December ab kay aao to
Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana
Kay jis may jugnoo'n ki kehkashaain jhilmilaati hain
Jahan titlee kay rangoo'n sey fazaain muskuraati hain
Wahan chaaro'n taraf khushboo wafa ki hai
Aur uss ko jo bhi pouron sey
Nazar sey chhoo gaya pal bhar
Mehek uthaa
December ab kay aao to
Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana
Jahan per rait kay zarey sitaarey hain
Gul-o-bulbul, maah-o-anjum wafa kay istiaarey hain
Jahan dil woo samander hai , jiss kay kaee kinaarey hain
Jahan qismat ki daive muthiyon mein jagmagaati hai
Jahan dhakan ki lay per bey-khudi nagmein sunaati hai
December hum sey na poocho hamaarey sheher ki baabat
Yahan aankhoun mein guzrey kaarwaan ki gard thehri hai
Labo'n per al-atsh hain, batan mein faaqey pinaptey hein
Muhabbat barff jaisee hai yahaan
Aur dhoop kay khaitoun mein ugti hai
Yahan jab subah aati hai
Tou shab kay saarey sapney
Raakh kay aik dhair ki soorat mein dhaltey hein
Yahan jazboun ki tooti kirchiyaan aankhoon mein chupbhti hain
Yahan dil kay lahoo mein
Apne Laikh'on ko dabo ker ham
Sunehray khwaab buntey hein
Phir unn khwaaboun mein jeetay hein
Inhi khwaaboun pey martey hein
Dareedah rooh koo lafzoon sey seena goo nahin mumkin
Magar phir bhi
December Ab KaY AaOoO Tu
Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana.....!!!
٠•●♥ My Sweet Poetry ♥●•٠
No comments:
Post a Comment