Custom Search

Kabhi gulaab wo kitaboon may rakhti thi

Kabhi gulaab wo kitaboon may rakhti thi
Kahtoon ke meray jawab kitaboon may rakhti thi

Zamaana shanaas thi wo bhaut
Har qadam phoonk kar rahoon may rakhti thi

Chehra shanaasi may kaml maharat hasil thi usay
Sadaa hi bhaut sawal nighaoon may rakhti thi

Usay aitmad tha bhaut apni taqdeer per
Roshan diye aksr toofani hawaoon may rakhti thi

Sagar ki bhiparti lehroon se usay ishq tha bhaut
Issi zoum may naam mera paaniyun pe likhti thi

Usay shayed baharon se adawat thi bhaut
Wafaoon ka naam zard patton pe likhti thi

Wo jo Milan rut may dagh-e-judai de gaye
Suna hai hijr ki shab wo aansoon se roti thi


Fasloon ko manzil se shikwa kiyun hai

Fasloon ko manzil se shikwa kiyun hai
Tawaalt-e-safr ko musaafir se shikwa kiyun hai

Zameen bhi simmat jati gr tu do gaam chalta
Sehar-e-husn may kohney waley saahir se shikwa kiyun hai

Daagh chaand may jo dekha tu tanha tarapta choor ayea
Aye aashiq-e-baatin tujhey zaahir se shikwa kiyun hai

Dar-e-maqtal lagzish teray qadmoon ki tujhey ruswa kr gaye
Jab tehri rasm mar kay amr hona tu jaabir se shikwa kiyun hai

Uss nay jab dil-e-naashad ko thokar may udaa diya Qais
Iss aday-e-be-niyazi pe uss haseen saahir se shikwa kiyun hai


Gayi rutoon key kuch khawab sunbhal rakhna

Gayi rutoon key kuch khawab sunbhal rakhna
Sard shaamon key chand azaab sunbhal rakhna

Muhabbt may rawa rakhay hain tu ne sada asol-e-tijarat
Aye jaan-e-wafa sood-o-ziyan kay wo sub hisaab sunbhal rakhna

Teri chahat may ta-umr shair kehtay rehay
Ab ghazal ki wo mehakti kitab sunbhal rakhna

Tareeq-e-wafa kay sub asloob aik shab-e-vasl nay sikha diye
Ulfat kay wo sub nisaab sunbhal rakhna

Dastaan-e-safar jo usay suna suna kay roye hum Qais
Sisaktey hurfoon ki wo sisakti kitaab sunbhal rakhna


kaheen tot-ta taara aasman pe jo kabhi tum dekho

kaheen tot-ta taara aasman pe jo kabhi tum dekho
aankhon se meri rawani-e-daryea-e-ashk kabhi tum dekho

bakhshain hain jo tu ne zakham-e-ulfat mujhey
buntey houay naasor-e-jan sabhi tum dakho

ghum-e-hijraan ke dard ka aalam kiyun kar ho biyaan
kisi zakhmi taiyer ka tarpna kabhi tum dekho

waqt-e-kalaam munh se uskay phool jhartey hain
laboon ki janbish pe hotey raqs-e-tabussam kabhi tum dekho

silsilaa zaat-e-Qais ki dharkanon ka qaim hai kaise
palkoon ka uski girna aur uthna kabhi tum dekho


Zubaan chup thi magr lafz boltey rehay

Zubaan chup thi magr lafz boltey rehay
Yaad ke dareechon se kaie unwaan boltey rehay

Umr-e-rawaan tu tehri ghaflaton ki kitab
Zindagi ki sham may amaalon ke mezaan boltey rehay

Bikhar gaye nasheman ke tinkey hawaon may apne
Khade tanha usay smatney ke samaan soochtey rehay

Yaadon ki rah guzr par gubar-e-kaarwan raha
Hum udasiyun me manziloon ke nishan khojtey rehay

Silsilay wafaon ke ajeeb tarz ke thay Qais
Jinhe maqsod-e-hiyat jana wohi fana ke unwaan nikaltey rehay


Rah mein kaie moor hain sanbhal kar chalna

Rah mein kaie moor hain sanbhal kar chalna
Jo pao rasta unjaana sanbhal kr chalna

Yahan muskrahaton may chupey hain teer-o-khanjr
Bnana jo tum kisi ko aashna sanbhal kr milna

Yahan awazon pe pehrain hain har soo
Jo dil ki baat chaho kehna sunbhal kr boolna

Qaasid phir aaj sandeesa laya hai harjai ka
Lifafa ashkon se hai mehakta sunbhal kr kholna

Ab nahi paata khud may jeevan ki koi ramq baqi jan-e-Qais
Ab ke jo rooth kr ho chalna sanbhal kar chalna


Darmiyan mein kaie sehra haiyal ho gaye

Darmiyan mein kaie sehra haiyal ho gaye
Mizaaj banjaara tha so hum bhi mayial ho gaye

Sar-e-maqtal dekh kr wo heraan hain bhaut hamian
Khud apni wafaon ki saza key saiyal ho gaye

Pehli baarish may maangi thi dua kehkashaon ki
Nangey paaon ab chaltey sangrezon pe ghaiyal ho gaye

Detay kia tumhain lafzon ki soghaat
Sakhi itne thay ke khud saiyal ho gaye

Sazaaon me kami tu shayed ho jati jaanan
Dukh may lazat itni thi ke khud hi haiyal ho gaye



Rukhsar pe pheli qos-o-qazah ka nazara kartey

Rukhsar pe pheli qos-o-qazah ka nazara kartey
Bana kr naya aasman tujh ko sitara kartey

Husn-e-mahtaab per tu likh rakhein hain kitabain bhaut
Sub adab sub devaan dharey reh jatey gr tera nazara kartey

Ye loh-e-dil pe likhi taqder badal jati
Gr ashk teray koi ishara kartey

Ishq may teray junoon isqadr ghalib raha
Phr ahl-e-duneya se kiyun na kinara kartey

Doob jatey toofan-e-sagar may muskaratey houay
Ay saahil pe khade naazir tujh ko na koi ishara kartey

Humain tu dukh bhi itney aziz rahe ta-umr
Kisi zulf-e-meh-jabeen ki tarah inhey sanwara kartey

Shab-e-tanhai may diya bujh jata hai jb jaanan
Beqara ho kr bekhudi may tujh ko hi pukara kartey

milein gee hum ko bhi

tum meri kon hoo

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...