Custom Search

YooN mujh se zamaane ki tarah tu na milaa kar!


YooN mujh se zamaane ki tarah tu na milaa kar!
Aa mujh se meri heich maeeshat ka gilaa kar !

Pat-jhaR mein mujhe apni ada yaad dilaa kar
Ban kar tu mere chehre pe muskaan, khilaa kar!

Ki zeest so ab Daal de gardan mein ye baaNhein
Is haar ko sadioN ki aseeri ka silaa kar!

HarfoN ki bhi doori nahi hoti hai gavaara
LikkhuN jo tere naam se naam apna milaa kar

Kya jaaniye kis gaam pe uR jaayeN parakhche!
Kis jism ki tadfeeN ko kafan rakhein silaa kar!

Wo kya hain khazaane k jo niklein ge azeezo!
Baarood-e-adaavat se zameeN apni hilaa kar

SajdoN ki inaayat ho jo, us daagh ko Maula!
Ghaflat se aTi tang jabeenoN ki jilaa kar!

TooTe huey patte ki tarah cHoR gaee hai
Sehra mein hawa mujh ko tere shehr ki laa kar

faysal! hai muzir "sochna" be-hadd k isi ne
Suqraat ko cHoRa tha kabhi zehr pilaa kar

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...