Custom Search

udas shaamun ki siskiyun mein


udas shaamun ki siskiyun mein
kabhi jo meri awaz suno
to beeteay lamhun ko yaad kar k

inhi fizaaon mein loat ana!!

tum aya kartay the khwaab ban kar
aur kabhi mehkatey gulaab ban kar
mein khooshk hontun say jab pukarun

inhi khawaabun mein loat ana!!

meri wafaaun ka paas rakhna
meri duaun ka paas rakhna
mein khali khatun ko jab uthaun!!

meri duaun mein loat ana!!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...