Custom Search

Main Shayer Hoon



٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


Main Shayer Hoon
Toa Aksar Laog Mujh Se Poochtay Hain
Is Haseen Israar Kay Baray main
Batain Toa Bhala Kiya Hai…?
Muhabbat Akhirish Hai Kiyaa…..?”
Wasi Main Hans Kay Kehta Hoon
Kisi Piyasay Ko Apnay Hissay Ka Pani Pilana Bhi..
Muhabbat Hai!
Bahnwar Mai Doobtay Ko Sahil Tak Lai Kay Jana Bhi..
Muhabbat Hai!
Kisi Kay Wastay Nanhi Si Qurbani..
Muhabbat Hai!
Kaheen Hum Raaz Saray Khoal Saktay Hoan Magar Phir Bhi,
Kisi Ki Babasi Ko Daikh Ker Khamosh Hojana Bhi…
Muhabbat Hai!
Ho Dil Mai Dard, Veraani Magar Phir Bhi
Kisi Kay Wastay Jabran Hi Hoantaon Pe Hansi Lanaa
Zabardasti Hi Muskana…
Muhabbat Hai!
Kaheen Barish Mai Sehmay, Bheegtay Billi Kay Bachay Ko
Zara Si Dair Ko Ghar Lai Kay Anaa Bhi
Muhabbat Hai!
Koi Chirya Jo Kamray Mai Bhatakti Aan Nikli Ho
Toa Us Chirya Ko
Pankhaa Band Kar Kay Rastaa Bahir Ka Dikhlana
Muhabbat Hai!
Kisi Kay Zakham Sehlanaa
Kisi Rotayhuay Dil Ko Behlana..
Muhabbat Hai!
Kay Metha Boal, Methi Baat, Methay Lafz, Sab Kiya Hhai?
Muhabbat Hai!
Muhabbat Aik Hi Bas Aik Hi Insaan Ki Khatir
Magan Rehna
Hama Waqt Uski Bataon, Khushboan Mai,
Dolna Kab Hai
Muhabbat Sirf Uski Zulf Kay Bal Kholnaa
Kab hai..
Muhabbat Kay Hazaroan Rang
Laakhoan Istaa’ray Hain
Kisi Bhi Rang Mai Ho Ye
Mujhay Apna Banati Hai
Ye Meray Dil Ko Bhaati Hai!

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


Teri Ankhun K Haseen Jaal Me Aa Jaon Ga Mai,



٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


Teri Ankhun K Haseen Jaal Me Aa Jaon Ga Mai,
Mujh Ko Lagta Hai Teri Chaal Me Aa Jao Ga Mai.

Zindagi Baad Tere Hona Thi Mushkil Lekin,
Ye Na Socha Tha K Is Haal Me Aa Jao Ga Mai.

[ "Dekh Kr Us Ko Mujhe Yaad Kre Gi Dunya,
Eik Din Us K Khadokhaal Me Aa Jao Ga Mai." ]

Kitne Mosam The Jo De Kr Mujhe Taaney Guzrey,
Tum To Kehte They K Ik Saal Me Aa Jaon Ga Mai.

Sur Me Aa Jaye Ga Jewan Tere Jane Se,
Tere Aane Se Kisi Taal Me Aa Jao Ga Mai

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


Abi to ishq me aisa b haal hona ha



٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


Abi to ishq me aisa b haal hona ha
K ashk rokna b tm se mahaal hona ha

Tmain khber ha nae tum to lot jao gy
Tmhary hijer me lmha be saal hona ha

Humari roh py jeb be azaab utrain gy
Tmhari yadon ko es dil ke dhaal hona ha

Milain ge hmko be apny naseeb ke khushian
Bus entazar ha k kb ye kmaal hona ha

Her ek shekhs chaly ga hmari rahoon per
Mohabbton me hmain wo misaal hona ha

WASI mjh ko yaqeen ha k wo lot aye ga
Ussy be apny be kiye ka mlaal hona ha!

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


Eik Masoom Takaddus Me Bhigoya Huwa Lams,


Eik Masoom Takaddus Me Bhigoya Huwa Lams,
Kitna Pakiza Hay Ehsas Me Dhoya Huwa Lams.

Ye Tere Jism Ki Khushbu Ka Sonehra Ehsas,
Jis Terha Chand K Haaley Me Paroya Huwa Lams.

Us K Hontoon Ko Me Chhu Loon To Gumaan Hota Hay,
Jese Jannat K Gulaboon Me Daboya Huwa Lams.

Jo Meri Rooh Me Utrey He Chale Jaate Ho,
Ik Nae Rang Me Ubhrey Ga Ye Boya Huwa Lams.

Bhegi Khusbo Mae Basa, Wasl Me Bhega Bhega,
Kitna Masoom Hay Pehlo Me Ye Soya Huwa Lams.

Tishnagi Aan Basi Hay Meri Pooroon Me WASI,
Dhondta Phirta Hun Muddat Se Main Khoya Huwa Lams.

By WASI SHAH


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


Ab k Tajdeed e wafa


A beautiful poem by Ahmed Faraz.

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

Adhi Raat k Shahyied sapnay jhotay they


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


Chalay bhi ao.....



٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

Teri Umeed tera intazar jab say hay


A beautiful poem by Faiz Ahmend Faiz

Tum meri ankho ka taver na bhula pao gay


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


Phiray ga to bhi yuhni ku baku hamari tarah


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

Gham e Hayat ka Jaghra mita raha hay koi


This was last poetry by Ahmad Faraz before his death.

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

Dost milte hain yahaan dil ko dukhaane ke liye


Dost milte hain yahaan dil ko dukhaane ke liye
Ungliiyaan rakhte hain wo ham pe uthaane ke liye


Kiyaa qusoor un kaa ye ik rasm chalii aaii hai
Tohamatain hotii hain duniyaa main lagaane ke liye


Naa-Khudaa maan ke baithe hain jin kii kashtii main
Wo hamain maujon main laaye the Dubaane ke liye


Wo hawaaon kii tarah rukh ko badal lete hain
Ham nasiibon se larre the jinhain paane ke liye


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


ajeeb lo`g haiN kyaa khuub munsifii kee hai


ajeeb lo`g haiN kyaa khuub munsifii kee hai
hamaare qatl ko kehte haiN khud-kushii kee hai

ye baaNkpan thaa hamaaraa ke zulm per hamne
bajaaye naalaa-o-faryaad shaairii kee hai

hamaari qadr karo chauNdaviiN ke chaaNd haiN ham
Khud apne DaaG dikhaane ko raushnii kee hai

udaasiyoN ko Hafeez aap apne ghar rakhkheN
ke anjuman ko zaruurat shaguftagii kee hai


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


Milna itifaak tha bicharna naseeb tha


Milna itifaak tha bicharna naseeb tha
wo utna he door ho gaya jitna kareeb tha

hum usko dekhne k liye taraste he rahe
jis shaks ki hatheli pe hamara naseeb tha.

Tere paas aane ko jee chahta hai
Naye zakhm khaanay ko jee chahta hai

Ider aaye shayed woh moj-e-tarannum
Ghazal gungunane ko jee chahta hai

Zamana mera aazmaya hua hai
Tujhe aazmane ko jee chahta hai

Wohi baat reh reh k yaad aa rahi hai
Jise bhool jane ko jee chahta hai

Laboun per mere khelta hai tabassum
Jab aansoo bahane ko jee chahta hai

Kayi martuba dil pe bijli giri hai
Magar muskurane ko jee chahta hai

Rukh-e-zindagi se nikab ulat ker
Hakeekat dikhane ko jee chahta ha


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


Hum bht dur nikal aaye hain chaltay chaltay


Hum bht dur nikal aaye hain chaltay chaltay
Ab thehr jayen kahin sham k dhaltay dhaltay

Meray andar ka andheron ki ya chhoti si chubhan
Gehray Zakhmon mein hi dhal jaye gi paltay paltay

Garm sehra mein kahan dhundun tujhay jan-e-jahan
HO chalay paon bhi aadi yahan jaltay jaltay

Raat K bad sehar hogi magar kis k liye
Hum bhi shayed na rahain raat k dhaltay dhaltay.....


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch


kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch

wo kis adaa se merey saamnay guzraa hai abhi
kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch

waqat jo badley to insaan badal jaatey hain
kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch

kisi ka ho wo gaya or mujhey khabar na hui
kuch iss tarah se chhuraya hai mera haath na pooch

nahi hai pyar tera ai sanam to kuch bhi nahi
bana'ii thii barhi mushkil se kayenaat na pooch


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


sabhi kuch hai tera diya hua sabhi raahatein sabhi kalafatein


sabhi kuch hai tera diya hua sabhi raahatein sabhi kalafatein 
kabhi sohbatein kabhi furqatein kabhi duuriyaauN kabhi qurbatein 

ye suKhan jo ham ne raqam kiye ye hain sab varaq teri yaad ke 
koi lamhaa subah-e-visaal kaa, kai shaam-e-hijr ki qurbatein 

jo tumhaari maan lein naasihaa to rahegaa daaman-e-dil mein kya 
na kisi uduu ki adaavatein na kisi sanam ki muravvatein 

chalo aao tum ko dikhaayeiN ham jo bachaa hai maqtal -e-shahar mein 
ye mazaar ahal-e-safaa ke hain ye hain ahal-e-sidq ki turbatein 

meri jaan aaj kaa Gham na kar ke naa jaane kaatib-e-vaqt ne 
kisi apane kal mein bhi bhuul kar kahin likh rakhi ho masarratein


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


Dost jaisi kabhi dushman kee tarah lagti hai


Dost jaisi kabhi dushman kee tarah lagti hai
Zindagi bhee kisi uljhan kee tarah lagti hai

Tairai aankhooN main udassi hai mairay ghar kee tarah
Tairi haalat mairay aangan kee tarah lagti hai

Aik lamhay main mairay mann ko bhego daiti hai
Uss ke her baat hee Sawan kee tarah lagti hai

Tu bhee chahat ke taqazoon se nahin waqif hai
Tairi Uljhan Mairi Uljhan Kee Tarah Lagti Hai


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


Kitney mousam sargardaan they mujh sey hath milaney main


Kitney mousam sargardaan they mujh sey hath milaney main
Main ney shayed dair kar di khood sey bahar aaney main

Ik nighah ka san�nata hai ik aawaz ka banjar pan 
main kitna tanha betha hoon qurbat kai veeraney main

bistar sey karwat ka rishta toot gaya ik yaad kai sath
khwab sarhaney sey uth betha takiye ko sarkaney main

aaj uss phool ki khooshboo mujh main paiham shour machati hai
jis ney be had ujlat barti khilney aur mujrjhaney main

baat bananey wali ratein rang nikharney waley din
kin rastoun par chor aaya main umr ka sath nibhaney main

aik malal ki gard sametey main ney khood ko paar kia
kaisey kaisey wasl guzarey hijr ka zakhm chhupaney main

jitney dukh they jitni umeedein,sab sey brabar kaam lia
main ney apney ainda ki ik tasweer bananey main

aik wazahat kai lamhey main mujh par ye aehwaal khula
kitni mushkil paish aati hai apna haal bataney main

pehley dil ko aas dila kar beparwah ho jata tha
ab tou Azm bikhar jata hoon main khood ko behlaney main


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


Teri rehmatoun kai dayar main,terey badloun ko pata nahi


Teri rehmatoun kai dayar main,terey badloun ko pata nahi
Abhi aag sard hui nahin,abhi ik alaao bujha nahin

Meri bazm-e-dil tou ujar chuki,mera farsh-e-jaan tou simat chukka
Sabhi ja chukey merey hamnasheen,magar aik shkhas gaya nahin

Darr-o-baam sab ney saja liye,sabhi roushni main naha liye
Meri ungliyan bhi jhulas gayein,magar ik charag jala nahin

Gam-e-zindagi teri raah main,shabe-aarzoo teri chaah main 
Jo ujar gaya who basa nahin ,jo bichar gaya who mila nahin

Jo dil-o-nazar ka saroor tha,merey pass reh kai bhi door tha
Wohi ik gulab umeed ka,meri shakh-e-jaan pai khila nahin


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


sulagtey labon pey giraa aur paanii


sulagtey labon pey giraa aur paanii 
barii tishnigii hai pilaa aur paanii 

sunaa jab wahaa'n pyaas bujhtii hai sab kii 
samandar kiii jaanib gaya aur paanii 

chaleingey to taazaa raheingey hameshaa 
hawaa, khoon, samaa, raastaa aur paanii 

tahey Khaak e sehraa milii aur khushkii 
samandar kii teh sey milaa aur paanii 

sunaa hai k shehro'n mein biktey hain aksar 
lahoo, jism, insaan, wafaa aur paanii 

samandar nadii piii gaya aur bolaa 
zaraa aur paani, zaraa aur paanii 

Feroz us ney poochaa k kyun aankh nam hai 
merii aankh mein bhar gaya aur paanii


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


O be-wafaa aa sun zara meri rooh pe guzreeN jo qayamateiN


O be-wafaa aa sun zara meri rooh pe guzreeN jo qayamateiN
mera dil dukha to bohat magar merey lab pe ab bhi gilaa nahi

teraa bas naa tha to kiuN mujhey naey mosmoN ki naveed di
tu mujhey peshgi meiN jo de gaya wo phool ab tak khilla nahi

thi jin mosmoN meiN teri wapsi meiN ab bhi hooN unka muntazir
par wo fasl-e-gul kahaaN reh gai mujhey ab to kuch bhi pataa nahi

tera raaz jo mujh pe na khul sakaa mujhey doosroN sey pata chala
terey ehd-o-pemaaN sey bharey huwey kisi bhi lafz meiN wafa nahi

terey dostoN meiN tera bharm rahey yehi soch kar meiN chup raha
jo nigaah meiN tha wo chupa liya jo dil meiN tha wo kahaa nahi


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


Safar mein dhoondha rehguzar mein dhoondhaa


Safar mein dhoondha rehguzar mein dhoondhaa
Har gali modh kuchaa har shajar mein dhoondhaa
PattoN mein dhoondhaa chanaroN mein dhoondhaa
Lehron mein dhoondhaa kanaroN mein dhoondhaa
MausamoN ki chanchal hawaaoN mein dhoondhaa
Nasheman aur chaman mein fazaaoN mein dhoondhaa
RutoN mein ButoN mein girijaoN mein dhoondhaa
Parastish mein dhoondhaa duwaaoN mein dhoondhaa
Muqammal musalsal aabadiyoN mein dhoondhaa
NazaroN SitaroN haseeN vaadiyoN mein dhoondhaa
Kya dhadkan mein dhoondaa kya saansoN mein dhoondaa  
Kya tasawwur mein dhoodaa kya khayaloN mein dhoondaa


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


kisi sheR maiN na uter sakaY teRay rang teRi saba'hataiN


kisi sheR maiN na uter sakaY teRay rang teRi saba'hataiN
kisi haRf maiN be na dhal sakaiN teRi khwab khwab refa'qtaiN

mujhaY yuN be zu'am sakhuN na tha k ye meRa shewa fun na tha
teRay roO'barOo rahin surkhro meRay aa'jaz fun ki nidaa'mtaiN

koi aisa phool k khil sakaY meRi aa'rzoo k day'yaaR maiN
koi aisa khawab k day sakaY mujhay subha noO ki bashartaiN

ye talsim-e-deed ka rang hia k ja'nooN ka koi taRang hai
ye qadam qadam teRi aa'hataiN ye nazaR nazaR teRi surataiN

meray rooz-o-shab ki na pooch tu teRay baad aiey gham aa'rzoo
na ragooN maiN daRd ki hidataiN na shidataiN na wo raa'hataiN

ye nahi k sirf mujhi pe haiN meRay paish Ro be bhughat chukaY
meRay shehaR teRi nawazishaiN meRi jaaN ! teRi anaa'yataiN


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


Raaz-e-ulfat chhupa kay dekh liya


Raaz-e-ulfat chhupa kay dekh liya
Dil buhot kuch jalaa kay dekh liya

Woh meray ho kay bhee meray na hooay
Un ko apna bana kay dekh liya,,

Aur kiya dekhnay ko baaqi hai
Aap say dil laga kay dekh liya,...

'Faiz', takmeel-e-gham bhee ho na sake
Ishq ko aazma kay dekh liya,......


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

sar-e-raah kuch bi kaha nahin, kabhi us ke ghar main gay nahin


sar-e-raah kuch bi kaha nahin, kabhi us ke ghar main gay nahin
ham janam janam say usi kay hain, usay aaj tak ye khabar nahin 

usay paak nazron say choomna, bhi ibadton main shumar hay
koi phool lakh qareeb ho, kabi mene usko chuwa nahin

ye khudai den bhi ajeeb he , ke usi ka naam naseeb hay
jise tum ne chaha woh mil gya, jise mene chaha woh mila nahin

isi shehar main kai saal se, mere kuch qareebi aziz hain
unhain meri kuch bhi khabar nahin, mujhe unka koi pata nahin

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


teRey tabsarey heiN be-khabar meri daastaan-e-hayaat sey


teRey tabsarey heiN be-khabar meri daastaan-e-hayaat sey
tu keh raha ha dil jisey wo meRi khahishoN ka mazaaR hey

teRa shukriya aey tabeeb-e-jaaN ye khaloos apni jaga magaR
teRi masihaai bhi kya karey meRa dard hi be-shumaaR hey

meRey raastoN meiN jo aa gaya meRey qaafley ko jo kha gaya
wo tufaN to kab ka guzaR gaya paR dil meiN ab tak gubaar hey

aey meharbaaN dost suN meRi mushkiloN ko samajh ke meiN
teri mohabatoN ka kya karooN kisey dil pe ab ikhtiyar hey!

naey mosamoN ko bulao mat ke mujhey khusbuoN ki talab nahi
meri rah rehney do khaar khaar meRey leye to yehi bahaaR hey

jo nafratoN sey jhulas gaya usey dil sey saarey duwaeiN do
par us sitam-zada ka kya kareiN jo mohabatoN ka shikaaR hey!

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


main bhula chuka shabhee wastay jo the manzelooo ke hasool main


main bhula chuka shabhee wastay jo the manzelooo ke hasool main
maree manzelooo ke hasool main tareee rah ayeee tu kya kerooo

jo pukarta tha her aik ghare jo jura the dil se laree laree
kio shaks aiesa ager kabhi mujheee bhool gayee tu kya keroon

kabhi sath tha jo ke do badooo tha hamiesha maree he robaroo
jo bhara rha tha qadem maree who he dagmagyee tu kya keroon 

who cherag e der jo jala kabhi main bugha chuka hoon mager kabhi 
ke bugha huwa bhee diya ager mera gher galaa-e tu kerooon

main ne aks tak tu mata dayee sahbhee aienyee bhee chupa dayee
tujheee dheekta koi door se mare pass ayeee tu kya keroon

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

KABHI HUM BHEEGTEY HEIN CHAHTON KI TAIZE BARISH MEIN


KABHI HUM BHEEGTEY HEIN CHAHTON KI TAIZE BARISH MEIN
KABHI BERSON NAHIN MILTEY KISSI HALKI SI RANJISH MEIN

TUMHI MEIN DEEWTAOWN KI KOI KHO BO NA THI WARNA
KAMI KOI NAHIN THI MEREY ANDAZ-E-PARASTISH MEIN 

YEH PEHLAY SOOCH LO PHIR OR BHI TANHA NA HO JANA
USEY CHONEY KI KWAHISH MEIN USEY PANEY KI KOOSHISH MEIN

BOHOT SAY ZAKHM HEIN DIL MEIN MAGAR EIK ZAKHM AISA HAI
JO JAL UTHTA HAI RATON MEIN JO LOO DAITA HAI BARISH MEIN

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

sekhawat ka namood-afrooz manzar he nahi aa'ya


sekhawat ka namood-afrooz manzar he nahi aa'ya
saa'khi bethay rahay koi guda'ghar he nahi aa'ya

ye soocha tha teri khaa'tir koi moti niqalooN gha
maiN jis rastey maiN tha is maiN samandar he nahi aa'ya

pahaN kar aa'eenay phirti rehi dewanghi apni
tamana thei bohat jis ki wo pather he nahi aa'ya

bharhiN bailaiN jharay paa'tey lagay jaalay dareechoN per
makeeN ay'saa gaya ghar se palat kar he nahi aa'ya

chamak jis ki bula laiti uqaa'booN ko nashay'mun se
fizaa'ooN maiN koi aisa kabooter he nahi aa'ya

dafenooN ki tarha dil maiN khizanay rah gaye saa'ray
samandar kai karay koi shana'war he nahi aa'ya

dee'ya he jab nahi ho gha hawa kis ko bhuja'ey ghi
chiraag-e-rah maiN ab k jala k he nahi aa'ya

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

iqra ar.e.vafaa, ummeed.e.karam! kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye!


iqra ar.e.vafaa, ummeed.e.karam! kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye!
vade voh tire mubham, mubham! kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye!

sar.shaaree.e.ulfat kaa aalam! kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye
jazbaat kee voh dheemee sargam kuChh keh na sake kuChh bhool gaye!

aalaam kee voh yoorish peham! kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye!
Doobee huee nabzoN kaa aalam, kuChh keh na sake kuChh bhool gaye!

yaadoN kee Khalish voh shaam.o.saHar, maayoos se voh deevaar.o.dar
iHsaas kee lau maddham maddham! kuChh keh na sake kuChh bhool gaye!

kyaa vehm.o.gumaaN, kyaa ilm.o.yaqeeN, kyaa fikr.o.Gham.e.duniya a.o.deeN
hastee ke voh saare pech.o.Kham, kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye!

voh sher.e.mujassam jaane.e.suKhan, her saaNs meiN yooN hai naGhma.zan
afsaana.e.Gham, roodaad.e.alam, kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye!

kab daur.e.KhazaaN aayaa aur kab ruKhsat voh gul.e.ranaaee huaa
meHroomee.e.jaaN, majbooree.e.Gham! kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye

dil aise puraane paapee ko kyaa kaam hai deen.o.eemaaN se?
voh saaz.e.kaleesa, soz.e.Haram, kuChh keh na sake kuChh bhool gaye!

hastee ke fasaane Khwaab hue, daryaa.e.junooN paayaab hue
aaNsoo aksar, haNsnaa kam kam! kuChh keh na sake kuChh bhool gaye!

unvaan yehee Thehre Sarwar afsaana.e.hastee ke tere
yaa qalb.e.HazeeN yaa deeda.e.nam, kuChh keh na sake, kuChh bhool gaye!

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


Yadoon ka Aik Jhoka Aya Hum Say Milnay Barsoo Baad


Yadoon ka Aik Jhoka Aya Hum Say Milnay Barsoo Baad
Pehlay Itna Rooiay Nahi Thay Jitna Rooiay Barsoo Baad
Lamha Lamha Dil Ujra Hai Muskil Say Yeh Ehsas Hoa
Pathar Aiay Barsoon Pehlay Shishay Tootay Barsoon Baad
Bhool Jaon Kis Nay Tora, Kaisay Tora, Kyon Tora
Dhoodh Rahay Hoo Galiyoon Main Dil Kay Tokray Barsoon Baad
Dastak Ki Umeed Lagaiay Kab Taak Akhir Jeetay Hum
Kal Ka Wada Karnay Walay Milnay Aaiay Barsoon Baad..
Yadoon ka Aik Jhoka Aya Hum Say Milnay Barsoo Baad
Pehlay Itna Rooiay Nahi Thay Jitna Rooiay Barsoo Baad

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


main jal raha hun dhuup mein' woh maanta nahin


main jal raha hun dhuup mein' woh maanta nahin
sar par muhabat ki ridaa taanta nahin  

Jiss ghar ki eent eent pe likha hai mera naam
iss ghar mein aab koee mujhe pehchantaa nahin 

kya chahtaa hun uss se meri aarzoo hai kya
sab kuch woh janta hai magar janta nahin 

sulee pe tanktaa hai magar iss adaa ke saath
mujrim bhi pyar ka mujhe gardantaa nahin 

hoati hai sab koa ishq mein soadoziyaan ki aas
meri tarah toa khaaq koee chantaa nahin 

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


Kehte hai, kuch log zindagi main aate hai istarah


Kehte hai, kuch log zindagi main aate hai istarah
Kab, kaise jigar jaan dost ban jaate hai kya pata
Par meri viraan zindagi main yeh hota nahi
Ke main ab dost koi banata nahi. 

Kuch log mile the mujhe bhi raah-e-zindagi main
Saath chalenge woh mere aisa vaada tha unka
Koi kisi ke liye yaha rukta nahi
Ke main ab dost koi banata nahi. 

Har baar mujhe ek chot lagi hai kuch aise
Ke tukde hue hai kai aitbaar ke mere
Bikhare un tukdo ko main samete ta nahi
Ke main ab dost koi banata nahi. 

Mere dil ke tukde to har koi le gaya mujhse
Badle main bas ek suna pan degaya har koi
Ke mera dil bhi ab mere paas nahi
Ke main ab dost koi banata nahi.

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

Tumko Chupa Rakha He In Palko Me,


Tumko Chupa Rakha He In Palko Me,

Par Inko Ye Batana Nhi Aaya,

Sote Hue Bheeg Jati He Palke Meri,

Palkon Ko Ab Tak Dard Chupana Nhi Aaya..

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


Chalo Ek Nazm Likhtay Hain


Chalo Ek Nazm Likhtay Hain

Chalo ek nazm likhtay hain
Kisi k naam kartay hain

...Magar yeh sochna hai ab
K us mein zikar kis ka ho

k us mein baat kis ki ho
K us mein zaat kis ki ho

Aur yeh bhi farz kartay hain
K jis pay nazm likhtay hain

Humein us say muhabbat hai
Hamary saray jazbon ko

Bus uski hee zaroorat hai
Chalo ek kaam kartay hain

K hum jo nazm likhtay hain
Tumhary naam kartay hain

Tum hee unwaan ho is ka
Tumhara zikr hai is mein

Tumhari baat hai is mein
Tumhari zaat hai is mein..

Chalo ek nazm likhtay hain
Kisi k naam kartay hain

...Magar yeh sochna hai ab
K us mein zikar kis ka ho

k us mein baat kis ki ho
K us mein zaat kis ki ho

Aur yeh bhi farz kartay hain
K jis pay nazm likhtay hain

Humein us say muhabbat hai
Hamary saray jazbon ko

Bus uski hee zaroorat hai
Chalo ek kaam kartay hain

K hum jo nazm likhtay hain
Tumhary naam kartay hain

Tum hee unwaan ho is ka
Tumhara zikr hai is mein

Tumhari baat hai is mein
Tumhari zaat hai is mein..

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


aysa kabhi na karna


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

sard ratoon ki bhegi tanhai,


sard ratoon ki bhegi tanhai,
barasti boond ke choote hi sulagta sa badan,
beti yadoon beete lamhon main sulagta hoa dil,
youn guzre saal ke sare dukh aur saree gham,
akela aik december seh leta hai

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


Naee hikayat muhabbaton ki Shikayatoon ki


Naee hikayat muhabbaton ki 
Shikayatoon ki 
Bhujhe bhuje se haroof le kar 
Kohar mein doobi seyyahoon ki 
Warq warq per utaarna hai 
Udaas shamoo ke phool chun kar 

Suno December 
Ussay pukaaro 
Ussay bulaaoo 
Suno December ... Ussay mila do 
Ab is se pehlay ke saans niklay 
Ab is se pehlay ke saal guzray 
Wohi lakeerain wohi sitaara 
Meri lakeeroon mein qaid kar do 
Ya aakhri shab ke aakhri pal 
Koi bara ikhtitaam kar do 
Yeh zindagi bhi tamaam kar do 
Suno December ... Ussay mila do...

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

DECEMBER LOAT AAYA HAI


DECEMBER LOAT AAYA HAI
AUR SUNG APNEY DARD-O-GHAM SAMAIT LAYA HAI
JAB HAWA MEIN KHUNKI BARH JATI HAI
JANE KYUN?
MEREY DIL KI HALAT ABTER HO JATI HAI
BAY-BAAT BARASTI HEIN AANKHAIN
AUR DIL MEIN KHALISH AA JATI HAI
JAB DARD KI TEESAIN UTHTI HEIN
MEREY DIL KO LAHO KER JATI HEIN
JANE KYUN?
TUB BICHRAY YAAD AANE LAGTEY HEIN
AUR DARD SATANEY LAGTEY HEIN
JANE KYUN AISA HOTA HAI?
JAB BHI DECEMBER AATA HAI
MUJH KO TANHA KER JATA HAI

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


Khayaal howa hi thaa barf parri dam bhar mein


Khayaal howa hi thaa barf parri dam bhar mein 
zindagi eik jatan mein hey khushk-o-tar mein 

khoobsoorat hey yeh sardi ya hoon deevana mein 
daakhil hooti nahin hey baat doosrey sar mein 

shukr khuda kaa sabhi aas paas aag key paas 
tujhey bhi chaahta khuda sey hoon dasambar mein 

yehi tamaasha jo hey deikhney ko kaafi hey 
lagey he eisa ke garmi na deikhhoon lot kar mein.

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


Raat Uss Na Poocha Thah Tum Ko Kaisi Lagti Hai


Raat Uss Na Poocha Thah
Tum Ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December Ki !
Main Nay Kehna Chaha Thah 
Saal-O-Maah K Baray Main
Guftagu K Kiya Maani ?
Chahay Koi Manzer Ho
Dasht Ho , Samander Ho
June Ho , December Ho
Dharkano Ka Her Naghma
Manzaro Pay Bhaari Hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil Ko Ek Sahara Ho
Aisa Lagta Hai Jaisay
Ek Nasha Sa Taari Hai
Lakin Uss Ki Qurbat Main
Kuch Nahi Kaha Main Nay
Takti Reh Gayee Mujh Ko
Chandni December Ki !

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

December .... Ab bhi Tera muntazir Hay .!


December ....
Ab bhi Tera muntazir Hay .! 

woh Lamhay............ 
Soch Ki Dahleez Pay Tehray Hoy hain ! 

December K mahenay main 
Hazaroon Saal Pahlay Jab 

Teray Waday K Honatoon Ne 
meri Ankhoon Say Behtee Zindagi K Hanth Choomay Thay ! 

meri Bayrang Batoon K Kinaray 
Tum Nay Kwabon K 
Sahary or Ashkon K Sitaray Rakh Diye Thay ! 

aur ....... 
Hawa Ko apni Chahat Ki 
Hifazat Kaa Ishara Kar Diya Thaa ! 

Hawa Ki Khunkiyon main ab Bhi Teri naram batain 
aahatoon Kaa Jaal Buntee Hian ! 

Sama'at ....ab Bhee Teray 
Qahqahon Kaa Shoor Sunti Hay ! 

Khayal ab Tak Tumhari Ungliyon Say 
meray Dil K Surkh Ansoo Pochta Hay! 

Nigahain Baraf K Phelay 
chamaktay Kenwas Par Jaa-Bajaa 
Teri Rifaqat Ki Zarorat Paint Karti Hay ! 

Tehtartay Paniyon K Tan Pay Bikhri Dhoop 
Tera Bagair rooti Hay 
Kahan Hota Hay Too....... 
Muhabat Ki Sulagtei rahguzar K Kinaray Pay 

December .... 
ab Bhe Tera muntazir Hay !!

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

Suno december...! Ussay pukaro, ussay bula do


Suno december...! 
Ussay pukaro, ussay bula do 
Ussay mila do! 
Ab is se pehle ke saans niklay 
Ab is se pehle ke saal guzray 
Wohi lakeerain, wohi sitaaray 
Meri lakiron main qaid kar do 
Ya aakhri shab ke aakhri pall 
Koi bara ikhtitam kar do 
Yeh zindagi bhi tamam kar do 
Suno december ussay mila do!!

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

her saal jaunary humain kuch sapnay dikhati hai


her saal jaunary 
humain kuch sapnay dikhati hai 
jis ko poora kernay main 
december aa pohanchta hai 
zindagi aur akheer bi mano 
umer kay january aur december hain 
zindagi ki january bi jo khwab dikhati hai 
admi umer ber un ko poora kerta rehta hai 
aur umer ka december aan pohanchta hai 
aur saal ki terha 
saans bi khutum ho jati hai

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

December Jab bhi ata hai


December Jab bhi ata hai
wo pagli...
phir se beety mosumo'n ki 
talkhion ko 
yad karti ha
purana card perhti hai
k jis main os ne 
likha tha
Main Lauton ga December main

Nai Kapry bnati hai
wo sara ghar sjati hai
December k her ik din ko
wo gin gin ker bit'tati hai
junhi 15 guzarti hai
wo kuch kuch toot jati hai
magar phir bi
purani albumo'n ko khol ker
mazi bulati hai !!!

nahi maloom ye osko
k beety waqt ki khushian
Bohat takleef deti hain
mehaz dil ko jalati hain...
yunhi din beet jaty hain
December laut jata hai
magar wo Khush feham larki...
dobara se calendar main
December k maheeny k safhy ko
mord ker, phir se
Phir se
December ke sahar main
Doob jati hai 
k akhir os ne likha tha....
Main Lauton ga December main

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


December K Hasee'n Din Thaay


December K Hasee'n Din Thaay 
Murree Ki Yukh-Basta Fizaou'n Main 
Hamaray Char Haathou'n Nay 
Mujasma Ek Banaya Tha 
Kaha Tha Aik Dojay Ko 
Nishaani Piyaar Ki Apni 
Berhi Khoobsoorat Hai 
Mujhey Ab Yaad Aata Hai 
Mujasma Beraf Ka Tha Wo 
Ossay Akhir Pighalna Tha 
Ossay Tou Mitt He Jaana Tha

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

Abhi hijr ka qayaam hai aur December aan pahuncha hai


Abhi hijr ka qayaam hai aur December aan pahuncha hai
Ye khabr shahar mein aam hai December aan pahuncha hai

Aangan mein utar aayi hai manoos si khushboo
Yadon ka azdahaam hai December aan pahuncha hai

Khamoshiyon ka raaj hai khizaan taak mein hai
Udasi bhi bahot aam hai December aan pahuncha hai

Tere aanay ki ummid bhi ho chuki maadoom
Naye saal ka ahtamaam hai December aan pahuncha hai

Khunak rut mein udasi bhi chaukhat pe khadi ahi
Jaday ki udaas shaam hai December aan pahuncha hai

Tum Aao tou mere mausamon ki bhi takmeel ho jaye
Nayi rut tou sar e baam hai December aan pahuncha hai

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


December aa ker guzer jaye gaa


December aa ker guzer jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitnay pattey giraa jaaey gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Chiriyaa'n chehkein gee yakh-basta raato'n may 
Aur pairo'n pey aa ker yeh gumsum rahein gee
Na koi hari shaakh ho gee
Na koi patta ho gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Kitney parindey be-ghar ho jaain gey
Jalaa dey gee unn ko december ki thandi hawa
Na jaaney kitney khwaab bin taabeer dhal jaain gey
December aa ker guzar jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitney pattey giraa jaye gaa

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

December ab kay aao to


December ab kay aao to
Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana
Kay jis may jugnoo'n ki kehkashaain jhilmilaati hain
Jahan titlee kay rangoo'n sey fazaain muskuraati hain
Wahan chaaro'n taraf khushboo wafa ki hai
Aur uss ko jo bhi pouron sey 
Nazar sey chhoo gaya pal bhar
Mehek uthaa

December ab kay aao to
Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana
Jahan per rait kay zarey sitaarey hain
Gul-o-bulbul, maah-o-anjum wafa kay istiaarey hain
Jahan dil woo samander hai , jiss kay kaee kinaarey hain
Jahan qismat ki daive muthiyon mein jagmagaati hai
Jahan dhakan ki lay per bey-khudi nagmein sunaati hai
December hum sey na poocho hamaarey sheher ki baabat
Yahan aankhoun mein guzrey kaarwaan ki gard thehri hai
Labo'n per al-atsh hain, batan mein faaqey pinaptey hein

Muhabbat barff jaisee hai yahaan
Aur dhoop kay khaitoun mein ugti hai
Yahan jab subah aati hai
Tou shab kay saarey sapney 
Raakh kay aik dhair ki soorat mein dhaltey hein
Yahan jazboun ki tooti kirchiyaan aankhoon mein chupbhti hain
Yahan dil kay lahoo mein 
Apne Laikh'on ko dabo ker ham
Sunehray khwaab buntey hein
Phir unn khwaaboun mein jeetay hein
Inhi khwaaboun pey martey hein

Dareedah rooh koo lafzoon sey seena goo nahin mumkin
Magar phir bhi
December Ab KaY AaOoO Tu
Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana.....!!!

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

Saal kaa Aakhri Din Hai


Saal kaa Aakhri Din Hai
Abhi Kuch Dhoop Hai Leikin
Zara See Dair ko Tay Hai Kay Akhir Shaam Hona Hai
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai Anjam Hona Hai
Chaloo Mil Baith Kay Apnay Khasaray Bant Letay Hain
Sab He Rang Aur jugnoo Aur Sitaray Bant Letay Hain
Zara See Dair Ko Tay Hai key Akhir Shaam Hona Hai 
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai Anjam Hona Hai 

Too kyon Naa Kuch Shaam Say Pehlay
Jo Kuch Ghariyan Muyasir Hain
Unhee Mein Zindagi Kar Lain,
Kisi Ahsaas Kee Shama Jala Kar
Inn Andheron Main
Koyee Daam Roshi Kar Lain
Chaloo Hum Dosti Kar Lain
Zara See Dair ko Tay Hai Kay Akhir Shaam Hona Hai
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai Anjam Hona Hai

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

Karoon na yaad magar kis tarah bhulaon usey


Karoon na yaad magar kis tarah bhulaon usey
Ghazal baha na karoon aur gungunaon usey

Magar woh zood faramosh zood ranj bhi hey
Keh rooth jaye agar kuch yaad dilaon usey

Jo hamsafar sar-e-manzil bichar raha hey Faraz
Ajab nahin hey agar yaad bhi na aaon usey

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

Chalo tum sath mat dena…


Chalo tum sath mat dena…
Mujhy beshak bhula dena…
Naye sapne saja lena…
Naye rishte bana lena…
Bhula dena sabhi waday
Sabhi qasmen sabhi Naty…
Tmhen jana! ijazt hay…
Jo dil chahe wo sab karna..
Magar ab tum kisi se bhi..!
Adhora Pyar Mat Karna

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

Best friends stick together till the end,


Best friends stick together till the end,
They are like a straight line that will not bend.

They trust each other forever,
No matter if your apart you are together.

They can be your hero and save the day,
They will never leave your side they are here to stay.

They help you up when you fall,
Your true friends are best of all.

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

Ajeeb Ladka Hoon Khud Ko Jalaana Chahta Hoon,


Ajeeb Ladka Hoon Khud Ko Jalaana Chahta Hoon,
Main Khud Ko Rakh Kar Kahi Bhool Jana Chahta Hoon,

Mere Naseeb Ki Khushiya Bhi Kab Mili Mujhko,
Bas Ab To Umar Bhar Aansoo Bahana Chahta Hoon,

Najaane Kitni Mohabbat Hai Ghum Se Mujhe,
Koi Bhi Dard Ho Dil Mein Chhupana Chahta Hoon,

Baha Baha Ke Ye Aasnoo Bikhar Chuka Hoon Bahut,
Simat Kar Apne Aap Mein Ab Muskurana Chahta Hoon,

Jise Ek Umar Dil Mein Chhupa Ke Rakha Hai,
Wo Raaz Aaj Main Sabko Batana Chahtaa Hoon,

Wahi Hai Yaad Jo Achcha Kaha Hai Logo Ne,
Baki Saare Sitam Bhool Jana Chahta Hoon,

Mujhe Zamane Ne Pathar Samjh Liya Hai Magar,
Main Ek Ladka Hoon Sabko Batana Chahta Hoon,

Jo Mujhse Rooth Chuki Hai Zamane Ki Khushiyaa,
To Main Bhi Un Khushiyo Se Rooth Jaana Chahta Hoon,

Koi To Ho Jo Lagaye Mujhe Seene Se,
Kisi Ko Main Bhi Apne Gum Sunana Chahta Hoon,

Tu Apne Dil Ke Har Ek Dar Ko Khol De,
Main Dard Bankar Tere Dil Mein Aana Chahta Hoon..!!!

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠


‎"Tu" Lafzon" Ki Tarha Mujh Se "Kitabon" Mein Mila Kar,


‎"Tu" Lafzon" Ki Tarha Mujh Se "Kitabon" Mein Mila Kar,
"Logon Ka Tujhe "Dar" Hai Tu "Khwabon" Mein Mila Kar,

"Phool Ka "Khushboo" Se "Taluk" Hai Zarori,
"Tu "Mehak" Ban Kar Mujh Se "Gulabon" Mein Mila Kar,

"Jise "Chhu" Kar Main "Mehsos" Kar Sakon,
"Tu "Masti" Ki Tarha Mujh Se "Sharabon" Mein Mila Kar,

"Main Bhi "Insan" Hon, Hai Dar Mujh Ko Bhi "Behakne" Ka,
"Es "Waste" Tu Mujh Se "Hijabon" Mein Mila Kar...!!!

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

koi chehra hua roshan na ujagar ankhain


koi chehra hua roshan na ujagar ankhain
aina dekh rahi thin meri pathar ankhain

le uri waqt ki andhi jinhen apne hamrah
aj phir dhund rahi hain wahi manzar ankhain

phut niklin to kai shahar-e-tamanna dube
ek qatre ko tarasati hui banjar ankhain

us ko dekha hai to ab shauq ka wo alam hai
apne halakon se nikal ai hain bahar ankhain

tu nigahon ki zuban Khub samajhata hoga
teri janib to utha karati hain aksar ankhain

log marte na dar-o-bam se takara ke kabhi
dekh lete jo 'Kamal' us ki samandar ankhain 

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

Wo Husn-e-Mujasam Kamal uski Ankhein..


Wo Husn-e-Mujasam Kamal uski Ankhein..
Sarapa Muhabbat Jamaal uski Ankhein..

Jhukein to Lagti hain Zewar Haya ka..
Uthein to karein phr Sawal uski Ankhein..

Milein to mein donu Jahan dy k ly lu..
Wo chehra,, Wo Zulfain.. Wo Gaal.. Uski Ankhein..

Agar koi poochy k Dunya Mein kia hai..
Dewana khy ga Misal Uski Ankhein..

Un Ankho k kajal mein Dooba hun Shaid..
Ajab Phir Chali hain ye Chaal uski Ankhein..

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

Janay Kiu Shikast K Azaab Liye Phirta Hon..


Janay Kiu Shikast K Azaab Liye Phirta Hon..
Mai Kia Hon, Aur Kia khuwab Liye Phirta Hon..

Us Ne Ik Baar Kia Tha Sawal-e-Muhabbat..
Mai Har Lamha Wafa K Jawab Liye Phirta Hon..

Us Ne Pocha Kab Se Nahi Soye..
Mai Tab Se Rat Jagon K Hisaab Liye Phirta Hon..

Uski Khuwahish Thi Meri Ankhon Mai Paani Dekhe..
Mai Tab Se Aanson Ka Selaab Liye Phirta Hon..

Afsos K Wo phir B Mera Na Howa..
Mai Jis Ki Aarzoo Ki Kitaab Liye Phirta Hon..

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

ab k mujh ko dkeh kar wo dekhta reh jaye ga


ab k mujh ko dkeh kar wo dekhta reh jaye ga
is qadar badlain ge hum wo sochta reh jaye ga
mere chere per b hon ge be rukhi k zawiye
aisa hai k mjh mai mjh ko dhondta reh jaye ga
us k gali se ab kabhi mera guzar mumkin nahi
wo apne gher k khirkyon se jhankta reh jaye ga
ku ansuuon k dhool mai main zindagi ko jhonk do
dil ka kya hai toot'ta hai too'ta reh jaye ga

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠

Apnay ghar ki khirkee se main aasman ko dekhon ga


Apnay ghar ki khirkee se main aasman ko dekhon ga
jis par tera naam likha hai , us taray ko dhoondon ga

tum bhi har shab diya jala kar palkon ki dehleez pe rakhna
main bhi roz aik khwab tumharay shehar ki janib bhaijon ga

hijr k darya main parhna lehron ki tehreerien bhi
pani ki har satar pe main kuch dil ki baatien likhon ga

jis tanha se payre k neechay hum barish mein bheegay thay
tum bhi usko chhoo k guzarna, main bhi us se liptoon ga

khwab musafir lamhon k hain , saath kahan tak jaien **
tum ne bilkul theek kaha hai , main bhi ab kuch sochon ga.

٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...