Custom Search

Samajhta Nahi Yeh Dil Samajhanay Chalay Aao,


Samajhta Nahi Yeh Dil Samajhanay Chalay Aao,
Do Dillon K Faaslay Mitanay Chalay Aao,
.
Junoon-e-Ishq Mein Pagal Hogaye Hum,
Apni Bahon Mein Mujhe Samanay Chalay Aao,
.
Na Door Reh Kar Tarpao Na Dil Ko Tarsao,
Apna Bana Kr Apnanay Chalay Aao,
.
Mera Ishq Sacha Hai Mera Aithbar Karlo,
Mera Ishq Mera Pyaar Azmanay Chalay Aao....!!!!

BaNdh Lu hAth sE yA sEEny pr sAjaLun tUmkO,


BaNdh Lu hAth sE yA sEEny pr sAjaLun tUmkO,
G mE aAtA hy tAwiZ bAnaLuN tUmkO,

Phir tUmhAy sAnwArU tUmhAy bArhtA dEkhUn,
Q nA aNgAn mE chAmbeLi sA LagaLun tUmko,

JaisAy bALo mE chUnA kArtA hy ph0oL kOi,
GhAr k guLdAn mE phoLon sA LagaLun tUmko,

KiA ajAb khuAhiSiEn uThTi hAin mErAy DiL mE,
Kr k mAnAsA hAwAon mE uChaLun tUmk0,

Is kAdAr tOt kAr mUjhEy tUm pAr pyAAr aAtA hy,
ApNi bAhOn mE bhArU mAr hi daLu tUmk0,

KabHi khUabO ki tArhA aNkh k pArdy mE rAhO,
KabHi khUahiSh ki tArhA DiL mE buLaLun tUmk0,

Hy tUmhAry LiyE DiL mE kUch aKidAt aiSi,
ApnAy hAthO mE duAoN sA uThaLun tUmk0,

JؤaN dEnAy ki IjAzAt b nhi dEtAy hUmKo,
WؤrNa mAr jAuN abBi mAr k mAnaLun tUmKo,

JiS tArhA rAt k sEenAy mE hy mhtAb kA nO0r,
ApnAy DiL k mAkAn0 mE sAjALun tUmk0...

Sham Ko Yadon k Angan Mein Utar Jata Hun,


Sham Ko Yadon k Angan Mein Utar Jata Hun,
Aur Is Bazam Se Phir Waqt-e-Sehr Jata Hun,
.
Mujhko Maqsood Hai Har Hal Mein Rahat Teri,
Bujh Hun Gar Toh Tere Dil Se Utar Jata Hun,
.
Main Toh Qayim Hun Faqat Teri Kashish K Baa-is,
Teri Sarhad Se Jo Nikalun Toh Bikhar Jata Hun,
.
Gumbad-e-zaat Se Jo Sada Ati Hai,
Shab Ki Tanhai Mein Sunta Hun Toh Dar Jata Hun,
.
Mein Toh Qayim Hun Abhi Ehad-e-wafa Pe Apne,
Gar Tujhe Raas Nahi Hai Toh Mukaar Jata Hun......!!!!

Sukh Ka Mousam Khiyaal-o-Khawaab Howa


Sukh Ka Mousam Khiyaal-o-Khawaab Howa
Saans Lena Bhi Ab Dushwaar Howa

Ankhoon Ankhoon Mai Parha Karo Jazbay
Chehra Chehra Khuli Kitaab Howa

Roshni Us Kay Aks Ki Dekho
Aiena Shub Ko aftaab Howa

Ik Falaknaaz Ki Mohabbat Mai
Mai Hawaoo'n Ka Humrakaab Howa

Kon Moujoon Mai Gholta Hai Lahoo
Surkhroo Kis Leye Chanaab Howa

Kis Kay Sir Par Sinaa'n Ko Rashk Aya
Kon Maqtil Mai Kamyaab Howa

Ab Kay Hijraa'n Ki Dhoop Mai  faysal
Rang Us Ka Bhi Kuch Kharaab Howaa...!!

Main Usay Kesy Akela Chore Doon Is Rah Main


Main Usay Kesy Akela Chore Doon Is Rah Main

Sath jo Chalta Raha Majboriyon K Bad Bhi

Ban K Khushboo Rach Gaya Hai Yun Meray Ehsas Main

Door Ho Paya Nahin Wo Dooriyon K Bad Bhi

Rafta Rafta Us Ko Bhi Ye Duniya raas aa Gai

Muskra K Wo Mila Hai Ranjishon K Baad Bhi

Faslay Kab Kam Huwe Hain Rabton K Bad Bhi

Ajnabi They Ajnabi Hain Mohabbaton K Bad Bhi...

Dil Behalta Hai Kahan Anjum-o-Mehtaab Se Bhi


Dil Behalta Hai Kahan Anjum-o-Mehtaab Se Bhi
Ab Tu Hum Log Gaye Deeda-e-Bekhawaab Se Bhi

Roo Parha Hoon Tu Koi Baat He Aisi Ho Gi
Mai Kay Waqif Tha Teray Hijar Kay Adaab Se Bhi

KUch Tu Us Ankh Ka Shewaa Hai Khaffa Hoo Janna
Orr Kuch Bhool Hoi Hai Dil-e-Betaab Se Bhi

Aai Samander Ki Hawa Tera Karam Bhi Maloom
Piyaas Sahil Ki Tu Bujhti Nahi Sailaab Se Bhi

Kuch Tu Us Husun Ko Jannay Hai Zamana Sara
Orr Kuch Baat Chali Hai Meray Ehbaab Se Bhi

Dil Kabhi Gham Kay Samander Ka Shanawer Tha  faysal
Ab Tu Khoof Atta Hai Ik Mouja-e-Paayaab Se Bhi

Main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha,


Main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi,

Main toot-ta tha to chun kar sambhal rakhti thi..

Har aik maslay ka hal nikal rakhti thi,

Zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi..

Main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha,

Woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi..

Woh mairay dard ko chunnti thi apni pooron say,

Woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi..

Woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main,

Mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi..

Duain us ki balaon ko rook laiti thin,

Woh mairay chaar so hathon ki dhaal rakhti thi..

Ik aisi dhun kay nahi phir kabhi main nay suni,

Woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi..

Usay nadamatain mairi kahan gawara thin,

Woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi..

Bichar kay uss say main dunya ki thokaron me hon  faysal

Woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi..

Hisaab-e-tark-e-ta'aluq tamaam main ne kia


Hisaab-e-tark-e-ta'aluq tamaam main ne kia
shoru us ne kia ikhtataam main ne kia

mujhe bhe tark-e-muhabbat ye hairatain he rahi'n
jo kaam mera nahi tha wo kaam main ne kia


wo chahata tha k daikhe mujhe bikharte hoey
so es ka jashn basad ehtamaam main ne kia

bohat dino main meray ghar ki khamoshi totii
khud apne aap se ek din kalaam main ne kia

us eak hijr ne milwa diya wasal se bhe
k tu gaya tu muhabbat ko aam main ne kia

wo aaftaab jo dil main dehak raha tha  faysal
usay supard-e-shafaq aaj shaam main ne kia

Sitare timtimate hain tu koe yaad aata hai


Sitare timtimate hain tu koe yaad aata hai
nazare geet gate hain tu koe yaad aata hai

usay aana nahi wapis magar pher bhe ye haath apne
dua ko jab bhe uthte hain tu koe yaad aata hai

kabhi jugno kabhi tare kabhi gunche kabhi badal
hamara dil jalate hain tu koe yaad aata hai

bohat koshish se bhe ham us sitamgar ko nahi bhole
kahen bhe dil lagate hain tu koe yaad aata hai

abhi rastoun main bikhri hai mehak pehli rafaqat ki
kise se milne jate hain tu koe yaad aata hai

hamari shaaeri pe ab bhe uski hukmarani hai
ghazal jab bhe sunate hain tu koe yaad aata hai

Main Din ko Kahon Raat Wo Iqraar Kry.


Main Din ko Kahon Raat Wo Iqraar Kry.
Mujhko Hasrat hai Koi Youn Bhi Mujhe Piyaar Kry

Meri Khatir Wo Sahy Dunya ke Ta’ny , Dhaky
Nangy Pairon se Wo Seharaoun ke Kanty Chakhy.

Mujhko Paany Ke Liye June k Rozy Rakhy.
Main Hon Dewana, Wo Dewno Sa Izhaar Kry

Main Din ko Kahon Raat Wo Iqraar Kry.
Mujhko Hasrat hai Koi Youn Bhi Mujhe Piyaar Kry


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...