Custom Search

ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiNsab ke dil se utar gayaa huuN maiN


ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiNsab ke dil se utar gayaa huuN maiN

kaise apnii haNsii ko zabt karuuNsun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN maiN

kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataajiite ji jab se mar gayaa huuN maiN
ab hai bus apna saamnaa darpeshhar kisii se guzar gayaa huuN maiN

voh hii naaz-o-adaa, voh hii Ghamzesar-ba-sar aap par gayaa huuN maiN

ajab ilzaam huuN zamaane kaake yahaaN sab ke sar gayaa huuN maiN
kabhii Khud tak pahunch nahiiN paayaajab keh vaaN umr bhar gayaa huuN maiN
tum se jaanaaN milaa huuN jis din sebe-tarah, Khud se dar gayaa huuN maiN
kuu–e–jaanaaN meN sog barpaa haike achaanak, sudhar gayaa huuN maiN

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...