Tere gale mein jo baho ko daal rakhte hain
tujhe mamane ka kesa kamaal rakhte hain
tujhe khabar hai tujhe sochne ki khatir
bohat se kaam muqaddar pe taal rakhte hain
koi bhi fesla hum soch kar nahi karte
tumhare naam ka sikka uchaal rakhte hain
tumhare baad ye adat si ho gai apni
bikhrtay sokhte pate sambhaal rakhte hain
khushi si milti hai khud ko azeeyatein de kar
so jaan bojh k dil ko nidhaal rakhte hain
kabhi kabhi wo mujhe hans k dekh lete hain
kabhi kabhi mera be-had kheyal rakhte hain
tumhare hijar mein ye haal ho geya apna
kisi ka khat ho usay bhi sambhal rakhte hain
khushi mile to tere baad khush nahi hote
hum apni aankh mein har dam malaal rakhte hain
zamane bhar se bacha kar wo apne aanchal mein
mere wajod k tukre sambhaal rakhte hain
kuch is liye bhi to be-haal ho gaye hum log
tumhari yaad ka be-had kheyal rakhte hain
No comments:
Post a Comment