Custom Search

suno tum rooth jatay ho


suno tum rooth jatay ho

suno tum rooth jatay ho

to hum par kya guzarti hai?

na dil main chain hota hai

na jeewan sath hota hai

na koi phool khilta hai

na humse koi chand milta hai

suno tum jab bhi milte ho to

ajab sa chain milta hai

tufaan main, aandhiyun main bhi

wafa ka deep jalta hai

baharain mehak uthti hain

khizain raqs karti hain

Suno

tum milte raha karo

mjhe kuch aas milti hai

khushyun ki mala khilti hai

sabhi kuch mehak uthta hai

sukoon e qalb milta hai♥

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...