Custom Search

Qadam qadam tha naya Marhala main Kya karti?


Qadam qadam tha naya Marhala main Kya karti?
Taweel hota gaya tha Faasla main Kya karti ??

Har aik shakhs ko tha zaum -e- rahbari kitna
Bhatak raha tha mera Qaafla main Kya karti ??

Gham-e-hayat,gham-e-ishq aur gham-e-janaan
Ulajh gaya tha yun her ik Silsilaa main Kya karti?

Tumharey sath kisi bhi faisley ki fursat kab thi
Tumharey baad bhala koi Faisla main Kya karti ?

Bohat sambhaal k rakha tha dil mein Raaz tera
Woh ban k Aashk jo girnay Laga main Kya karti?

Mujhi se mangney aaya Woh lay key Majboori
Ab Uss sey Uss ki jafa ka Gilaa main Kya karti ?

Woh aansuoon ki zubaan khub janta tha Meri..
Mujhe bayaan ka na tha Hosla main Kya karti??

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...