Chaahe kam-aagahi k zahaanat pe saaye hain
BooNdoN se main ne ilm k darya bahaaye hain
Jaane ghamoN ne itna kahaN se lia khuloos!
Jab-k ye wo jaga hai k apne, paraaye hain
Kya vasl hai k bujh gaee jismoN ki tishnagi
Tuf hai, ye ham ne kis k liye dukh uThaaye hain
MuNh se chali jo baat to muNh tak hi aa gaee
Ghazlein suna suna k ye luqme kamaaye hain
Sab muflisi k marz they aur us pe vaid ne
Ham ko kaee hazaar k nuskhe bataaye hain
Pur-peich raah-e-kaar-e-jahaN chaahe irtakaaz
Aur wo k yaad aaye jaaye, aaye jaaye hain
Farq-e-hayaat o maut hai fankaar hi ka dam
faysal! ye log khwaab ki ik aabnaaye hain
* * * * * * * * *
No comments:
Post a Comment