Mujhe Roshni Ki Talab Bhi Thi
Mujhe Manziloon Ka Pata Bhi Tha
Mujhe Raastoon Ki Khaber Bhi Thi
Main Bashar Jo Tha , Maira Dil Bhi Tha
Mairay Dil Main Rang Bikhairti Hoi
Khuwhishoon Ka Hajoom Bhi Tha
Mairy Zindagi Ke Khalaoon Main
Kaye Tairtay Howay Khowab Thay
Mujhay Maangnay Ka Shaoor Tha
Mairay Lab Pay Hurf -e- Dua Bhi Tha
Main Bashar Jo Tha
Mujhe Roshni Ki Talab Jo Thi
Mujhe Raasto Ki Khabar Tu Thi
Mujhay Manzilo Ka Gumaa Tu Tha
Tu Nien Phir Bhi kaisay Samajh Liya
Koi Aarzo Koi Raasta
Koi Roshni Koi Zindagi
Mujhe Tujh Say Bhar Kar Aziz Hai
Kabhi Is Taraf Se Guzar Howa
Tu Nazar Bacha Ke Yeah Dekhna
TERAY Baad Jitni Basar Hoi
Isay “UMAR” Kehna Durust Hai ??
No comments:
Post a Comment