Kab talak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay
Woh musafir jo bharay shehar mein ghar ko tarsay
Aankh thehray howay paani say bhi katraati hai
Dil woh reh'roo ke samandar kay safar ko tarsay
Mujh ko uss qehat kay mosam say bacha rub e sukhan
Jab koi ehal e hunar, arz e hunar o tarsay
aab kay iss toor musallat howa andhaira har soo
Hijar ke raat mairay deeda e tar ko tarsay
Umar itni tu ataa kar mairay fun ko khaliQ
Maira dushman mairay marnay ki khabar ko tarsay
Uss ko paa kar bhi ussay dhoond rahi hain ankhain
Jaisay paani mein koie seep, gauhar ko tarsay
na'shana'sayee kay mousam ka asar tu daikho
Aaina khaal o khad e aaina gar ko tarsay
Aik dunia hai kay basti hai teri ankhon me
Woh tu hum thay jo teri ik nazar ko tarsay
Shoor e sur'sar mein jo sar sabaz rahi hai FAYSAL
Mousam e gul mein wohi shaakh samar ko tarsay
No comments:
Post a Comment