Custom Search

aj jane ki zid na karo By: Fayaz Hashmi


aj jane ki zid na karo
yun hi pahlu main baithe raho
haye! mar jayenge, ham to lut jayenge
aisi baten kiya na karo

tum hi socho zara kyun na roke tumhen
jan jati hai jab uthke jate ho tum
tum ko apani kasam jan-e-jan
bat itni meri man lo

waqt ki qaid main zindagi hai magar
chand ghariyan yahi hain jo azad hai
in ko kho kar abhi jan-e-jan
umr bhar na taraste raho

kitna masum-o-rangin hai ye sama
husn aur ishq ki aj meraj hai
kal ki kisko khabar jane-jan
rok lo aj ki rat ko

gesuon ki shikan hai abhi shabnami
aur palkon k saye bhi madahosh hain
husn-e-masum ko jane-jan
bekhudi main na rusva karo

By: Fayaz Hashmi

aj jane ki zid na karo By: Fayaz Hashmi


aj jane ki zid na karo
yun hi pahlu main baithe raho
haye! mar jayenge, ham to lut jayenge
aisi baten kiya na karo

tum hi socho zara kyun na roke tumhen
jan jati hai jab uthke jate ho tum
tum ko apani kasam jan-e-jan
bat itni meri man lo

waqt ki qaid main zindagi hai magar
chand ghariyan yahi hain jo azad hai
in ko kho kar abhi jan-e-jan
umr bhar na taraste raho

kitna masum-o-rangin hai ye sama
husn aur ishq ki aj meraj hai
kal ki kisko khabar jane-jan
rok lo aj ki rat ko

gesuon ki shikan hai abhi shabnami
aur palkon k saye bhi madahosh hain
husn-e-masum ko jane-jan
bekhudi main na rusva karo

By: Fayaz Hashmi

ekk muddat baad aaj tujhe likh raha hu .....


ekk muddat baad aaj tujhe likh raha hu .....
kya kahu aaj kal main kaisa dikh raha hu ...

abb sheesho ko dekh kar sawarna nahi hota .....
tere intezaar mein shaamo ka theherna nahi hota....
... ... sochta hu kabhi mill aau tujhse .....
par kya karu , abb un galiyo se mera guzarna nahi hota ....

yeh faasle bhi badhte gaye waqt ke saath yun hi...
sab badal gaye par main badla nahi.....
yaad aye kabhi , toh awwaz laga lena ....
main kal bhi wahin tha , main ab bhi hu wahin...

kam nahin meri zindagi k liye By: Fayaz Hashmi


kam nahin meri zindagi k liye
chain mil jaye do ghari k liye

ai dil-e-zar kaun hai tera
kyon tarapta hai yun kisi ke liye

kitne saman kar liye paida
itni choti si zindagi ke liye

aisa 'Faiyyaz' gam ne ghera hai
lab taras hi gaye hansi ke liye
By: Fayaz Hashmi

na tum mere na dil mera na jan-e-natavan meri By: Fayaz Hashmi


na tum mere na dil mera na jan-e-natavan meri
tasavur main bhi a sakti nahin majaburiyan meri

na tum aye na chain aya na maut ai shab-e-vada
dil-e-muztar tha main tha aur thi betabiyan meri

abas nadaniyon par ap apni naz karte hain
abhi dekhi kahan hain ap ne nadaniyan meri

ye manzil ye hasin manzil javani nam hai jis ka
yahan se aur age barh na ae umr-e-ravan meri
By: Fayaz Hashmi

ab wahi harf-e-junun sab k zuban thahri hai by:Faiz Ahmad Faiz


ab wahi harf-e-junun sab k zuban thahri hai
jo bhi chal nikli hai wo bat kahan thahri hai

aj tak shaikh k ikram main jo shay thi haram
ab wahi dushman-e-din rahat-e-jan thahri hai

hai khabar garm k phirta hai gurezan naseh
guftagu aj sar-e-ku-e-butan thahri hai

hai wahi ariz-e-laila wahi shirian ka dahan
nigah-e-shauq ghari bhar ko yahan thahri hai

wasl k shab thi to kis darja subak guzri hai
hijr k shab hai to kya sakht garan guzri hai

bikhri ek bar to hath ai kab mauj-e-shamim
dil se nikli hai to kab lab pe fugan thahri hai

dast-e-sayyad bhi ajiz hai kaf-e-gulchin bhi
bu-e-gul thahri na bul-bul k zaban thahri hai

ate ate yun hi dam bhar ko ruk hogi bahar
jate jate yun hi pal bhar ko khizan thahri hai

ham ne jo tarz-e-fugan k hai qafas main ijad
"Faiz" gulshan main wo tarz-e-bayan thahri hai

by:Faiz Ahmad Faiz

aye kuch abr kuch sharab aye By: Faiz Ahmed Faiz


aye kuch abr kuch sharab aye
us k bad aye jo azab aye

bam-e-mina se mahtab utre
dast-e-saqi main aftab aye
By: Faiz Ahmed Faiz

Subhan Allah

a gift for Azharm Azhar Nazir



akyla raat par tarpa

tonay daykha hay kabhi chand pay behta huva pani?

Mohsin



Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...