Yaad hai, na kucH gumaan-e-hijr hai
Ye bhi shayad imtehaan-e-hijr hai
Wo jo bicHRa hai to hai jaaN par bani
HaaN magar wo hi to jaan-e-hijr hai
Hai mujhe wehshat jo apne aap se
Rog kab hai, ye to shaan-e-hijr hai
Neem-shab karni hain girya-zaariaaN
Aao deewaano! azaan-e-hijr hai
Wo to mere chaar-su hai jalwa-gar
KiyuN bhala mujh ko gumaan-e-hijr hai!
Dard le lo! ashk le lo! khwaab lo!
Muft hai sab, ye dukaan-e-hijr hai
Zulm ye hai, jo gavaah-e-vasl thi
Ab wohi shab raazdaan-e-hijr hai
Ishq ka qissa wohi hai jaavidaaN
Asl mein jo daastaan-e-hijr hai
Saath faysal k mana lo shaam-e-gham
Sar dhuno yaaro! bayaan-e-hijr hai
* * * * * * * * *
No comments:
Post a Comment