Ab to kehte hain ye tanhaai se haare hue ham
Gham hi ho jayeN hamare k tumhaare hue ham
Ism-e-aa'zam sa koi apni zubaN par aya
Aap ka naam lia charkh k taare hue ham
Sirf hamraah-e-haqiqat to kaThin tha hona
Safha-e-dehr pe khwaboN k sahaare hue ham
Ishq mein eik zara maat hui hai ham ko
Aaise baiThe hain k hain jaan bhi haare hue ham
Wo to katraa k havadis hi nikal jate hain
Varna har aan adam ko hain sidhaare hue ham
Jaan dete hain kahiN hijr k maare hue log
Sher likhte hain yahaN paaoN pisaare hue ham
Aakhri daur-e-zamana hai or ab aaye hain
Waqt-e-kohna ki sadaaoN k pukaare hue ham
Koi dushvaar zubaN hain koi dushvaar sukhan
Khaam, be-fikr dimaaghoN pe utaare hue ham
Umr faysal ki nahi sirf shumar-e-shab o roz
Eik jivan hain mohabat mein guzaare hue ham
* * * * * * * * *
No comments:
Post a Comment