Custom Search

suna hai teray shaher may nazool-e-wafa ka mousam


suna hai teray shaher may nazool-e-wafa ka mousam
muhabat ka sawan aur rang-o-noor ka aalam hota hai

suna hai wahan diloon ka milan hota hai
rohoon ka visal aur hijar ka inkar hota hai

wahan zulf bikhray tu raat ka aalam
jo simtay tu savera hota hai

suna hai ashk jab koi bahaiy tu
wahan sawan ka mousam hota hai

taara jab bhi tootay kaheen asmaan may
nazuk hatoon may kushkool-e-dua hota hai

suna hai wahan kalaam karti hain muabtain
nafratoon ka qatal-e-aam hota hai

suna hai wo bhi makeen hai teri basti ka
jo sadiyun se rooh-e-jaan hamari hota hai

usko salam-e-muhabat kehna
jiski ankh may ashk meray naam ka hota hai

wo bhi sahiyad mehsoos karta ho
dard jo firaaq may yahan hota hai

uski muskaan ka bhi aalm kuch biyaan ho
kia ab bhi usay dekh kar chandni ka guman hota hai

suna hai ab bhi wo nazar jhuka kar milta hai
kaheen ankh may uski piyar ka rang hota hai

chalo us basti ki janib chaltey hain
jahan rang-e-qos-qazah, aur raqs ishq may hota hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...