Dil Hijr ke dard se bojhal hai, Ab aan milo to behter haiIs baat se hum ko kya matlab, Yeh kaisay ho yeh kyunkar ho
Ek bheek ke donon kasay hain, Ek pyaas ke donon pyase hainHum khetey hain, Tum badil ho, Hum nadya hain tum sagar ho
Yeh dil hai keh jaltay seenay main, Ek dard ka phora allhar saNa chup rahay na phoot bhaye, koi marham ho koi nishter ho
Hum sanjh samay ki chaya hain, Tum charhti raat ki chandarmanHum jatay hain, Tum aatay ho, Phir milne ki sorat kyunkar ho
Ab husn ka rutba aali hai, Ab husn se sehra khali haiChal basti main banjara ban, Chal nagri main sodagar ho
Ab Insha jee ko bulana kya, Ab pyar ke deep jalana kyaJab dhoop aur chaya ek se hon, Jab din aur raat barabar ho
Woh raatein chand ke sath gayein, woh baatein chand ke sath gayeinAb Sukh ke sapnay kya dekhain, Jab dukh ka sooraj sar par ho
No comments:
Post a Comment