apni marzi se kahan apne safar ke hum hain
Rukh hawaaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain
Pehle har cheez thi apni magar ab lagta hai
Apne hi ghar mein kisi doosre ghar ke hum hain
Waqt ke saath hai mitti ka safar sadiyon tak
Kisko maloom kahan ke hain kidhar ke hum hain
Chalte rehte hain ki chalna hai musafir ka naseeb
Sochte rehte hain ki kis raahguzar ke hum hain
Gintiyon mein hi giney jaate hain har daur mein hum faysal
Har qalamkaar ki benaam khabar ke hum hain
No comments:
Post a Comment