Jana.
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoga.

Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab.
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chhupaya Hoga

Mein Yun Miloon Tujhse Ke Tera Libaas Ban Jaon


Mein Yun Miloon Tujhse Ke Tera Libaas Ban Jaon
Tujhe Bana Ke Samandar Aur Khud Pyaas Ban Jaon

Aaj Pehloon Mein Mujhe Toot Ke Bikhar Jane Do

Kal Ko Shayad Mumkin Nahi Ke Mein Tumko Paon

Tu Ban Jaye Lehar Aur Mein Sahil Ban Jaon
Ho Ishq Mera Sahil To Mein Roz Tujhse Takraon

Mein Yun Miloon Tujhse Ke Tera Libaas Ban Jaon
Tujhe Bana Ke Samandar Aur Khud Pyaas Ban Jaon…!!!

‘Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do,


‘Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do,
Har lamha mar ke aaj phir jee jaane do,

Isse mahobbat ne dil ko aaj phir dhadkaya hai,
Mujhe ishq ki baaho mein so jaane do,

Tadap ki aag hai judaai ki baahon mein,
Mujhe aaj iss mohabbat se mil jaane do,

Meri saans chalti hai tere naam ki aahat pe,
Mujh benaam ko iss naam mein kho jaane do,

Kasam tujhe chalne wali hawaon ki mehboob,
Mujhe iss mohabbat ki aag mein jal jaane do’

Jane kis cheez ki wo mujhko saza deta hai


Jane kis cheez ki wo mujhko saza deta hai,
meri hansti huyi aankhon ko rula deta hai,

Kis tarah baat likhun dil ki usse, wo aksar,
doston ko mere khat padh ke suna deta hai,

Saamne rakh ke nigaahon ke wo tasveer meri,
apne kamre ke charaaghon ko bhuja deta hai,

Muddaton se to khabar bhi nahi bheji usne,
uski aadat hai wo apno ko bhula deta hai…

Abhi tu ishq mein aisa bhi haal hona hai


Abhi tu ishq mein aisa bhi haal hona hai
K ashk rokna tum sa mahaal hona haai

Har aik lab per hain mere wafaa k afsanay
Teray sitam ko abhi la-zawaal honaa hai

Tumhein khabar hi nahin,tum to lot jao ge,
Tuhare hijar mein aik lamha saal hona hai.

Humari rooh pe jab bhi azaab utrein ge,
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hai.

Kabhi to roye ga wo bhi kisi ki bahon mein,
Kabhi to uski hansi ko zawaal hona hai.

Mile gi hamko bhi apne naseeb ki khushiyan,
Bas intazar hai kab ye kamal hona hai.

Har ek shakhs chalay ga humari raahon par,
Muhabaton mein humain wo misaal hona hai
.
Zamana jiske kham-o-paich mein ulajh jaye,
Humari zaat ko aisa sawal hon hai……..

Yaqeen hai mujh ko k wo lot aaye ga,
Usay bhi apne kiye ka malaal hona hai…

Shehr-e-Muhabbat hijr ka mousam,ehed-e-wafa or mein


Shehr-e-Muhabbat hijr ka mousam,ehed-e-wafa or mein
Tu to is basti se khush khush chala gaya , or mein …??

Tu jo na ho to jaise sab ko chup lag jati hai
Apas mein kya batein kertey raat, diya or mein
Sair-e-chhaman adat thi pehley ab majboori hai
Teri talash mein chal pertey hein bad-e-saba or mein

Jisko dekho teri hava mein pagal phirta hai
Werna hum mashrab to nahi they khalq-e-khuda or mein

Aik to wo humraaz mera hai phir tera maddah
Bas tera hi ziker kia kertey hein Zia or mein

Aik zamaney bad ‘Faraz’ ye shair kahey meine
Ik muddat se miley nahi hein yaar mera or mein

Chahay tu kam main la, Chahay nikama kar day


Chahay tu kam main la, Chahay nikama kar day
Main tera hoon, teri marzi mujhay jaysa karday

Main tera bemar hoon azloon say, Na mar jawoon kahieen
Ek nazar dekh lay mujh koo mujhay acha kar day…….!!!!!!

Mujh say bas itni he khuwahish meray maleek ke hay
Es k dil ko main Lubha don mujhay aysa karday….!!!!

Jo tera ho ga zamanay say wo kat jaye ga
Tu to jis shaks ko chahyee tanha kar day

Ayesa noor ayee k dunia mera chehra dekhay….!!!
Tu jo perlkoon ka meray Chehray pay saya kar day

Wo khuda tujh say faqeeroon ke tu sun layta hay
Us say kehna k mujhay ishq main Ruswa karday.!

Mujh ko deta hay wo ezat, yeh karam hay uska
Teray bas main ho agar tu mujhay Ruswa karday…

Samandar main utarta hoon tou aankhain bheeg jaati hain


Samandar main utarta hoon tou aankhain bheeg jaati hain
teri aankhoun ko parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

tumhaara naam likhney ki ijaazat chin gayi jub say
koi bhi lafz likhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

teri yaadoun ki khushboo khirkiyoun main raqs karti hay
teray gham main sulagta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

main huns k jhail laita hoon judaayi ki sub hee rasmain
galey jub us k lagta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

najaaney hogaya hoon isqadar hassaas main kub say
kisi say baat karta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

woh sub guzrey huay lamhaat mujh ko yaad aatey hain
tumhaarey khut jo parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

main saara din bohat masroof rehta hoon magar joonhi
qadam chaukhat pay rakhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

hur ik muflis k maathey par alam ki daastaanain hain
koi chehra bhi parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

barey logoun k oonchey budnuma or sard mehloun ko
ghareeb aankhoun say takta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

teray koochey say ab mera talluq waajibi sa hay
magar jub bhi guzarta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

hazaaroun mausamoun ki hukmraani hay meray dil par
wasi main jub bhi hunsta hoon tou aankhain bheeg jaati hain!!


dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete


dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete

tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte k ham asman hila dete

hamein ye zom raha ab k wo pukarenge
unhen ye zid thi k har bar ham sada dete

wo tera gam tha k tasir mere lahje ki
k jis ko hal sunate use rula dete

tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete

tumhari yad ne koi jawab hi na diya
mere khayal k ansu rahe sada dete

samton ko main ta-umr kosta Syed
wo kuch na kahte magar honth to hila dete

tum meri ankh k tewar na bhula paoge


tum meri ankh k tewar na bhula paoge
ankahi bat ko samjhoge to yad aunga

ham ne khushyon ki tarah dukh bhi ikathe dekhe
safah-e-zist ko paltoge to yad aunga

isi andaz mein hote the mukhatib mujh se
khat kisi aur ko likhoge to yad aunga

sard raton k mahkate hue sannaton mein
jab kisi phul ko chumoge to yad aunga

ab tere ashk main honthon se chura leta hun
hath se khud inhen ponchoge to yad aunga

shal pahnayega ab kaun decembar mein tumhen
barishon mein kabhi bhigo ge to yad aunga

aj tum mahfil-e-yaran pe ho magrur bahut
jab kabhi tut k bikhroge to yad aunga

hadse ayenge jiwan mein to tum ho k nidhal
kisi diwar ko thamoge to yad aunga

is mein shamil hai meri bakht ki tariki bhi
tum siyah rang jo pahnoge to yad aunga

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain


Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyon Mein Raqs Karti hay
Tere Gham Mein Sulagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Hans K Jheel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassas Main Kab Se
Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh Ko Yaad Aate Hain
Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Saara Din Bahot Masroof Rehta Hoon Magar Junhi
Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon Tou aankhen Bheeg Jaati Hain

Her Ek Muflis K Maathe Per Alum Ki Daastanen Hain
Koi Chehra Bhi Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaate Hain

Bare Logon K Oonche Badnuma Aur Sard Mahlon Ko
Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tere Kooche Se Ab Mera Ta’alluq Wajbi Sa Hay
Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hay Mere Dil Per
Wasi Main Jab Bhi Hansta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Chorhi toot gai


Kitni saada
Kitni pyari

Kaanch ki choorhi jesi larhki
College k kamry mein bethi

Janay kya kuch soch rahi thi
Main bhe Oss k pas hee betha

Oss ko ghoor se dekh raha thaa
Kiya Qissa hai?
Main ne pocha?

Oss ki ankhein bheeg gaein
Dheemi si awaaz mein boli

Dekho?.. ?


“Chorhi toot gai”…

Bohat Din Ho Gaye Shayad Sahara Kr Lia Us Ne


‘Bohat Din Ho Gaye Shayad Sahara Kr Lia Us Ne
Hmaray Baad B Akhir Guzara Kr Lia Us Ne

Hmara Zikr To Us K Labon Par aa Nahin Sakta
Hamen Ehsas Hy Hum Se Kinara Kr Lia Us Ne

Wo Basti Ghair Ki Basti Wo Koocha Ghair Ka Koocha
Suna Hy Ishq B Ab To Dobara Kr Lia Us Ne

Suna Hai Ghair Ki Bahon Ko Wo Apna Ghar Samajhta Hai
Lagta Hai Mera Ye Dukh Gawara Kr Lia Us Ne

Bhula Kr Pyar Ki Qasmen Wo Waday Torh Kr
“Wasi”
Kisi Ko Zindagi Se b Pyara Kr Lia Us Ne..!!’

Jo meri ankhon se khawab dekho


Jo meri ankhon se khawab dekho
To ek bhi shab na so sako ge

Ke Laakh chaho na hans sako ge
Hazar chaho na ro sako ge

Ke Khawab kia hain azaab hain yeh
Mere dukhon ki kitaab hain yeh

Rafaqaten un ki choot-ti hain
Mohabbaten un ki rooth-ti hain

Panapti hain un main wehshaten si
Aziyaten un main phoot-ti hain

Inhi ke sar se khizaan hain jazbay
Inhi se shaakhen se toot-ti hain

Ghamon ki bandish main khawab mere
Dukhon ki barish main khawab mere

Ubal raha hai dukhon ka laawa
Zameen aatish hain khawab mere

Khayal saaray jhulas gaye hain
Sulagti khawahish hain khawab mere

Ukharti saansen hain zindagi ki
Lahu ki saazish hain khawab mere

Jo meri ankhon se khawab dekho
To ik shab bhi na so sako ge

Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta


Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta
Mandeiron Ke Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta

Koi Ik Aadha Sapna Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai
Hazaron Khawab Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta

unse Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar
Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta

Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Payen
Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta

Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai
Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ganwaa Ker Kuch Nahi Milta

Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi”jaan”
Wasi Be-Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta?.

Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko


Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain

Char su gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko

Koi lamha ho teri yaad mai kho jatay hain
Ab to khud ko bhe muyassar nahi aaa patay hain

Raat ho din ho tere pyar mai hum behtay hain
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain

Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
Woh jo ghum aye usay dil pay saha kertey thay

aik saath hum mil ker raha kertey thay
Ab akelay he zamanay ke sitam sehtay hain

Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain
Ab Jo bichray to ehsaas hua hai hum ko

Hum Nay khud apni raahon mai bichaye kantay
Gher mai phoolon ke jagah la ker sajaye kantay

Zakham iss dil mai basaye howe khud rehtay hain
Yun toh duniya ki har cheez haseen hoti hai

Pyar say maghar kuch bhe nahi hoti hai
Rastah rok kay har aik say yehi kehtay hain

Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain

Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab jo bichray to ehsaas hua hai hum ko

Hijar Tara ab Doob Chala Hai Dhalny Lagi Hai Raat WaSi


Hijar Tara ab Doob Chala Hai Dhalny Lagi Hai Raat WaSi
Qatra Qatra Baras Rahi Hai Ashkon Ki Barsat WaSi

Tere Baad Yeh Dunya Walay Mujh Ko Pagal Kar Dain Ge
Khushbu Ke Dais Main Mujh Ko Le Chal Apnay Sath WaSi

Yun Hi Chup Ki Mohar Laga Kar Kab Tak Gum Sum Betho Ge
Khamoshi Se Dam Ghut’ta Hai Cheyro Koi Baat WaSi

Aaj tO Us Ka Chehra B Kuch Badla Badla Lagta Hai
Mosam Dadla Dunya Badli Badal Gaye Halaat WaSi

Mere Ghar Khushbu Ka Yeh Raqs Usi Ke Dam Se Hai
Us Ke Sath Chali Jaye Gi Phulon Ki Baraat WaSi

Chor Wasi Ab Us Ki Yadein Tujh Ko Pagal Kar Dain Gi
To Qatra Hai Wo Darya Hai Dekh Apni Auqaat WaSi….!!!!

Ek aarzoo hai puri parwardigar kare


Ek aarzoo hai puri parwardigar kare,
Men dair se jaon wo mra intzar kre.

Apne hathon se sanwarun zlfein uski,
Wo shrma kr mhabat ka iqrar kre.

Lipat jay mjhse aalm-e-madhoshi men,
Or josh-o-janun men mhabat ka izhar kre.

Ho shab-e-wisal aesi ya RAB!,
K bheegi zulfon se mujhe bedaar kre.

Jab use chor k jana chahun Wasi,
Wo roke or ik raat ka israr kre,

“Qasam khuda ki main kisi or ki ho nhi sakti”,
Ye wada-e-wafa wo bar bar kre.”

Main Shayer Hoon Toa Aksar Laog Mujh Se Poochtay Hain


Main Shayer Hoon
Toa Aksar Laog Mujh Se Poochtay Hain
Is Haseen Israar Kay Baray main
Batain Toa Bhala Kiya Hai…?
Muhabbat Akhirish Hai Kiyaa…..?”
Wasi Main Hans Kay Kehta Hoon
Kisi Piyasay Ko Apnay Hissay Ka Pani Pilana Bhi..
Muhabbat Hai!
Bahnwar Mai Doobtay Ko Sahil Tak Lai Kay Jana Bhi..
Muhabbat Hai!
Kisi Kay Wastay Nanhi Si Qurbani..
Muhabbat Hai!
Kaheen Hum Raaz Saray Khoal Saktay Hoan Magar Phir Bhi,
Kisi Ki Babasi Ko Daikh Ker Khamosh Hojana Bhi…
Muhabbat Hai!
Ho Dil Mai Dard, Veraani Magar Phir Bhi
Kisi Kay Wastay Jabran Hi Hoantaon Pe Hansi Lanaa
Zabardasti Hi Muskana…
Muhabbat Hai!
Kaheen Barish Mai Sehmay, Bheegtay Billi Kay Bachay Ko
Zara Si Dair Ko Ghar Lai Kay Anaa Bhi
Muhabbat Hai!
Koi Chirya Jo Kamray Mai Bhatakti Aan Nikli Ho
Toa Us Chirya Ko
Pankhaa Band Kar Kay Rastaa Bahir Ka Dikhlana
Muhabbat Hai!
Kisi Kay Zakham Sehlanaa
Kisi Rotayhuay Dil Ko Behlana..
Muhabbat Hai!
Kay Metha Boal, Methi Baat, Methay Lafz, Sab Kiya Hhai?
Muhabbat Hai!
Muhabbat Aik Hi Bas Aik Hi Insaan Ki Khatir
Magan Rehna
Hama Waqt Uski Bataon, Khushboan Mai,
Dolna Kab Hai
Muhabbat Sirf Uski Zulf Kay Bal Kholnaa
Kab hai..
Muhabbat Kay Hazaroan Rang
Laakhoan Istaa’ray Hain
Kisi Bhi Rang Mai Ho Ye
Mujhay Apna Banati Hai
Ye Meray Dil Ko Bhaati Hai!

Ab to mumkin hi nahi un se mulaqat “wasi”


Ab to mumkin hi nahi un se mulaqat “wasi”
ab to urooj pe puhanchi hai uski zaat “wasi”

wahi wady hain aur rasmon ki zanjiren baqi
kab badalti hain zamany ki riwayat “wasi”

aik wo din thy k ek dosry ko sochty thy hum
ab milty nahi dono k khayalat “wasi”

meri her subha ka aghaz tery naam se ho
teri yadon mai kati meri her aik raat “wasi”

tum kahan aur mery piyar ka miyar kahan
wo kitni sadgi se ker gaya ye baat “wasi

ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise


ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise
shahar ka shahar hi aseb zada ho jaise

rat ke pichle pahar ati hain avazain si
dur shahara main koi chiKh raha ho jaise

dar-o-divar pe chai hai udasi aisi
aj har ghar se janaza sa utha ho jaise

muskurata hun pa-e-Khatir-e-ahabab magar
dukh to chehre ki lakiron pe saja ho jaise

ab agar dub gaya bhi to marunga na ?Kamal?
bahte pani pe mera nam likha ho jaise

Tumhare bhegtee palkoon say manay bar haa pochaa


Tumhare bhegtee palkoon say manay bar haa pochaa
Kay dil ka khel ma khelnay walay bhe kya jeetay hain
Woh jenkay chashmay khud main overon ko daikha nahe kartay
Bhalaa kes gham kay taar main motee perotay hain
Tumhare bhegtee palkoon say manay bar haa pochaa
Kay kyaa manind a sheshaa pathar main baal ataa hai
Asar angayz hai abtak mohabbat ka wahe jazbaa
Jo asay hosh mandoon ko bhe yon pagal banata hai
Tumhare bhegtee palkoon say manay bar haa pochaa
Mezaajay husn main yon yak bayak kyaa inqilaab ayaa
Sitara daikhna aur daikh kar afsurdaa ho jana
Baree takheer say tumko sitaron ka hesaab ayaa
Tumhare bhegtee palkoon say manay bar haa pochaa
Kay tark rabt par kyaa mujhsay wahshee yaad ataa hain
Taaluk tornaa asaan tha to kyon yah ankh nam hai
Anaa yarwar jafaa pashaa bhe yoon ansoo bahaty hain
Tumhare bhegtee palkoon say manay bar haa pochaa
Kay jalnay aur jalanay main bhalaa kyon lutf ataa hai
Bus ek chotee anaa kay wastay barbaad ho janaa
Khudee kay gham main ensaan kitnay dukh uthata hai

Is se pehle ke zamane ko khabar ho jaye


Is se pehle ke zamane ko khabar ho jaye 
Khuda kare ke shab-e-gham ki sahar ho jaye

Khula rahe ga ye darwaza tere aane tak 
Laot kar aana kahiN shaam agar ho jaye

Abas hai aarzoo karna bhi raoshni ki 
yahaN Diya jale to hawaaoN ki nazar ho jaye

Jab bhi aati hai teri yaad liye aati hai 
Raat tanha kabhi aaye to basar ho jaye

Tu kabhi chashm-e-tasawwur se unhaiN 
dekh zara ManziloN pe jinhaiN dar'paish safar ho jaye

Uthay joh dard dheeray say muskuraa dana


Uthay joh dard dheeray say muskuraa dana
Milain joh gham toh mohabbat enhay bana lana
Tumhain khabar nahee es kam fahm zamanay ki
Machaltee arzoo oan ko kahen chupa lana
Hai eskee bazm magar pas ay adab bhe aisa
Naa kuch bhe kehna aur subkuch esay sona lana
Samait kar tamaam dard eskee yaadoon kaa
Puranee kabar pay kutbaa naya lagaa lana
Dil kay sheeshay pay nae zarb laganay kalya
Tum apnay hath main pathar baraa utha lana
Zahaay naseeb kay tum mujhko yaad kartay ho
Warnaa mushkel toh nahe tha mujhay bholaa dana

yun chahay mujhay aisi qissmat kahan thi


yun chahay mujhay aisi qissmat kahan thi
Kahan main kahan tuu ye nisbat kahan thi
Teri berukhi say ye dil muztarib tha
Mera haal Tuu janay Tujhay fursat kahan thi
Meri chahaton ki tujhay kia khabar thi
Tu sochay mujhay ye teri fitrat kahan thi
Tujhay apnay man say nikaloon too kasay
Main paa loun tujhay ye meri qismat kahan thi
Jo ban jata mera kaheen humsafar tuu
Bhala aisi apni qismat kahan thi
Jisay sunn kay tuu nay nigahain jhukaa leen
Ye noha tha mera shikayat kahan thi
Tu jo khuch bhi tha ik veham tha mera
Fareb e nazar tha haqeeqat kahan thi..........

arma'n jo machalte hain, dikhana hii parhegachahat mai


arma'n jo machalte hain, dikhana hii parhegachahat mai usulo'n ko bhulana hii parhe ga
milne ki gharhi aayee tau phir sochna kaisaye muamla e ishq hai jana hii parhe ga
paya tha jisey tum ne hazaro'n mai sabhi sekhoya hai tau ab dhoondh k lana hii parhe ga
iss dard e mohabbat ko chupane se kya haasilye zakhm zamane ko dikhana hii parhe ga
manzil hoo'n mai ja'ogay kaha'n chhorh k mujhkoraho'n mai meri laut k aana hii parhe ga
ik tumm ho jisey quol e wafa yaad nahii haiharr baar hamai'n yaad dilana hii parhe ga
darya e mohabbat k jo aankho'n mai chhupi haitoofa'n ko zuba'n par tumhe lana hii parhe ga
uss dill mai jaga palo, ye aasa'n nahii maiyar e mohbaat ko utthana hii parhe ga

Dil Hijr ke dard se bojhal hai, Ab aan milo to behter haiIs baat se hum ko kya matlab


Dil Hijr ke dard se bojhal hai, Ab aan milo to behter haiIs baat se hum ko kya matlab, Yeh kaisay ho yeh kyunkar ho
Ek bheek ke donon kasay hain, Ek pyaas ke donon pyase hainHum khetey hain, Tum badil ho, Hum nadya hain tum sagar ho
Yeh dil hai keh jaltay seenay main, Ek dard ka phora allhar saNa chup rahay na phoot bhaye, koi marham ho koi nishter ho
Hum sanjh samay ki chaya hain, Tum charhti raat ki chandarmanHum jatay hain, Tum aatay ho, Phir milne ki sorat kyunkar ho
Ab husn ka rutba aali hai, Ab husn se sehra khali haiChal basti main banjara ban, Chal nagri main sodagar ho
Ab Insha jee ko bulana kya, Ab pyar ke deep jalana kyaJab dhoop aur chaya ek se hon, Jab din aur raat barabar ho
Woh raatein chand ke sath gayein, woh baatein chand ke sath gayeinAb Sukh ke sapnay kya dekhain, Jab dukh ka sooraj sar par ho

Paa-ba-gil sab hain rihaaii kii kare tadabiir kaun Dast-bastaa shahar


Paa-ba-gil sab hain rihaaii kii kare tadabiir kaun Dast-bastaa shahar main khole merii zanjiir kaun
Meraa sar haazir hai lekin meraa munsif dekh lay Kar rahaa hai mere fard-e-jurm kii tahariir kaun
Aaj darvaazon pe dastak jaanii pahachaanii sii haiAaj mere naam laataa hai merii taaziir kaun
Niind jab Khvaaboon say pyaarii ho to aisay ahad main Khvaab dekhay kaun aur Khvaaboon ko day taabiir kaun
Raiet abhii pichhale makaanon kii na vaapas aaii thii Phir lab-e-saahil gharaundaa kar gayaa taamiir kaun
Saaray rishtay hijraton main saath detay hain to phir Shahar say jaatay hoa hotaa hai daaman giir kaun
Merii chaadar to chheenii thii shaam kii tanhaaii nay Beridaaii ko merii phir day gayaa tashahiir kaun
Dushmanon kay saath meray dost bhii aazaad hain Dakhanaa hai khenchataa hai mujh pe pahalaa tiir kaun

BE NAAM MUSAFIR HOO BE NAM SAFAR MERAKIS


BE NAAM MUSAFIR HOO BE NAM SAFAR MERAKIS RAAH SE NIKAL JAO KUCH KEH NAHI SAKTI
BE NAM MERI MANZIL BE NAM THIKANA HAIKIS DAR P MAIN RUK JAON,KUCH KEH NAHI SAKTI
IS PAR TU ROSHAN HAI SARA MERA RASTAUS PAAR ANDHERA HO,KUCH KEH NAHI SAKTI
TINKAY KI TARAH MAI BEH JAON SAMANDER MAIMIL JAYEGA KINARA KUCH KEH NAHI SAKTI
MIL JAYEGE TABEER MERE KHUWABO KI AIK DINYAH KHUWAB BIKHAR JAYEN,KUCH KEH NAHI SAKTI.....

koii adaa shanaas-e-muhabbat hamen bataayejo ham ko


koii adaa shanaas-e-muhabbat hamen bataayejo ham ko bhuul jaaye vo kyon ham ko yaad aaye
kis kii majaal thii ki hijaab-e-nazar uThaayevo muskuraa ke aap hii dil ke qariib aaye
ik dil nashiin nigaah men allaah ye Khalishnashtar kii nok jaise kaleje men TuuT jaaye
kuchh ham se beKhudii men huii behijaabiyaaNchashm kazanii sitaaron ne kii phuul muskuraaye
vo jaan-e-aarazuu ke hai saramaayaa-e-nishaatkyon us kii yaad Gam kii ghaTaa ban ke dil pe chhaaye
tum to hamiin ko kahate the ye tum ko kyaa huaadekho kaNval ke phuul se shabanam chhalak na jaaye
ik naatamaam Khvaab mukammal na ho sakaaaane ko zindagii men bahut inqalaab aaye

Mujhe Roshni Ki Talab Bhi Thi


Mujhe Roshni Ki Talab Bhi Thi
Mujhe Manziloon Ka Pata Bhi Tha
Mujhe Raastoon Ki Khaber Bhi Thi
Main Bashar Jo Tha , Maira Dil Bhi Tha
Mairay Dil Main Rang Bikhairti Hoi
Khuwhishoon Ka Hajoom Bhi Tha
Mairy Zindagi Ke Khalaoon Main
Kaye Tairtay Howay Khowab Thay
Mujhay Maangnay Ka Shaoor Tha
Mairay Lab Pay Hurf -e- Dua Bhi Tha
Main Bashar Jo Tha
Mujhe Roshni Ki Talab Jo Thi
Mujhe Raasto Ki Khabar Tu Thi
Mujhay Manzilo Ka Gumaa Tu Tha
Tu Nien Phir Bhi kaisay Samajh Liya
Koi Aarzo Koi Raasta
Koi Roshni Koi Zindagi
Mujhe Tujh Say Bhar Kar Aziz Hai
Kabhi Is Taraf Se Guzar Howa
Tu Nazar Bacha Ke Yeah Dekhna
TERAY Baad Jitni Basar Hoi
Isay “UMAR” Kehna Durust Hai ??

mujh se bichar ke Khush rahatay homairy tarah tum bhi jhootay ho


mujh se bichar ke Khush rahatay homairy tarah tum bhi jhootay ho
ik Tahni per chand Tikaa thamain yeah samajha tum baithay ho
ujale ujale phool khilay thaybilkul jaisay tum hastay ho
mujh ko sham bata deti haitum kaisay kapray pehanay ho
tum tanaha duniya se lardo gaybachchoon C batien keratay ho

Wafa main ab yeah hunar bhi ikhtyar kerna haiWo sach kahay na kahay aitbar kerna hai


Wafa main ab yeah hunar bhi ikhtyar kerna haiWo sach kahay na kahay aitbar kerna hai
Yeah tujhko jaagtay rehnay ka shoq kab se huwa?Mujhay to khair tera intizaar kerna hai
Hawa ki zid main jallaye hain Ansoon k chiraaghKabhi yeah jashan ser-e-rah guzaar kerna hai
Wo muskura ker nayi wasoosoon main daal gayaKhayal tha use sharamsaar kerna hai
Teray firaaq main din kis tarha kaateinKe shaghal-e-shab tu sitaray shumaar kerna hai
Chalo yeah Ashak hi moti samajh ker Baich aienKisi tarha to humain Rozgaar kerna hai

MAIN JIS KI ARZOO KI KITAB LIYE PHIRTA HOON


Janay kion shiksat ka azab liye phirta hoon
main kiya hoon aur kia khuwab liye phirta hoon
us ne ik bar kiya tha sawal_e_Muhabbat
main her lamha wafa ka jawab liye phirta hoon
us ne poocha kab se nahi soye
main tab se rut jagon ka hisab liye phirta hoon
us ki khuwahish thi ke mery ankhoon main pani dikhay
main us waqat se Ansoon ka sailaab liye phirta hoon
AFSOOS KE WO PHIR BHI MAIRA NA HUWA *FARAZ*
MAIN JIS KI ARZOO KI KITAB LIYE PHIRTA HOON

Hama-waqt ranj-o malal kia jo guzar gaya so guzar gayause yaad ker ke na dil dukha


Hama-waqt ranj-o malal kia jo guzar gaya so guzar gayause yaad ker ke na dil dukha, jo guzar gaya so guzar gaya
Na gila kia, na khafa Howay, yoonhi raastay main juda huwayna tu be-wafa, na main be-wafa, jo guzar gaya so guzar gaya
Woh ghazal ki aik kitaab tha, woh gullon main aik gulaab thazara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gaya so guzar gaya
Mujhe pat-jharon ki kahaniyan , na suna suna ke udaas kertu khizan ka phool hai muskura, jo guzar gaya so guzar gaya
Woh udas dhoop samait ker, kahin wadion main uter chukause ab na de mere dil sada, jo guzar gaya so guzar gaya
Yeah safar bhi kitna taweel hai, yahan waqt bhi kitna qalil haikahan laut ker koi aye ga, jo guzar gaya so guzar gaya
Woh Wafaien thien ke Jafaien thien, yeah na soch kis ki khatien thienwo tera hai us ko galay laga, jo guzar gaya so guzar gaya
Tujhe aitbaar-o yaqeen nahi, nahi dunya itni buri nahina malal ker mere saath Aa, jo guzar gaya so guzar gaya

Tujhe ishq ho khuda Karaykoi usko tujh se juda karayteray hont hasna


Tujhe ishq ho khuda Karaykoi usko tujh se juda karayteray hont hasna bhool jayeteri ankh num raha karay
to uski baatain kiya karayto uski baatain suna karayto us ko dekh ker ruka karaywo tujhe dekh ker chala karay
tujhe hijar ki Aisy chari lagayto milan ki her pal dua karayto tarpay uske ishq mainwo tujhe bhoolnay ki dua karay
tujhe ishq ho phir yaqeen hoto use tasbeehon main parha karaymain kaho ke ishq to dhong haito nahi nahi kaha karay
teray samnay tera ghar jalaytera bas chalay na bhuja sakayteray moun se yahi dua niklayna ghar kisi ka jala karay

Anjaany mein hum kisi sy wafa kar bethy henApny dil ki har baar ussy bata bethy hen


Anjaany mein hum kisi sy wafa kar bethy henApny dil ki har baar ussy bata bethy hen
Uss ki talaash mein itni door nikal gyeKih wapsi ka rasta hai ganwa bethy hen
Woh na mila par itna zroor hoa kihUssy dondty dhonty khud ko ganwa bethy hen
Mil kar us sy kya khoya kya paya hum nyUssy yad karty karty khud ko bhula bethy hen
Shaid us py bharosa kuch zyada kar bethyJo aaj tak khud sy chhupaya ussy suna bethy hen
ALI us ko to haasil nahi kar paya lekinUski khatir apnon sy dushmani kama bethy hen

Meri har ghazal ka wohi unwaan raha haiMagar aaj tak woh mujh sy anjaan raha hai


Meri har ghazal ka wohi unwaan raha haiMagar aaj tak woh mujh sy anjaan raha hai
Btany sy darta hon kih bura na maan jayeissi na btany sy , bura woh maan raha hai
Chehra uska har waqat samaya hai aankon meinChhup kar dekhta hai mujhy,shaid pehchan raha hai
Mohabat to parindon ko bhi hai, charindon ko bhiBewafai k liye bacha sirf insaan raha hai
Na bataya ussy k abhi, na woh samajh payaShaid pta hai meri mohabat ka yehi guman raha hai
Chamak na thi uski aankhon mein pehly jaisiLagta hai kih woh kisi bat sy parshan raha hai
Chehry py kabhi udaasi aany na di aaj takLekin dil humara har par sunsaan raha hai

ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiNsab ke dil se utar gayaa huuN maiN


ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiNsab ke dil se utar gayaa huuN maiN

kaise apnii haNsii ko zabt karuuNsun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN maiN

kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataajiite ji jab se mar gayaa huuN maiN
ab hai bus apna saamnaa darpeshhar kisii se guzar gayaa huuN maiN

voh hii naaz-o-adaa, voh hii Ghamzesar-ba-sar aap par gayaa huuN maiN

ajab ilzaam huuN zamaane kaake yahaaN sab ke sar gayaa huuN maiN
kabhii Khud tak pahunch nahiiN paayaajab keh vaaN umr bhar gayaa huuN maiN
tum se jaanaaN milaa huuN jis din sebe-tarah, Khud se dar gayaa huuN maiN
kuu–e–jaanaaN meN sog barpaa haike achaanak, sudhar gayaa huuN maiN

badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiNke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN


badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiNke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN
tujhii pe Khatm hai jaanaaN mire zavaal kii raattuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN maiN
bulaa rahaa hai miraa jaamaa-zeb milne koto aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huuN maiN

Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekhhavaa-e-taazaa! tire saath chal rahaa huuN maiN

maiN Khvaab dekh rahaa huuN ke vo pukaartaa hai,aur apne jism se baahar nikal rahaa huuN maiN

shola-e-ishq bujhaanaa bhii nahiiN chaahtaa haivo magar Khud ko jalaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai


shola-e-ishq bujhaanaa bhii nahiiN chaahtaa haivo magar Khud ko jalaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai

us ko manzuur nahiiN hai mirii gumraahii bhii,aur mujhe raah pe laana bhii nahiiN chaahtaa hai
sair bhii jism ke sehraa kii Khush aatii hai magar,der tak Khaak uRaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai

kaise us shaKhs se tabiir pe israar kareNjo koii Khwaab dikhaana bhii nahiiN chaahtaa hai

apne kis kaam meN laayega bataata bhii nahiiNham ko auroN pe ganvaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai
mere lafzoN meN bhii chhuptaa nahiiN paikar us ka,dil magar naam bataana bhii nahiiN chaahtaa hai

sach baat maan leejiye chehre pe dhuul haiilzaam aaiinoN pe lagaanaa fizuul hai


sach baat maan leejiye chehre pe dhuul haiilzaam aaiinoN pe lagaanaa fizuul hai

terii navaazisheN hoN to kaaNTaa bhii phuul haiGham bhii mujhe qubuul, Khushii bhii qubuul hai

us paar ab to ko’ii teraa muntazir nahiiNkacche GhaRe pe tair kar jaanaa fizuul hai

jab bhii milaa hai zaKhm kaa tohfaa diyaa mujhedushman zaruur hai vo magar baa-usuul hai

sochtaa huuN ke mahfuuz kar luuN ise apne siine meN lafz-o-bayaaN


sochtaa huuN ke mahfuuz kar luuN ise apne siine meN lafz-o-bayaaN kii tarahthoRii hii der meN yeh mulaaqaat bhii Khatm ho jaayegi daastaaN kii tarah

yeh rafaaqat bahut muKhtasar hai mirii hamsafar laa mire haath meiN haath detuu havaa-e-sar-e-rahguzar kii tarah, maiN kisii nakhat-e-raayegaaN kii tarah
haal zaalim shikaarii kii suurat mujhe, vaqt kii ziin se baandh kar le chalaamera maazii mire saath chaltaa rahaa duur tak ek majbuur maaN kii tarah

sang-e-aazaar kii baarisheN tez thiiN, aur bachne ka koii tariiqaa na thaaraftaa raftaa sabhii ne saroN par ko’ii be-hisii taan lii saayebaaN kii tarah

KhvahishoN ke samandar se ek mauj uThhi, aur sail-e-balaa-Khez bantii gayiijism kashtii kii maanind ulaTne lage, pairahan uR gaye baadbaaN kii tarah

Tu bata a dil-e- betaab, kahan aatey hainHumko khush rehney k aadaab kahan aatey hain


Tu bata a dil-e- betaab, kahan aatey hainHumko khush rehney k aadaab kahan aatey hain
Mein to yakmusht usey sonp doon sab-kuch lekinEk muthi mein merey khwaab kahan aatey hain
Muddaton baad tujhey dekh k dil bhar aayaWarna sehraon mein selaab kahan aatey hain
Meri bedaar nigahon mein agar bholey seNeind aaye bhi to ab khwaab kahan aatey hain
Shiddat-e-dard hai ya kasrat-e-mai- noshi haiHosh mein ab terey betaab kahan aatey hain
Hum kisi tarah terey dar pe thikana kar leinHum faqiron ko ye aadaab kahan aatey hain
Sar-basar jin mein faqat teri jhalak milti thiAb muyassar hamin who khwaab kahan aatey hain

Khataa maine ko’ii bhaarii nahiiN kiiamiir-e-shah’r se yaarii nahiiN kii


Khataa maine ko’ii bhaarii nahiiN kiiamiir-e-shah’r se yaarii nahiiN kii

kisii mansab kisii ohde kii khaatirko’ii tadbiir baazaarii nahiiN kii

bas itnii baat per duniyaa Khafaa haike maine tujh se Ghaddaarii nahiiN kii
mirii baatoN meN kyaa taasiir hotiikabhii maiN ne adaakaarii nahiiN kii

mire aiboN ko ginvaayaa to sab nekisii ne merii Gham-Khwaarii nahiiN kii

Khvaab-nagar hai aaNkheN khole dekh rahaa huuNus ko apnii jaanib aate dekh rahaa huuN


Khvaab-nagar hai aaNkheN khole dekh rahaa huuNus ko apnii jaanib aate dekh rahaa huuN

kis kii aahaT qarya qarya phail rahii haidiivaaroN ke rang badalte dekh rahaa huuN

kaun mire jaaduu se bach kar jaa saktaa hai!aaiinaa huuN, sab ke chehre dekh rahaa huuN
darvaaze par tez havaaoN kaa pahraa haighar ke andar chup ke saaye dekh rahaa huuN
jaise meraa chehraa mere dushman kaa hoaaiine meN Khud ko aise dekh rahaa huuN
manzar manzar viiraanii ne jaal taane haiNgulshan gulshan bikhre patte dekh rahaa huuN
manzil manzil hol meN Duubii aavaazeN haiNrastaa rastaa Khauf ke pahre dekh rahaa huuN
shah’r sangdlaal (?) meN “Amjad” har raste paraavaazoN ke patthar chalte dekh rahaa huuN

husn jab mehr’baaN ho to kyaa keejiyeishq kii maGfirat kii du’aa keejiye


husn jab mehr’baaN ho to kyaa keejiyeishq kii maGfirat kii du’aa keejiye

is saliiqe se unse gilaa keejiyejab gilaa keejiye haNs diyaa keejiye
duusroN par agar tabsiraa keejiyesaamne aaiinaa rakh liyaa keejiye

ap sukh se haiN tark-e-talluq ke baaditnii jaldii na ye faislaa keejiye

ko’ii dhokhaa na khaa jaaye merii tarahaise khul ke na sabse milaa keejiye

bhuule na kisii haal meN aadaab-e-nazar hammuR kar na tujhe dekh sake vaqt-e-safar ham


bhuule na kisii haal meN aadaab-e-nazar hammuR kar na tujhe dekh sake vaqt-e-safar ham

ai husn! kisii ne tujhe itnaa to na chaahaabarbaad hu’aa tere liye kaun, magar ham
jiine ka hameN Khud na milaa vaqt to kyaa hailogoN ko sikhlaate rahe jiine kaa hunar ham
ab tere ta’lluq se hameN yaad hai itnaaek raat ko mehmaan rahe the tere ghar ham

duniyaa kii kisii chhaaNv se dhundlaa nahiiN saktaaaaNkhoN meN liye phirte haiN jo Khvaab-e-sehar ham

vo kaunsii aahaT thii jo KhvaaboN meN dar aayiikyaa jaaniye kyuuN chauNk paRe picchle pehar ham
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...