Hijr ka taara doob chala hai,dhalnay lagi hai raat Wasi
Qatra qatra baras rahi hai ashkhon ki barsaat Wasi
Tere baad yeh duniya waalay mujh ko pagal kar dain gay
Khushbu k des mein mujh ko lay chal apnay saath Wasi
Yun hi chup ki mohr laga kar kab tak gum-sum betho gay?
Khamoshi se dum ghut-ta hai, chhairo koi baat Wasi
Aaj tau us ka chehra bhi kuch badla badla lagta hai
Mausam badla, duniya badli, badal gaye haalaat Wasi
Mere ghar khushbu ka yeh raqs ussi k dum se hai
Us k saath chali jaaye gi phoolon ki baaraat Wasi
Chhorr "WASI" ab uski yaadein tujh ko pagal kar dain gi
Tu qatra hai,woh dariya hai,dekh apni auqaat " WASI "...!!
No comments:
Post a Comment