Custom Search

kbhi un ka dr kbhi dr ba dr.. poetry


akyla rat bhar trpa mareez e sham e gham shaqi


aj jane ki zid na karo By: Fayaz Hashmi


aj jane ki zid na karo
yun hi pahlu main baithe raho
haye! mar jayenge, ham to lut jayenge
aisi baten kiya na karo

tum hi socho zara kyun na roke tumhen
jan jati hai jab uthke jate ho tum
tum ko apani kasam jan-e-jan
bat itni meri man lo

waqt ki qaid main zindagi hai magar
chand ghariyan yahi hain jo azad hai
in ko kho kar abhi jan-e-jan
umr bhar na taraste raho

kitna masum-o-rangin hai ye sama
husn aur ishq ki aj meraj hai
kal ki kisko khabar jane-jan
rok lo aj ki rat ko

gesuon ki shikan hai abhi shabnami
aur palkon k saye bhi madahosh hain
husn-e-masum ko jane-jan
bekhudi main na rusva karo

By: Fayaz Hashmi

aj jane ki zid na karo By: Fayaz Hashmi


aj jane ki zid na karo
yun hi pahlu main baithe raho
haye! mar jayenge, ham to lut jayenge
aisi baten kiya na karo

tum hi socho zara kyun na roke tumhen
jan jati hai jab uthke jate ho tum
tum ko apani kasam jan-e-jan
bat itni meri man lo

waqt ki qaid main zindagi hai magar
chand ghariyan yahi hain jo azad hai
in ko kho kar abhi jan-e-jan
umr bhar na taraste raho

kitna masum-o-rangin hai ye sama
husn aur ishq ki aj meraj hai
kal ki kisko khabar jane-jan
rok lo aj ki rat ko

gesuon ki shikan hai abhi shabnami
aur palkon k saye bhi madahosh hain
husn-e-masum ko jane-jan
bekhudi main na rusva karo

By: Fayaz Hashmi

ekk muddat baad aaj tujhe likh raha hu .....


ekk muddat baad aaj tujhe likh raha hu .....
kya kahu aaj kal main kaisa dikh raha hu ...

abb sheesho ko dekh kar sawarna nahi hota .....
tere intezaar mein shaamo ka theherna nahi hota....
... ... sochta hu kabhi mill aau tujhse .....
par kya karu , abb un galiyo se mera guzarna nahi hota ....

yeh faasle bhi badhte gaye waqt ke saath yun hi...
sab badal gaye par main badla nahi.....
yaad aye kabhi , toh awwaz laga lena ....
main kal bhi wahin tha , main ab bhi hu wahin...

kam nahin meri zindagi k liye By: Fayaz Hashmi


kam nahin meri zindagi k liye
chain mil jaye do ghari k liye

ai dil-e-zar kaun hai tera
kyon tarapta hai yun kisi ke liye

kitne saman kar liye paida
itni choti si zindagi ke liye

aisa 'Faiyyaz' gam ne ghera hai
lab taras hi gaye hansi ke liye
By: Fayaz Hashmi

na tum mere na dil mera na jan-e-natavan meri By: Fayaz Hashmi


na tum mere na dil mera na jan-e-natavan meri
tasavur main bhi a sakti nahin majaburiyan meri

na tum aye na chain aya na maut ai shab-e-vada
dil-e-muztar tha main tha aur thi betabiyan meri

abas nadaniyon par ap apni naz karte hain
abhi dekhi kahan hain ap ne nadaniyan meri

ye manzil ye hasin manzil javani nam hai jis ka
yahan se aur age barh na ae umr-e-ravan meri
By: Fayaz Hashmi

ab wahi harf-e-junun sab k zuban thahri hai by:Faiz Ahmad Faiz


ab wahi harf-e-junun sab k zuban thahri hai
jo bhi chal nikli hai wo bat kahan thahri hai

aj tak shaikh k ikram main jo shay thi haram
ab wahi dushman-e-din rahat-e-jan thahri hai

hai khabar garm k phirta hai gurezan naseh
guftagu aj sar-e-ku-e-butan thahri hai

hai wahi ariz-e-laila wahi shirian ka dahan
nigah-e-shauq ghari bhar ko yahan thahri hai

wasl k shab thi to kis darja subak guzri hai
hijr k shab hai to kya sakht garan guzri hai

bikhri ek bar to hath ai kab mauj-e-shamim
dil se nikli hai to kab lab pe fugan thahri hai

dast-e-sayyad bhi ajiz hai kaf-e-gulchin bhi
bu-e-gul thahri na bul-bul k zaban thahri hai

ate ate yun hi dam bhar ko ruk hogi bahar
jate jate yun hi pal bhar ko khizan thahri hai

ham ne jo tarz-e-fugan k hai qafas main ijad
"Faiz" gulshan main wo tarz-e-bayan thahri hai

by:Faiz Ahmad Faiz

aye kuch abr kuch sharab aye By: Faiz Ahmed Faiz


aye kuch abr kuch sharab aye
us k bad aye jo azab aye

bam-e-mina se mahtab utre
dast-e-saqi main aftab aye
By: Faiz Ahmed Faiz

Subhan Allah

a gift for Azharm Azhar Nazir



akyla raat par tarpa

tonay daykha hay kabhi chand pay behta huva pani?

Mohsin



Bus Aik Shaam Day Do Mujhay Payar Main Dhalti Hui


Bus Aik Shaam Day Do Mujhay Payar Main Dhalti Hui
Phir Sham Usko Main Kahoon Ya K Kahoon Main Zindagi

Payar Ho Challka Hua Teri Niggah K Jaam Se
Surmaai Sa Phelta Ho Rang Uffaq Per Shaam Se
Bazo’oun Ki Qaid Main Ho Ik Badan Simta Hua

Khamoshi Main Goonjti Ho Do Dilon Ki Ik Sada
Ho Ulajhti Saans Main Jesay Shara’rat Saans Ki
Rooh Ko Choonay Lagay Jesay Hararat Saans Ki

Hath Main Ho Chooriyon Ki Dheemi Dheemi Si Khannak
Madham Madham Roshni Main Narm Anchal Ki Dhannak
Hont Hoon Tere Gulaabi Chalki Chagal Ki Tarah

Surmaai Si Phail Jaye Shaam Kajal Ki Tarah
kash So Jao Kabhi Tum Rakh K Sar Aghosh Main
Doob Ker Ankhon Main Teri Ham Rahain Na Hosh Main

Kaash K Mujhko Atta Kar Do Koi Aisa Hi Kal
Kaash Tham Jain Wo Lamhay Or Tham Jain Wo Pal
Wassal K Lamhay Atta Kar Do Mujhay Ik Din Kabhi

Yoon Milain Tum Se K Phir Na Hoon Juda Tum Se Kabhi
Phir Chalay Janay Ki Jana! Baat Na Aye Kabhi
Buss Aik Shaam Day Do Phir Raat Na Aaye Kabhi

Teri chah main hadd say guzar jayoon ga ek din....


Teri chah main hadd say guzar jayoon ga ek din....
piyar hota hay kia yeh dikhlayon ga ek din......... ..

teri sangg-dili ko sehtay sehtay main,,,,
apni jaan say guzer jayoon ga Ek din.....

apni chahtain sari tujh pay waar kay ,,,,
piyar karna tujhay bhi sikhaoon ga ek din.....

jee na pay gi tu bhi ho kay juda mujh say ,,,,,
aisa piyar tujh say kar jayoon ga ek din....

andhairon main dhondte rah jaiy gi mujh ko ,,,
aisi BAY-RUKHI dikhlaon ga ek din......... ...

kho kay mujh ko bohat pashtay gi sanam tu ,,,,
wafa aisi tujh say kar jaoon ga ek din.........

aisi deewangi say chahoon ga tujh ko ,,, ,,,,
bhool jaoo gi tum bhi sara jahan ek din......

Jaan Teri Bhi Luboon Pay Aaa Jaye Gi ,, ,,
Ban Kay Khak Jab Matti Mai Mil Jaoon Ga Ek Din

Janay Yeh Kesa Rishta Hai


Janay Yeh Kesa Rishta Hai

Yeh Kaisa Bandhan Hai?
Main Akser Sochti Hoon,

Kiya Rishta Hai,

Mera Tum Say

Aisa Kia Hai Tum Main,

Jo Mujhay Tum Say Bandhay Howa Hai,

Kiya Yeh Pyaar Hai.

Ehsaas Hai?

Dhokha Hai?

Ya,

Aziyat Hai?

Janay Kesa Rishta Hai?

Jis Main Wafa Nahi Jafa Hai,

Jis Main Pyaar Nahi,

Aziyat Hai,

Jis Main Tum Nahi,

Tumhara Feraib Hai,

Janay Main Kyun

Tum Say Dorr Ho Nahi Paati,

Tumhara Har Teer Sahi Jaati Hoon,

Tumhari Har Baat Mera Dil Ko Cheer Deti Hai

Tumhari Har Aziyat Mujhay Qabool Hai,

Janay Yeh Kesa Rishta Hai,

Wo Kehti hai Suno Jana


Wo Kehti hai Suno Jana
Muhbbat Moom Ka Ghar Hai
Tabish Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De Ais ko

Main Kehta Hoon
Jis Dil Main Zara B Badgumani Ho
Wahan Kch Or Ho Tu Ho
Muhbbat Ho Nai Sakti

Wo Kehti Hai Sada Aisay He
Kaya tum Muj Ko Chaho Gaye
Keh Main Ais Main Kami Koi Bhi
Gawara Ker Nai Sakti

Main Kehta Hoon
Muhbbat Kaya Hai
Yeh Tum nay shikaya hai
Mujay Tum Say Muhbat K Siwa
Kch b Nai Ata

Wo Kehti Hai
Judai Say Buht Darta Hai Mera Dil
Keh Khud ko Tum Say Hat Ker Dekhna
Mumkin Nai Hai Ab

Main Kehta Hoon
Yahi Khadshay Buht Muj Ko sattay Hain
Mager Sach Hai Muhbbat Main
Judai Saath Chalti Hai

Wo Kehti Hai
Batao Kaya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum
Meri Baatien,Meri Yaadien,Meri Ankhien
Bhula Do gaye

Main Kehta hoon
Kabhi Ais Baat per socha nai main nay
ager ik pal ko b sochon tu
saansien ruknay lagti hain


wo kehti hai tumhien muj say
muhbbat ais kader kio hoon
Keh main ik aam si lerki
tumhien kio khas lagti hon

main kehta hoon
kabhi khud ko meri ankhon say tum dekho
meri dewangi kio hoon
yeh khud he jaan jao gi

wo kehti hai
mujay warftgi say dekhtay kio ho
keh main khud ko buht
keemti mehsoos kerti hoon

main kehta hon
Mata-e-jaan buht anmool hoti hai
tumhien jab dekhta hoon zindgi
mehsoos kerta hoon

wo kehti hai mujay alfaz k jugno nai miltay
keh tumhien bata sakon
keh dil main mere
kitni muhbbat hai

main kehta hoon
muhbbat tu Niighaon say jhalkti hai
tumhari khamosi muj say
tumhari baat kerti hai

wo kehti hai
batao na kis ko khonay ser darta ho
batao kon hai wo jisay
yeh musam bulatay hain

Main kehta hoon
yeh meri sheri hai aiena dil ka
zara dekho batao kaya
tumhien ais main nazar aya

wo kehti hai
Atif ji buht baatien banatay ho
mager sach hai yeh baatien
buht he shaad rakhti hain

main kehta hoon
yeh sab baatien yeh fasany ik bhana hain
keh pal kch zindagani k
tumhare saath kat jaien
phir us k baad khamoshi ka
dilkash raqs hota hai
nagihaien bolti hai or
lab khamosh rehtay hain

koi din gar zindagani aur hai


koi din gar zindagani aur hai 
apne ji mein hamne thani aur hai 

atish-e-dozakh mein ye garmi kahan 
soz-e-gam hai nihani aur hai 

barha dekhin hain un ki ranjishen 
par kuch ab k sargirani aur hai 

dek khat munh dekhta hai namabar 
kuch to paigam-e-zabani aur hai 

qata-e-amar hai aksar nujum 
wo bala-e-asmani aur hai 

ho chukin "Ghalib" balayen sab tamam 
ek marg-e-nagahani aur hai

aik aas lagana chahte hain


aik aas lagana chahte hain
tere dar per ana chahte hain

kuch nazre karam ho hum ager
hum sarko jhukana chahte hain

kia dogey hame sari khushian
hum daman ko pehlana chahte hain

tere kandhe pe sar rakh ker hum
gham apna sunana chahte hain

tum kya chahoge hum se kaho?
hum khud ko mitana chahte hain...!!!

Apne pyar ki gehrai ka har jazba dekhta hu..


Bheegi palken...
Dard se chalakti ankhen...
Ankhon mein laal dore...
Galon pe phisalta moti...
Lab katate hoye....

Main aksar usse
Badi mehviyat se dekhta hu....

Pagli....
Tujhe kya maloom??
Tujhe rula kar kabhi ...
Main teri ankhon mein....

Apne pyar ki gehrai ka har jazba dekhta hu..

Kuch yadgar-e-shehr-e-sitam'gar hi le chalain


Kuch yadgar-e-shehr-e-sitam'gar hi le chalain

Aaye hain is gali mein to Pathar hi le chlain

Youn Kis trha Katay ga Karri dhoop Ka safar?

Sar Per Khayal-e-yar Ki chaadar hi le chalain

Ranj-e-safar Ki Koi nishani to Pas ho

Thori c Khaak-e-Kocha-e-Dilbar hi le chalain

Ye Keh K chairti hai hamein Dil'giraftagi

Ghabra gaye hain Aap to bahir hi le chalain

Is shehr-e-be'charagh mein Jaye gi tu Kahan?

Aa Ay_shab-e-firaaq tujhe ghar hi le chalain

tootay huway dil ko kabhe jurtay nhe dekha


tootay huway dil ko kabhe jurtay nhe dekha 
wo pal gusar gaye unhay mur kr nhe dekha 
kabhe tanhaye may jo khayal aaya un ka 
muskura diye magar roo kr nhe dekha 
suna hai mushkil hai mohabbat ka kheel 
khela nhe hum nay kabhe 
mohabbat ka ye kheel 
mohabbat aasan hai dil laghanay say 
lagha kr dil youn kabhe kise say 
phir chora nhe jata 

""MOHSIN""

wo log dusray hotay hain jo 
kheltay hain mohabbat ka kheel 
diloon ke bazi hr kr kabhe jeeta neh jata

Jo khushi tumharay kareeb ho


Jo khushi tumharay kareeb ho
Woh sada tumhain naseeb ho

Tujhe woh khulos milay ke jo
Teri zindagi pe muheet ho

Jo mayaar tujhko pasand ho
Jo tumhare dil ki umang ho

Teri zindagi jo talab kare
Teray hamsafar ka wo rang ho

Jo khayaal dil main aseer ho
Aur dua main bhi taseer ho

Teray haath uthatay hi Khuda karay
Teray saamne tabeer ho

Tujhe wo jahan milay jidhar
Ghamon ka koi guzar na ho

Jidhar rooshni ho khuloos ki
Aur nafratoon ko khabar na ho....

Wo Hansi Hansi Main Hi Chal Diya,


Wo Hansi Hansi Main Hi Chal Diya,
Ky Main Hath Tak Na Hila Saki,
Mujhy Kiya Khabar Thi Ky Wo Kiya Hua,
Muhjy Kitna Gehra Khumaar Tha,
Main Khari Thi Usky Hisaar Main,
Mery Irrd Gird Ghubaar Tha,
Younhi Sochti Rahi Dair Tak,
Magar Usko Kuch Na Bata Saki,
Na Main Pass Usko Bula Saki,

Na Main Dil Ki Baat Bata Saki,

Na Hay Dushmani Kisi Din Sy Ab,
Na Hay Dosti Kisi Raat Sy,
Haan Ab Bacha Hi Kiya Jo Wo Ly Gaya,
Mujhy Cheen Kar Meri Zaat Sy,
Ye Makaam Hi Tha Ajeeb Sa,
Ky Main Khud Ko Hi Na Bacha Saki,

Na Main Pass Usko Bula Saki,
Na Main Dil Ki Baat Bata Saki,

Ye Bhi Theek Hay Wo Chala Gaya,
Mujhy Band Rastay Py Chor Kar,
Ye Bhi Theek Hy Ky Na Aaye Ga,
Kabhi Buut Anaa Ky Wo Tor Kar,
Wo Juda Bhi Kaisy Hua Ky Main,
Koi Rasm Bhi Na Nibha Saki,
Na Main Pass Usko Bula Saki,
Na Main Dil Ki Baat Bata Saki...

kab uskaa visaal chaahiye thaa


kab uskaa visaal chaahiye thaa
bas aik Khayaal chaahiye thaa

kab dil ko javaab se Gharz thii
hoNToN ko savaal chaahiye thaa

shauq ek nafas thaa aur vafaa ko
paas-e-maah-o-saal chaahiye thaa

ek chehraa-e-saadaa thaa jo hamko
be-misl-o-misaal chaahiye thaa

ek qarb meN zaat-o-zindagii haiN
mumkin ko muhaal chaahiye thaa ..!!

Jab rulana hi tha tujhe toh phr hasaya q,


Jab rulana hi tha tujhe toh phr hasaya q,
sath rhe kar b hai juuda toh pas aaya q... 
Pyaar mehsus q hone laga gunao sa,
aaya apne bich me kisi ka saayaq,,, 
q ajnabi ki tarah mujhse pesh aati hai, 
chaannd lamhe b mujhe tu naa de pati hai, 
aisi kya hamne ki khata hame staya q,,, 
jab rulana hi tha tujhe toh phr hasaya q, 
sath rhe kar b hai juuda toh paas laya qqqq????

Khamosh Aasman,


Khamosh Aasman,
Mayoos Parinday,
Veraan wadiyaan
Sard Aalam
or
Tumhari yaadon K Silslay,

Afsos!!!
Ye JANUARY Kabhi "Tanha" Kyun nahi Aata.!!!

KhyaL Rakhna..........


‎* Gham-e-Zamana *
Usey Batana
Gham-e-Zamana
Faraib Dega
KhayaL Rakhna!
WaFa K Rste Se Lot Jana
Faraib Dega
KhayaL Rakhna!
Sakoon Dain gi Wisaal Raatain
Chain Dain ge Udaas Lamhe
Magar Ye PaL Bhar Ka
Muskurana
Faraib Dega
KhayaL Rakhna
Tu Khwab Kis ka
Ma Khwab Kis ka
Na Pyar Mujh ko
Na Pyar Tuj ko
Ye ik Duje K Paas Aana
Faraib Dega
KhayaL Rakhna
Jo Qeher Toota hai Dil Pe Mere
Wo Qeher Tote na Ab Kisi Pe
Ye DiL Jalana
Ye Ghr Lutana
Faraib Dega
KhyaL Rakhna..........

Wohi Raaton ki bedaari hai ab tak,


Wohi Raaton ki bedaari hai ab tak,
Tamana ka safar Jaari hai ab tak,
Khayal e zabt aur tark e talluq,
Yahi pathar bohat bhaari hai ab tak,
Akeeli Chandni raaton main dil ko,
Sulag uthnay ki bemaari hai ab tak,
Abhi pichlay dinon hum pe jo guzri,
Usi rutt ka nasha taari hai ab tak,
Badan se ho k jo roohon main utri,
Usi qurbat ki sarshaari hai ab tak,
Main hijrat kr to lon "MOHSIN" chaman se,
Pr parindon se meri yaari hai ab tak..

Yai Pagal Dil bhe Ab Mjhysy Routh Jata Hai,


Khood sy Kiya Wada bhe ab Toot Jata Hai,

Yai Waqt ab Hatho sy Choot Jata Hai,

Na Krna Tm Gila Khood Sy Basil,

Aj kal to Muhbt Krny Wala bhe sub Loot Jata Hai,

Q Kiya tha Touny Apny Dil sy Wada,

Yai Pagal Dil bhe Ab Mjhysy Routh Jata Hai,

* Wo log bohat khush-qismat thay,


* Wo log bohat khush-qismat thay,
Jo ishq ko kaam samjhty thay,
Ya kaam se aashiqui karty thay,
Hum jeety jee masroof rahy,
Kuch ishq kia kuch kaam kia,
Kaam ishq k aarrey aata raha,
Aur ishq se kaam ulajhta raha,
Phir aakhir tang aa kar hum ney,
Donon ko adhoora chorr dia...!!!

Khood sy Kiya Wada bhe ab Toot Jata Hai,


Khood sy Kiya Wada bhe ab Toot Jata Hai,

Yai Waqt ab Hatho sy Choot Jata Hai,

Na Krna Tm Gila Khood Sy Basil,

Aj kal to Muhbt Krny Wala bhe sub Loot Jata Hai,

Q Kiya tha Touny Apny Dil sy Wada,

Yai Pagal Dil bhe Ab Mjhysy Routh Jata Hai,

Har Raat Gum Tanhai


Har Raat Gum Tanhai
Har Sham Teri Yaad Ai
Jitna Tujhe Bhulana Chaha
Utni Ziyada Teri Yaad Ai
Tujh Se Koi Umeed Nahi Wabista
Is Dukh Se Ankh Bhar Ai
Logo Ne Pocha Ashko Ka Sabab
Bus Hamein Kehna Para Sham-E-Tanhai

Apni Haseen Ankhon Me Chupa Lo Mjh Ko


Apni Haseen Ankhon Me Chupa Lo Mjh Ko
Mohabat Agr Krty Ho To Chura LoMjh Ko
Khony Ka Agr Khaof Hy To
Dil Ki Hr Dharkan Me Basa Lo Mjh Ko
Dhoop Ho Ya Sehra Ho Tere Sath Chalain Gy
Yaqeen Na Aaye To Aazma Lo MjhKo
Tere Dukh Ko Seh Lain Gy Hans Kr
Apny Badan Ki Chadar Bna LO Mjh Ko
Sahil Se Pehle Chor To Na Do Gy
Abhi Aghaaz-e-Safar Me Bta Do Mjh Ko
Zindgi B Tere Nam Kr Dain Gy
Apny Bazoan Mein Chupa Lo Mjh Ko

Ye To Zeest Ka Safar Hai,


Ye To Zeest Ka Safar Hai,
Ye Jo Raasta Hai Mera,
TuM Agar Na Saath Doge,
To Ye Kis Tarah Katega,
Meri Soch Ki Hadon Tak,
Ye GuMaan Bhi Kaise Aaye,
Kio Pal Bina TuMhare,
Bhala Kaise Beet Jaye,
Mere Paas TuM Nahi Ho,
Mere Paas Kab Nahi Ho?
Meri Yaad Ke Nagar Mein
Mere Khwaab Ke Safar Mein,
Meri Meri Soch Ki Tahon Tak,
Meri Aankh Ke Bhanwar Mein,
Mere Dil Me Jaan Me Tan Me,
Meri Hasraton Ke Ban Mein,
Mere Dil Ki Tairgee Mein,
Meri Shab Ki Roshni Mein,
Haan TuMhi Ho, Har Jagah Ho,
Mere Paas TuM Nahi Ho,
Mere Paas Kab Nahi Ho?
Meri Har Dua Ka Mehwaar,
Bas Ek Aarzu TuMhari,
Isi Aarzu Se Aagaye
Koi Raasta Nahi Hia,
TuMhe Kis Kadar Hai Chaha
Ye TuMhe Pata Nahi Hai...

Dil Ke Aayine Mein Mujhko Saja Liya,


Dil Ke Aayine Mein Mujhko Saja Liya,
Jabse Maine Tujhko Apna Bana Liya,

Chand Taaron Mein Nazar Aye Chehra Tera,
Jab Se Mere Dil Pe Hua Hai SanaM Pehra Tera,

Ek Dooje Ke Dil Mein Apna Ghar Banana Hai,
Teri Khatir Sab Hi Hadon Se Guzar Jana Hai,

Tujhse Lipta Rahunga Bankar Kangna Tera,
Chand Taron Mein Nazar Aaye Chehra Tera,

Pyaar Mein HuM SanaM Ye Sara Jag Bhula Denge,
Mar Ke Waade Chahaton Ke HuM Nibha Denge,

Jaanse Bhi Mujhe Hai Pyara Sajna Mera,
Chand Taron Mein Nazar Aaye Chehra Tera...

Usse keh do mujhe satana chod de,


Usse keh do mujhe satana chod de,
Dusro k sath reh kar har pal mujhe jalana chod de,
Ya to kar de inkar mujse mohabbat nai,
Ya guzarte hue dekh mujhe palat kar muskurana chod de,
Na kar baat mujse koi gham nai hai,
Yu sunkar awaz meri jharoke pe ana chod de,
Karde dil-e-bayan jo chupa rakha hai,
Yu isharome haal btana chod de,
Kya irada hai bta de ab mujhe,
Yu dosto ko mere kisse sunana chod de,
Hai pasand jo rang mujhe,
Us libaaz me bar-bar ana chod de,Na kar yaad mujhe beshak tu,
Kitabo pe naam likh k mitana chod de,
Khuda kar sake kissa ye asan agar, 
ya to tu meri hoja,
Ya mujhe apna btana chod de...</3 </3 </3

udas shaamun ki siskiyun mein


udas shaamun ki siskiyun mein
kabhi jo meri awaz suno
to beeteay lamhun ko yaad kar k

inhi fizaaon mein loat ana!!

tum aya kartay the khwaab ban kar
aur kabhi mehkatey gulaab ban kar
mein khooshk hontun say jab pukarun

inhi khawaabun mein loat ana!!

meri wafaaun ka paas rakhna
meri duaun ka paas rakhna
mein khali khatun ko jab uthaun!!

meri duaun mein loat ana!!

‎"Chalo Mohsin mohabbat ki NAyi bunyaad rakhtay hain,?


‎"Chalo Mohsin mohabbat ki NAyi bunyaad rakhtay hain,?
?"Khud paband rehtay hain, usay azad rakhtay hain....…?

?"Hamaray khoon main Rab ne yehi taseer rakhi hai,,,,?
?"Burai bhool jatay hain achai yaad rakhtay hain…....?
...
?"Mohabat main kaheen hum se gustakhi Na ho JAe,,,,,,,,,?
?"Ham apna hAr qadam us k qadam k baad rakhtay hain...!!!?

Meri Aankhon Pe Mrta tha_


Meri Aankhon Pe Mrta tha_
Meri Batoon Pe Hansta tha_
Na Jane Shakhs tha Kaisa_
Muje Khonay Se Drta tha_
Muje Jab B Wo Milta tha_
Yehi Her Bar Kehta tha_
Suno!
Main Bhool Jaon to_
Agar Main Rooth Jaon to_
Kabi Wapis Na Aaon to_
Bhula Pao gay Sab Kuch kia_
Younhi Hanste Raho gay Kia_
Younhi Sajte Raho gay Kia_
Yehi Batein Hein Bas Us Ki
Yehi Yadein Hein Bas Us Ki
Muje Maloom Hai ltna_
Muje Wo Piyar Krta tha_
Muje Khonay Se Drta tha....

Koi yeh bataye yeh dil rota kyun hai


Koi yeh bataye yeh dil rota kyun hai
Yaadun main teri har waqt khota kyun hai

Saath chorne wale Tujh ko ye dil
Ab bhi apna manta kyun hai

kah diya Alwida jis ne tum ko
Uska intezaar aaj bhi kyoun hai.

Mohabbat ke safar mein koi rasta nahi deta


Mohabbat ke safar mein koi rasta nahi deta
zameen waqif nahi banti , falak saaya nahi deta
khushi aur dukh , sab ke apney hote hain
koi kisi ko apna , koi lamha nahi deta
udaasi jis ke dil mein ho , usi ki neend urti hai
kisi ko apni aankhon se , koi sapna nahi deta
uthaana khud hi parta hai , thakka toota badan apna
ke saans jab tak chalti hai , koi kandha nahi deta

wahan na phool khiltay hain na he mosam badlatay hain


wahan na phool khiltay hain na he mosam badlatay hain 
wahan par kuch nahi hota jahan par tum nahi hoaty..

yahan tu loog sadiun ko b lamhun ma badaltay hain 
mera ik pal nahi katta jahan par tum nahi hotay

sabab ronay ka wo pochain tu qasid itna keh dena
mjhy hansana nahi ata jahan par tum nahi hotay

Meri Har Ek Adaa Main Chupi Thi


‎~"Meri Har Ek Adaa Main Chupi Thi
Mohabbat"~"
"~"Tumne Mehsoos Na Kiya Yeh Aur
Baat Hai"~"
"~"Maine Har Dam Tere Hi Khuwab
Dekhe"~"
"~"Mujhe Tabeer Na Mili Yeh Aur Baat
Hai"~"
"~"Maine Jab Bhi Tujhse Baat Karna
Chahi"~"
"~"Mujhe Lafz Na Mile Yeh Aur Baat
Hai"~"
"~"Main Teri Mohabbat K Samundr
Main Door Tak gayi"~"
"~"Mujhe Saahil Na Mila Yeh Aur Baat
Hai"~"
"~"Qudrat Ne Likha Tha Tujhko Meri
Taqdeer Mein"~"
"~"Teri Qismat Mein Na Thi Main Yeh
Aur Baat Hai"~



Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...