sochtaa huuN ke mahfuuz kar luuN ise apne siine meN lafz-o-bayaaN kii tarahthoRii hii der meN yeh mulaaqaat bhii Khatm ho jaayegi daastaaN kii tarah
yeh rafaaqat bahut muKhtasar hai mirii hamsafar laa mire haath meiN haath detuu havaa-e-sar-e-rahguzar kii tarah, maiN kisii nakhat-e-raayegaaN kii tarah
haal zaalim shikaarii kii suurat mujhe, vaqt kii ziin se baandh kar le chalaamera maazii mire saath chaltaa rahaa duur tak ek majbuur maaN kii tarah
sang-e-aazaar kii baarisheN tez thiiN, aur bachne ka koii tariiqaa na thaaraftaa raftaa sabhii ne saroN par ko’ii be-hisii taan lii saayebaaN kii tarah
KhvahishoN ke samandar se ek mauj uThhi, aur sail-e-balaa-Khez bantii gayiijism kashtii kii maanind ulaTne lage, pairahan uR gaye baadbaaN kii tarah
No comments:
Post a Comment